Kya bolu ab!?

Màu nền
Font chữ
Font size
Chiều cao dòng

At Dusara ghar...(Haa bhyii bohot paisa hai inn naa-chizo ke paas😤)

Shrijan: Loji maine khana bahar se mang-wa liya hai... kyuki mujhe pata hai ki koi yaha kisi kaam ka nahi hai.

Fitoor: Waah Janaab, aap toh bade forward nikale...

Shrijan: Ji hum toh humesha se aise hii hai jaan...

Fitoor: Aap bhi na!

(Ji haa, Shrijan aur Fitoor ki engagement ho chuki hai )

Nil: Aishh! Kya kar rahe ho bhai? Hum bachho par kya asar padega? Socha hai?!

Tanay: Kaise sochenge? BC bakloli kar rahe hai...

Happy: Tanay!! Ye kya tarika hai kisi se bhi baat karne ka?! Maafi maang nahi toh muh tod dunga samjha?!

Tanay: Ji bhai, I'm sorry Shrijan bhai... aage se nahi hoga pakka!

( Tabhi hall se kisike besuri awaaj mein gaane ki kosish sunaayi deti hai, Jab Tanay jaa kar dekhta hai toh paata hai ki Shailly Gaana gaane ki besuri kosish kar rahi hai )

Shailly: Aahhhhh!~~~~ Ohhh~~~ Heee~~~ Pairon mein bandhan hai~~~!!! OhhhooOo~~~ pa-

Tanay: Oye chup kar dayan! Besuri hidimba!

Shailly: Tujhe kya?! Mai jaise bhi gaau... tu aapne kaan band karle na! Ahhhh~~~ Ohhh~~ Dil ke sab darwaaje-

Tanay: Chup kar na!! Nahi toh-

Shailly: Nahi toh kya? huh aaya bada!

Tanay: Mai na, tere baal noch lunga!

(Tanay Shailly ko warn karta hai but woh ignore kar deti hai... phir Tanay sofa par chadh kar Shailly ke baal pakar ke khichne lag jaata hai aur Shailly bhi same karti hai Tanay ke sath)

Samridhi: Tu na maane Shailly, Tanay Chhor use... Shailly tu toh chhor na!!

Nil: Lo ji, phir do logo ke bich apni lambi naak ghusaa li...😌

Samridhi: Mai kuchh bhi karu tu kyu mujhse bolta hai?! Matt bola kar mere se samjha! 

Nil: Mai kon sa marr raha hoon tere se baat karne ke liye... huh!

Samridhi: Achha bette ruk! Ab mai baat hii nahi karungi tujhse!

Nil: Matt kar...

Samridhi: Ha, ha nahi karungi baat! Jaa yaha se!

(Ye bol kar Samridhi khud hii waha se chali jaati hai... ha ye ladki aisi hii hai, bewakoof si)

Syeda: Arey ye kya ho raha hai? *confused*

Aman: Aap na, confused hote hue bhi bade cute lagte ho ji...

Syeda: Ji sachhi?

Aman: Hanji muchhi...

Syeda: Haye! aap bhi bade cute ho ji... chaliye khaana khaane...

Gulnaaz: Hey Rabba! 

Happy: Kya hua Naaz?

Gulnaaz: Dikh nahi raha tumhe yaha kya raita phel raha hai?

Happy: Nahi...

Gulnaaz: Toh?!

Happy: Mujhe toh bass tumhi dikhayi de rahi ho... Naaz

Gulnaaz: Yaar Happy, firki naa le... khaana khaane chal, bhook lag gayi

Happy: (In mind) Mai toh sach hii bol raha tha...khair...

Jenny: I guess-

Yogi: Matt kar guess...

Jenny: gussa hai kya?

Yogi: Naah! abhi aarti karta hoon teri...

Jenny: Sorry na Yadnesh...

Yogi: Mai jaa raha hoon pet bharne...

Sakshi: Lagta hai hum hi dono reh gaye kuchh bhi kehne ko...

Raj: Matt keh kuchh... Bohot jor se maara tha sandal tune, dukh rahi hai meri pith...

Sakshi: hmmm, Khaane chal ab...

Raj: Sorry toh bol!

Sakshi: Nikalu kya sandal wapas?

Raj: Yaar tu khaale pehle, chal!


