Chapter 46

Màu nền
Font chữ
Font size
Chiều cao dòng


*5 days later, at midnight*

Gauri: (Waking up Om) Omkaraji! Omkara ji! Uthiye! Uthiye!

Om: (Half asleep) Gauri, 1 ghante pehle tumne khaaya tha, phir se bhook lagi Hai Kya?

Gauri: Aap humko bhukkad kyun samajhte hai? Khaane ke alaava bhi kaam Karte Hai!

Om: Uff, toh Kya baat hai?

Gauri: Aaj 5 din pure hue hai!

Om: (Confused) Haan, toh?

Gauri: Toh...aap shart Haar gaye! Aap shart Haar gaye!

Om: Kaunsi shart?

Gauri: Itne bhi bhole banne ki kosish mat kijiye! Yaad hai aapne ka kaha tha? Agar 5 din ke liye humne chaat nahi khaya, toh bacche ka naam Ameya rakhenge!

Om: (Getting up) Yeh bataane ke liye mujhe uthaaya hai?! God, kitni acchi neend aa rahi thi!

Gauri: Aap waise bhi kumbhkaran ki tarah sote hai! Lekin haar maan lijiye, chaliye!

Om: Main kyun haar maanu? Arre bacche paida bhi nahi hua hai! Waise bhi madam, ladki hone ke chances 50% hai! Toh naam Advay bhi ho sakta!

Gauri: H-haan, lekin shart hum jeet gaye! Haar maaniye!

Om: Haar main uss din maanunga, jiss din baccha paida hoga!

Gauri: (Annoyed) Aap toh bade shaatir hai!

Om: Accha ab so jaao, aur mujhe bhi sone do. Please!

Gauri: (Laying down) Omkara Ji, hume bahut darr lag raha hai

Om: (Turning to face her) Ab Kya hua?

Gauri: Hume nahi lagta hum maa banne ke liye taiyaar hai

Om: Tumhe yeh baccha nahi chahiye?

Gauri: Humne aisa toh nahi kaha

Om: Matlab toh wahi Hai na? Jawaab do, tum yeh baccha nahi chahti?

Gauri: Aisi baat nahi Hai, Omkaraji. Hume bass darr lag raha hai. Pata nahi hum acchi maa ban paayenge ya nahi!

Om: Tumhe humesha kyun lagta hai ki tum acchi maa nahi ban paaogi? Koi aur wajah hai Kya?

Gauri: Ka matlab koi aur wajah?

Om: (Annoyed) Matlab tum bahaana bana rahi ho ya sach mein taiyyaar nahi ho?

Gauri: Aap gussa kyun ho rahe ho? Hum aapse baat kar rahe Hai aur aap---

Om: (Annoyed) Kyun ki pregnancy ke almost 4 months hone ko hai! Tum abhi nahi keh sakti ki tum ready nahi ho! Yeh koi mazaak nahi Chal raha hai!

Gauri: Hume acchi tarah se pata hai ki ee Sab bahut sanjeeda hai! Pata hai ki ee Sab mazaak nahi hai!

Om: Then act like it! Aisi baat karti ho toh darr lagta hai!

Gauri: (Consoling him) Accha, accha, Maaf kijiye. Hum kuch bhi bol rahe the. Aap so jaayie, Sab kuch bhool jaayie, theek hai?

Om: Good night.

[As Om was asleep, thoughts crept in Gauri's idle mind. Why did Om get so irritated? Why was he not ready to listen to her problem?

How could he understand what she was going through? She was carrying the baby after all!

Maybe he was scared? Or getting unnecessarily worked up?

But at least he could try and understand her situation! Becoming a mother isn't easy!

Gauri eventually shrugged her thoughts, and then fell asleep.]

*The next morning*

Om: (Waking up Gauri) Gauri, utho! Main nikal raha hoon

Gauri: (Half asleep) K-Kahaan?

Om: Important meeting ke liye Delhi jaa raha hoon, kal tak aa jaaonga.

Gauri: (Getting up) Accha ruko main chai---

Om: (Holding her hand) Nahi, Nahi, chai nahi chahiye. Accha yeh tie pehnaoogi please?

[Gauri replied with a small smile and Om pulled out the tiny stool and helped her get on it.

As Gauri carefully tied the tie, Om placed his hand on her cheek, gently caressing them, slightly startling Gauri. Even now, Om's slightest touch sent shivers down her spine.]

Om: I'm sorry

Gauri: Kiss baat ke liye?

Om: Kal raat ko, khamakha daat raha tha aur---

Gauri: Koi baat nahi

Om: (Caressing her cheek) Accha, Delhi se Kya laaoon? Kachori? Samose?

Gauri: Aap Dili se kachori laayenge? Yahaan ki kachoriyaan jyaada acchi hoti hai

Om: Accha toh Kya laaon? Bolo

Gauri: Hume kuch nahi chahiye. Aap bass jaayien, aur Jaldi waapis aayien

Om: Mujhe utna miss karogi?

Gauri: (Getting off stool) Nahi toh, hum toh aisi hi keh rahe the

Om: (Grabbing her waist) Accha? Toh ek baar bhi meri yaad nahi aayegi?

Gauri: (Shy) K-ka kar rahe Hai aap? Ee chichorapan chodiye! Baap banne waale Hai aap!

