Ch 29.2 ~A new beginning

Màu nền
Font chữ
Font size
Chiều cao dòng

Monami was still thinking about that day... Her trance was broken when she felt someone splashing a lot of water on her face!

Mo: Aaa...(wiping her face) *cough*

She looked at the person to see who splash water on her.. It was KARAN!

Mo: Kya hai Karan.. Paani kyun pheka mujhpe.. 😩 aur floor bhi gila kardiya.. Isko bhi mujhe saaf karna padega. ..

K: CHUP..

Monami made a pout and put her finger on her lips..

K: Good... Aur han.. Kya bak bak karrahi ho.. Tumhein pichhle 5min se bularaha hoon.. Neeche meri biriyani thandi horahi hai... Aur tum ho ke😤 pata nahi kin khyaalon me khoyi ho.. Isliye paani maara tumhare mun pe.. Ab jaake iss duniya me aayi ho...

Mo: Ohh.. Hehe.. Wo.. Um.. Kuchh sochrahi thi..

K: (mimicking her) Kuchh sochrahi thi.. Ek min.. In do saalon me koi bf banadaala kya.. Jiske baare me raat din sochti ho.. Ahem ahem miss mahajan.. Not bad..

Mo: What? SPECIAL AGENT KARAN SHERGIL.. JUST SHUT UP.. And chalo ab dinner karne.. Pata nahi sar phod ne ke baad kya beheki beheki baateinnnn...

She couldn't continue as she slipped due to the water spilled on the floor.. She closed her eyes tightly being afraid to fall and hit her head too... But.... Karan held her by her waist with his one hand... His heart beat was fast as he too was afraid with the thought of monami getting injured...

After some seconds, monami felt that she didn't hit the ground...  She opened her eyes and looked at Karan, whose eyes were stuck at her... They both looked into each other's eyes and were completely lost... Their hearts desired to stay like that forever, lost in each other...

https://www.youtube.com/watch?v=qW-xUQNGFh8

(imagine the first tune in the background.... Godddd.. I am missing them so muchh😭😭😭😭)

K: Monami...
Mo: Hmm...
K: theek ho?
Mo: Hmm.. (she was lost in his eyes)
K: Biriyani khaane chale... Aur bhook control nahi hoga..

Now this broke monami's trance..

Mo: Huh.. Um.. Yeah.. Sorry.. Chalo ab..

K: Yes!!

They both went downstairs and had their dinner... Faizi had joined them for dinner tonight.. Since Karan's right hand was injured, he was eating with his left hand.. It wasn't much difficult... But wasn't that easy too..

Usually monami or Barkha would feed him the food.. But today, he refused... He didn't want others to miss their dinner and help him... He tried to eat.. But couldn't.. Everyone saw this and rolled their eyes..

Karan was again going to lift the spoon with his left hand when suddenly someone forwarded a spoonful biriyani towards his mouth.. He looked sideways and saw it was BABY❤

(kisiko monu lagi kya?)

Baby: commando ho.. Chot lage to dard sehlete ho... Par iska mtlb yeh nahi ki help nahi lesakte...

Karan smiled at her and ate the biriyani from her hand..

Baby: well done agent shera..

Soon, someone else too forwarded a spoonful biriyani to him... This time it was Faizi..

K: Saandh tu🙀

F: Kya... Hume itna zaalim samjha hai kya.. Hamara dost aise khaa raha ho. Aur hum maze leke biriyani khaaye.. Lo thuso jaldi.. Taaki hum bhi khaa paayein..

Karan chuckled hearing him and ate from his spoon too...

Param and Barkha too started feeding him... Karan was really happy and cheerful seeing this.. Monami was emotional seeing the old Karan❤

Karan saw this and smiled... He again thought to pull her leg..

