Chapter 40

Màu nền
Font chữ
Font size
Chiều cao dòng

*After the party, in the car*

Gauri: (Removing the heel) Hey Bhagwan, aakhir yeh nikal toh gaya! Kal pradhaanmantri ke ghar bhi jaana pade, tab bhi ee 5 maale waale joote nahi pehennenge!

Om: Main tumse kahaan kaha tha yeh Sab karne ke liye?

Gauri: (Wearing her chappal) Arre humne bhi nahi kaha tha! Bhojaiji aur Rudy bhaiyya ki zidd thi, bass!

Om: Waise mujhe tum normal kapde mein acchi lagti ho

Gauri: Hum bhi apne aap ko apne suit aur saree mein pasand Karte Hai. Accha, raaste mein koi chaat waala ho, toh rok dena, hume bhook lagi hai

Om: (Confused) Tum party mein khaayi nahi?

Gauri: Arre aapne khaana dekha? Uble hue aloo, woh noodle jaisi cheej safed chutney mein--

Om: You mean boiled potatoes and pasta?

Gauri: Haan wahi! Arre na koi mirch-masala, ee khaana hota Hai ka?

Om: India ke baahar aisa hi khaana milta hai

Gauri: Humaara desi khaana hi theek hai!

Om: (Stopping the car) Accha yeh lo, yeh chaat wala hai khada hai. Wahaan chale?

Gauri: (Excited) Ji, Ji! Chaliye!

[As Gauri and Om stepped out of the car and stood at the thela, Om's gaze fell on three men who were a few steps away, staring at Gauri in a rather degrading manner. Gauri was too busy eating to realize that three men were staring at her, but Om was raging with anger. He calmly walked towards the car to get his coat to cover Gauri, while Gauri was still oblivious to her surroundings.

The moment Om was away, the three men began Eve teasing Gauri.]

Man 1: Ohho jaaneman, itne pyaar se kha rahi ho, Hume bhi khila lo!

Man 2: Kamar toh dekho iski, aye haye!

Gauri: (Calmly, to the chaatwala) Bhaiyya, humaara plate pakdo.

Chaatwala: (Scared) Arre didi, inn nikammo ko chor do, hum police ko bulaaye Kya?

Gauri: Aise kaise Chor de? Bade hero samajhte hai khud ko!

Man 3: Tevar toh dekho iski! Mazaa aa gaya yaar!

Gauri: (Removing her chappal) Mazaa toh humaare chappal se aayega! Ka keh rahe the tum log? Arre, bolo!

Man 1: (Taken aback) Arre...Yeh chappal...neeche rakhiye!

Gauri: (Hitting the man with a chappal) Ka keh rahe the?! 'Kamar dekho iski!' Tum logo ke paas aur koi kaam nahi Hai na, besharam!

Om: (Running towards Gauri) Gauri! Main inn logo ko nipat lunga, tum jaao!

Gauri: (Hitting another man) Arre nahi, inn logo ko chappal ki maar ki bahut jaroorat hai! Yeh log bhi jaan Le ki Gauri Kumari Sharma ka cheej hai!

Man 1: Maaf kijiye behenji! Galti ho gayi!

Gauri: Ek jhaap mein deewar pe satt jaaye be! Bhaag yahaan se!

Om: (Putting coat over Gauri) Tum toh Salman Khan nikli! Kya baat hai!

Gauri: (Eating) Arre aise chirote ko humne asaani se nipat liya hai, Bareilly mein!

Om: (Flirting) Yeh baba mirchiwaale ke shabd sunte-sunte, tum aur teekhi ho gayi ho, pata hai?

Gauri: Aisi ashleel batein karte samay, babaji ka naam mat lijiye! Tauba hai!

Om: (Coming closer) Toh kiska naam loon? Hmm?

Gauri: (Changing topic) Bhaiyya, bahut ho gaya!

(To Om) G-ghar chale?

*At home, in their room*

Om: (To Gauri) Waise, agar tum aise kapde pehenti rahi, toh zyaada pyaar ho jaayega tumse!

Gauri: (Shy) Ee ka bol rahe Hai aap! Jaayie, hume sona hai!

