Hum sabka koi yaraana tha
Kuch anjana tha
Par jaan se pyaara tha.
Hum sabme koi mastana tha
Kuch deewana tha
Par dil ko khush karne wala tha
Hum sabka koi fasana tha
Kuch manchaha tha
Par rooh ko sukoon dene wala tha
Hum sabka koi tarana tha
Kuch begana tha
Par ankho me nami dene wala tha
Hum sabka koi safarnama tha
Kuch dil ko choo jane wala tha
Kuch palke bhigane wala tha
Par hum sbke dil ek sath dhadkane wala tha
Hum sabki yaari ka koi safarnama tha.
Bạn đang đọc truyện trên: Truyen2U.Pro