K: Arre yaar.. Aap sab mujhe khila raho ho... Zara dekho udhar.. Uss nanhi si bachi ko.. Kaise ro rahi hai.. Allee alleee.. Koi baat nahi.. Tumhein bhi khilayenge sab.... 😂😂

He started laughing loudly.. Monami made a pout.. Then a khurafati idea struck her mind... And when karan was still laughing without having any idea of his surrounding, monami fed him a chilli.. 

He bit the chilli and unfortunately it was way too spicy..

K: Aaaaaa... Monamiiiii..

Monami started running here and there.. Karan too ran behind her but not before drinking a lot of water...

K: Monu ki bachi.. Tumhe to me chhodunga nahi..

Monami stopped running...

"Monu ki bachi.. Tumhe to me chhodunga nahi.. "
"Arre kaise baap ko.... Apne hi bacho ko maarne ki baat karrahe.."

Her eyes were brimming with tears remembering those days... All understood her turmoil..

Barkha: Karan.. Monami.. Bas... Karan.. Tumhara haath theek nahi hai na.. Mat bhaago aur... Tumhara dinner karke medicine bhi khaana hai na... Chalo.. Monu.. Chalo..

K: (murmurs) huh.. Dekhlunga iss monu ko kal... (giving world famous smirk)

Soon they all finished their dinner.. Monu was really quiet this time... After dinner, she directly went to the garden and sat there...

She unlocked her phone and searched for Karan and Hers photo... She looked at the clock in the phone...  10 secs later, it striked 12

Mo: (in low tone) Happy anniversary Karan...Happy first marriage anniversary... Dekho na.. Hamari married life kitni hatke hai.. Jab shaadi hui thi, to dono ki marzi nahi thi.. Aur jab dono ki marzi hui.... To shaadi hi nahi rahi... Han i know.. Legally hum abhi bhi husband wife hai.. Par... Kya faida karan.. Jab ek dusre se itna pyaar karne ke baawajood hum pati patni ke tarah nahi rehpaate...  Aaj hamari anniversary hai.. Par tumhein yaad bhi nahi ki hamare beech aisa bhi ek rishta hai... I miss your embrace karan.. I miss the comfort you gave me.. I miss being with you... Pampering you.... Bohut yaad aati hai karan un saare lamho ki... Please jaldi theek hojaao... Aur man nahi hota ms mahajan banke rehne ka.. Mrs. Karan shergil ki aadat laggayi hai mujhe... Jaldi theek hojaao Karan... I love you.. I love you my khadoos husband... Happy anniversary...

She hugged her phonr which showed the photo tightly... Tears were flowing from her eyes.. But she didn't cared to wipe it off...  She let her heart cry today...  So much happened in the past two months.. She was strong in front of everyone.. But from inside, she was broken...

She felt someone wiping her tears.. She opened her eyes and saw Faizi... She quickly wiped her tears and plastered a smile on her face

Mo: Faizi.. 

F: Bhai maanti ho na hume?

Monami nodded in yes..

F: To apne bhai se aansun kyun chhupana.. Hmm?

Monami couldn't control anymore and hugged faizi and cried.. Faizi was caressing her hair to calm her down..

F: Monami... Bas... Aur mat ro... Hume hamari hasti khelti, shararat karti behen zyaada pasand hai..

Mo: kaise hasun faizi... Kaise.. Jab meri hasi ki wajah pe aaj bhi khatra hai... Kaise shararat karun... Usko aise bedridden dekh ke.. Kaise faizi...

F: monami... Dekho hum samjhte hai.. Aasaan nahi hai tumhare liye.. Par mushkil bhi to hai na.. Maana karan ko memory loss hua hai.. Par tumne hi kaha tha na.. Ki usse dheere dheere sab yaad aajaayega...

Monami broke the hug.. But tears were still flowing from her eyes

Mo: Jaanti hoon faizi.. Ki karan theek ho jaayega...par....par pata nahi kyun.. Kuchh achha nhi lagraha... Han.. Iss baat ki khushi hai ki karan ko kavya ke baare me kuchh yaad nahi.. Par iss baat ka dukh bhi hai ki usse hamare rishte ke baare me bhi kuchh yaad nahi...