Om: (Putting his hands on her waist and gently pushing her against the wall) Sona toh mujhe bhi hai, Mrs. Gauri Omkara Singh Oberoi

[Gauri playfully pushed Om away and tried to run away until she felt him tug her arm, and spin her body to meet hers, making Gauri's heart beat uncontrollably fast. He gently caressed her cheeks, and ran his thumb along her lips, while her eyes were closed. They got closer and closer, until his lips finally touched hers and he kissed her.

Gauri was surprised, to say the least, but, kissing him felt electrifying. Om ran his hands down her back, and pulled her closer, while her hands were still on his chest.

Om planted kisses along her neck and shoulder, until they both knew it was right to go ahead. It was time to consummate their marriage.

Om and Gauri were so comfortable with each other emotionally that this act of physical intimacy didn't embarrass either of them. In fact, it probably strengthened the love and respect they had for each other.
Nothing seemed vulgar or unnatural between them. It all seemed natural, like it was meant to happen.

That night was their first night of intimacy, but it didn't feel forced. Not one bit.]

*The next morning, in the car*

Gauri: Accha, shaam ko hum ghar khud chale jaayenge, toh Aapko aane ki jaroorat nahi hai

Om: Kyun? Kya kaam hai?

Gauri: (Giggling) Oo hum bahut dino se rickshaw mein nahi baithe Hai na, toh bass yun hi!

Om: Matlab tum iss garmi mein, bina AC ke rickshaw mein baithogi? are you mad?

Gauri: Dekhiye, saadi se pehle hum rickshaw mein hi chalte the! Arre iss dabbe mein roz baithkar aap thak nahi jaate?

Om: Dabba? Tumhe pata bhi hai yeh gaadi kitni ki hai? 4 crores!

Gauri: (Shocked) Ka?! 4 crore?! Arre humaare Bareilly mein ghar ke bagal mein garage hui karti thi. Wahaan par aisi gaadi 1 lakh mein milti hai! Chee, chee, oo 4 crore kissi aur kaam ke liye istemaal kiya hota, toh kitna accha hota!

Om: Tumhe pata hai yeh gaadi sabse acchi model hai?

Gauri: Ka farak padta hai? Gaadi 4 crore ki ho ya 4 lakh ki, kaam toh dono ek hi Karte Hai!

Om: (Confused) Haan baat sahi Hai...Lekin tum rickshaw se chali gayi toh aane mein 2-3 ghante lagaogi!

Gauri: Kyun?

Om: Kyun ki tum rickshawaale ke saath paiso ke liye behas karogi!

Gauri: (Surprised) Ka baat Hai, aap toh hum ko acchi tarah se jaan chuke hai. Waise yahaan ke rickshaw waale hai bade khadoos. Iss sheher mein har Banda bilqul aapki tarah hai- akdu aur khadoos!

Om: Yeh lo, subah subah naya jhagda shuru!

Gauri: Arre nahi, hum haqeeqat bata rahe Hai! Aapko yaad hai uss dukaan mein woh sooji 700 rupay mein dene ke liye inkaar kar raha tha?

Om: Kyun ki tum ek government approved dukaan mein behas kar rahi thi, jahaan saare prices fixed hote hai!

Gauri: Aap kuch nahi jaante!

Om: (To himself) Subah subah itni zyaada bak-bak kyun karti hai yaar?! God!

Gauri: Kuch kaha aapne?

Om: Nahi! Yeh lo, mandir aa gaya!

Gauri: (Getting off) Accha, chalte Hai!

*Driving to office*

Om: (To himself ) Jaate waqt rickshaw mein jaayegi, aur bechaare rickshawaale se bhi jhagda karegi! God, why do I love her?!

------------
Cute and short chapter!!!

ALSO LAST NIGHTS EPISODE!!! THE DUET VERSION OF SAATHIYAA HAYE RAM!!
Mann kar raha tha ki screen mein ghuskar Om ko gaal pe chumma de doon! meri jaan ne Gauri ko rok liya :')

And I loved how Gauri gave it back to Om! He totally deserved to hear all that!

Alsooo, I tried my BEST to not make this chapters' intimate scene look vulgar. I wanted it to be beautiful and magical ❤️ I hope I lived up to that!!

Thank you for reading my loves!! Please vote!!

Bạn đang đọc truyện trên: Truyen2U.Pro