Om: Toh bolo ki tum mujhe miss karogi

Gauri: Aisa kuch nahi keh rahe hai! Accha, aapne batwa liya?

Om: Shit! Nahi!

Gauri: (Walking to the cupboard) Aap toh kabhi nahi sudhrenge! Dilli jaane ki taiyyaari ki hai, Lekin saahabji ne batwa hi nahi liya hai! Phir apne aap ko bade zimmedaar kehte hai!

Om: (Taking the wallet from her) Tumhe pata hai, tum jab chidchidi ho jaati ho, tab cute lagti ho

Gauri: Haan Haan, bahut ho gaya aapka maska lagaana! Chaliye, Aapko jaana hai!

Om: Accha ja raha hoon!

[Gauri watched Om walk down the stairs until he stopped in his tracks and turned around to say something.]

Om: Accha, kuch bhool gaya tha

Gauri: Ka hua? Pakka phone bhool gaye honge! Aap bhi na---

Om: (Kissing her forehead) I love you. Yeh kehna bhool gaya tha

Gauri: (Smiling) Apna khyaal rakhiye!

[Soon enough, Gauri went back to her room, which became extremely empty. She constantly felt his void. She wasn't depended on Om, but she felt like just presence felt like things were okay.

She already missed him!

She walked over to his side of the bed and ran her hands on his pillow. His fragrance still lingered in the room.]

Gauri: (To herself) Ek ghante pehle hi chale gaye, aur abhi se unki yaad aa rahi hai! Kyun karti hoon main itni mohabbat unse? Kyun unka gussa bhi sunn leti hoon, zyaada kuch bole baghair?

[Gauri saw a couple of ties strewn on the bed, and she took them in her hand and walked towards his closet, to keep them in. She gently opened the doors of the closet, and placed the tie, until her eyes fell on something rather cute.

Gauri saw her silver payal, and framed picture of her and him next to it. It was taken on the day of Karwa Chauth, the fateful night when both of them confessed love to each other. She looked at the photo and smiled at it.

Om and Gauri looked so genuinely happy in the photo. There was not an ounce of artificiality or pretense. They just seemed so glad and happy that they found each other. Gauri took the photo frame and placed it on the bedside table, next to the lampshade. It was necessary!]

*At the main hall, in the evening*

Dadi: Accha puttar, Maine Aaj tere liye kheer banai hai. Chal, kha le!

Gauri: Arre nahi Dadi, hume bhook nahi hai, baad mein khaayenge

Jhanvi: Accha Gauri, Om se baat hui thi? Woh dilli pahunch gaya?

Gauri: Nahi maa woh...

*Phone rings*

Gauri: Ee lo, unhi ka phone hai!

*On the phone*

Om: Kya baat hai, itni Jaldi mera phone utha liya?

Gauri: Accha, aap dilli pahunch gaye?

Om: Haan, abhi abhi Hotel pahuncha hoon.

Gauri: Accha theek hai

Om: Aur?

Gauri: Aur ka?

Om: Tum mujhe miss nahi kar rahi?

Gauri: (Whispering) Aapko ee Sab baat karni hai toh baad me phone kijiye! Hum yahaan Dadi aur Maa ke paas hai

Om: Ohho! Gauri Kumari Sharma aisi baat kab se karni lagi?!

Gauri: Hume phone rakh rahe Hai!

*Phone disconnects*

Gauri: Maa, Dadi, woh Dilli pahunch gaye hai

Dadi: Rab da lakh lakh shukr hai! Waise Tumhe chodkar, kaam ke liye jaaye, mujhe Bilqul pasand nahi hai

Gauri: Koi nahi Dadi! Hum theek hai! Kaam bhi toh zaroori hota Hai!

Dadi: Bacche se zyaada zaroori nahi! Kyun Jhanvi?

Jhanvi: Ji maa!

Gauri: Accha Dadi, hum apne kamre mein araam karne jaa rahe Hai. Theek Hain na?

Dadi: Jaa bacche, shaabash! Tumhe araam ki bahut zyaada zaroorat hai!

[Gauri walked back to her room at a relatively fast pace. She shut the door and sat on the bed, before pulling out her phone and calling up Om.]

*On the phone*

Om: Tum toh sach mein mujhe bahut miss kar rahi ho

Gauri: N-nahi toh. Bass woh---

Om: Accha woh Sab chodo, mujhe batao, how are you feeling?

Gauri: (Comfused) Hume ka hua?

Om: Arre tum raat keh rahi thi na, ki tum nervous ho and all that crap

Gauri: Hum bakwaas nahi kar rahe the! Aap humaari baat samajhte nahi hai!

Om: Tum bass bakwaas kar rahi thi, and that's all I know. Ab kaisa mehsoos kar rahi ho?

Gauri: Theek Hai Sab kuch

Om: I miss you

Gauri: Hum bhi. Aap Jaldi aayiega, bass

Om: Haan aa jaaonga! Accha, main chalte hoon, okay?

Gauri: Ji

[That night, both Om and Gauri simply couldn't fall asleep. They terribly missed each other. Gauri put her hand over the empty space in the bed, trying to feel his presence, while Om looked at pictures of his family, and most importantly, of her.

They were inseparable; Om and Gauri, but they were yet to take the test of love!]

---------------
Hey guys!!! New update!!!!

I really hope you guys like it!! Please vote if you did x

Bạn đang đọc truyện trên: Truyen2U.Pro