F: pata hai monami.. Karan tab theek hoga... Jab uski rani sahiba pehle jaisi banegi..

Mo: mtlb

F: Karan ki rani sahiba, meri behen, wo to har bure me achhai dhundleti thi.. Zindagi me kitna bhi problems kyun naa ho.. Kabhi yaar nahi maanti thi.. Par ab kya hogya?  Charo taraf achhai hai.. Karan ki khushiyan hai.. Aur tum usko nazar andaaz karke.. Buri baaton pe dhyaan derahi..

Mo: Me... Me samjhi nahi faizi..

Someone : Me samjhata hoon..

Both looked at the direction of the voice and saw Param..

Moizi: Bhaiya..

Param came near them and sat beside monu... (mtlb.. Faizi and param ke beech monami bethi hai..)

P: ek baat bata monu... Karan ki memory loss ko 2 mahine hogaye hain na..?

Monami nodded in yes.

P: Tab se leke aajtak tune kabhi bhi chhote ko udaas dekha hai? Yah yeh sochte dekha hai ki 3 saal me kya hua hoga.?

Monami signed no...

P: Exactly... Karan ko iss baat se koi farak nahi padraha ki 3 saalon me hua kya hoga.. Uske man me bhi sawaal honge, confusions honge..par still you khush hai.. Kyunki uske life ke saare important log uske paas hai.. Uski khushiyan uske paas hai.  Han kabhi kabhi duty naa karpaane ka gum hojaata hai usse....par kabhi khudka mood off nahi karta..

F: Monami.. Bhaiya bilkul theek kehrahe hain... Arre.. Karan ne to insabko ek new beginning maan liya hai.. Wo bhale 3 saal ki baatein bhul gaya ho... Par wo apni nayi yaadein banana chahta hai...

P: Monami.. Karan ki yaadaash wapas aayegi.. Zaroor aayegi.. Bohut jald aayegi... Lekin jab tak nahi aati... Tab tak tumhe uski best friend banke uski help karni hogi...

Mo: Bhaiya.. Bhai.. Me kaise?

F: Arre kya kaise... Biwi ho na uski.. Aur us se bhi pehle best friend ho... Purani yaadein bhul jaao monami.. Aur karan ke saath nayi yaadein banao.. Dekho... Tum khud bhi to khush ho na ki hamara purana karan wapas aagaya hai

Mo: Haan.. Bohut...

P: To bas.. Isi karan ko rehne de na.. Dekh..tu udaas rahegi to usko aur hume.. Kisiko bhi achha nahi lagega.. Aur tu chahti hai kya ki sab udaas rahe?

Monami made a pout and nodded in no..

F: To bas.. Apni tsunami tricks use karo... Apne negative thoughts ko bahar pheko aur sirf iss time me bhi achhi baatein dhundo... Apne past ke baare me sochke present ko Boring and udaas mat karo

P: Aur karan to waise bhi tera hai.. To.. (whispering) usko dobara pyaar karwade khudse..

Monami blushed..  : Bhaiyaaa..

The trio shared a group hug...

Mo: (in Mind) Khadoos Shergil, i promise.. Me aur unsabke baare me nahi sochungi... Ab tumhare saath me tumhare iss new shuruwaat me saath dungi... Chalo.. Thode time ke liye tumhari wahi purani best friend banke tumhein khush kiya jaaye.. Aur yahi hai.. Tumhare liye mere taraf se anniversary gift❤

**********

Ab hoga the real saga shuru❤
Lets see how Karan would fall for monami this time... ❤

Here begins a new journey....now from monami's side too...

Promo: Tom and Jerry and house ka haalat bana scary😂 bff wars❤

Bạn đang đọc truyện trên: Truyen2U.Pro