(Jyada hi khana ho gaya yaar)

----------------------------------------------

Raat mein 10 baje Tanay ke room mein~

Tanay apni white t-shirt pehen raha tha ki tabhi waha Shailly aa jati hai, bina darwaaja khat-khataye kyuki manner naam ki chiz usmein bilkul bhi nahi hai. Tanay ek smirk ke sath Shailly ko dekhta hai aur kuchh bolne hi wala hota hai ki voh notice karta hai...

Shailly uski taraf dekhati hi nahi, voh toh Tanay ka Laptop bina puchhe hi uthati hai aur wapas chali jaati hai.....par tabhi wapas aake use niche aane ko bolti hai-

Shailly- Tanay...Sabhi niche tumhara wait kar rahe hai jaldi aana, apna sajna-sawrana khatam karke..... Nahi toh Happy bhai muh tod denge...😁

Tanay POV~

Saali ye samjhati kya hai aapne apko?! Mai yaha isski firki lene wala tha aur ye Aurat ne mereko hukum de diya! Baad mein dekhuga ise, Abhi jaana padega...

Mene jaldi se T-shirt pehni aur niche chala gya.

Nil- Bhai! Humne tere Laptop ki search history dekhi aur pata chala ki tu ye sab dekhta hai! Chii-chii!

Sakshi- Sahi kaha! tujhse hum sabhi ko ye ummid nahi thi Tanay! *disgusted*

Me- Aisa kya dekh liya jo mujhe disgusted wali look de rahe ho!? Mene konsa bomb banane ke videos dekhe hai!? Dimag phir gaya hai kya tum sabka?

Shailly- Abe ye usse bhi khatarnaak chiz tune search kar rakhi hai Tanay! Besharam....

Me- KYA!?

Raj- Ye!

Zindagi sawar doon😊

Ek nayi bahar doon🌠🌈
Duniya hi badal doon😉
Main to pyara sa chamatkar hoon😇
Main kisi ka sapna hoon😇🌌
Jo aaj ban chuka hai sach
Ab ye mera sapna hai
Ki sabke sapne sach main karoon😍
Asman ko choo loon🚀

Titlee ban udoon🦋

(Ya! Helicopter)🚁
Ah ah ah😄
Main hoon ek udta robo🤖
Doraemon~~~


Me- 😳 

Samridhi- Aap iss mic mein bole🎤.

Tanay-

Shailly- Bachha kahi ka!

Tanay-🥺.... meri kya galti?? Teri tarah nahi hoon... jo kuchh bhi ashleel soche...huh!

Shailly: Achaa! bataio zara...

Sakshi: Mai batau kya?

Tanay: Ha bata

Sakahi: Aisa toh kuchh bhi nahi hai...hehe

Tanay: Teri toh!-

Syeda: Yaar chup!! ab phir koi puraane kisse ukhar laoge tum aur natak karoge...Iss chiz par dhyan do...yeh rahi book, jo Shrijan ji ne churane ko kaha tha...

Aman: KYA?! Bhai aapne Syeda ji se chori karwayi!!

Yogi: Chilla toh aise raha hai ki, Syeda se dr#g chori karwai hai... chill yaar, mandir se bina puchhe layi hai bass...

Aman: Phir bhi... mujhe achha nahi laga-

Fitoor: tumhare lagne se voh nahi karti kya?

Syeda: nahi karti....😔🩹

Sakshi: Koi na mai kar deti...

Happy: CHUP! AUR KOI KAAM NAHI KYA TUM LOGO KE PAAS! CHAY-CHAY BASS PURA DIN CHAY-CHAY!!

Naaz: Ignore him... ha toh ye batao ki kya hai ye book?

HJAGTFHRSYGFZYSGJGRXFJAFUGBFUSKA

















Aman: Kya! ye daddu ki maiya ki chacheri bua ki bahu ke daddu ke dost ki mummy ki book hai!

Shrijan: Ha-

Tanay: Paroshan ki maiya ki saasu-maiya! ye kya rishta hai be?!

Fitoor: Ek minute... ye toh aurat toh Shailly jaisi aur ye dusri aurat Jenny jaisi dikh rahi hai!! dekho.... *book ke pages palt-te hue*

Shailly and Jenny: Hein!! dikhao!😱 *dekhne ke baad* Aein paroshan ka tutulula! ye kya hai??

Yogi: ab jo hai so yahi hai, aakhon ke saamne...

Shailly: Iss hishab se.... ye toh 6 generation ka gap ho gaya....

Jenny: Ha... aur humein mila kar 7 generation....





Bạn đang đọc truyện trên: Truyen2U.Pro