Chapter 69

Màu nền
Font chữ
Font size
Chiều cao dòng

*The next morning*

Shivaay: Anika! Gauri! Rudra! Tum log abhi tak taiyyaar nahi hue? Jaana nahi hai kya?

Om: Rudy, Anika aur Gauri ka hi devar hai! Teeno taiyyaar hone mein itna waqt lagaate hai!

Rudra: (Coming out of his room) Haan bhaiyya, ho gaya! Arre hum Goa jaa rahe hai, aur wahaan itni khoobsurat ladkiyan hai! Rudra ko extra hot banna padega na!

Om: (Slapping his forehead) Haan! Haan!

Gauri: (Coming with Anika) Hum bhi taiyaar ho gaye hai, chalein?

Shivaay: Haan, chalo.

Dadi: Puttar, Anika ka bahut dhyaan rakhna hai, theek hai? Anika, jitna ho sake, utna kam chalna. Khoob araam karna

Anika: Ji dadi

Dadi: Gauri puttar, tu Avyaya ki bilqul chinta mat kar! Uski dadi aur pardadi hai na!

Gauri: (Kissing Avyaya's forehead) Ji dadi

[Om carried Avyaya in his arms, and Gauri looked on. They both kissed Avyaya on her either cheeks, and then looked at each others eyes.

They were both crying!

Avyaya was a part of Om and Gauri now, and being away from seemed painful.]

Om: (To Avyaya) Papa aur mummy jald aayenge, meri princess. Bahut jald!

Gauri: (Kissing Avyaya) Aati hoon, meri jaan

[Om, Gauri, Rudra, Shivaay and Anika then got into the car, ready to head to Goa!

Everyone was excited, but Rudra, Shivaay and Anika were more excited for the romance and chemistry that was going to unfold!

While Rudra drove the car, Shivaay sat besides Anika, and Om sat besides Gauri, in the last seat.]

Rudra: Waise yeh accha hai, aap log aapas mein romance karo, aur main yahaan driver ka kaam karoon! Aap log dekhna, Goa mein mujhe itni saari ladkiyaan milengi, ki aap logo ko naya driver dhoondna padega!

Om and Shivaay: Shut up Rudra!

Anika: Waise kuch khaane ko hai kya? Badi bhook lag rahi hai!

Shivaay: 1 ghante pehle hi toh naashta kiya tha!

Anika: Baccha aapke pet mein hai ya mere? Bataayie! Matlab bhook lagna bhi jurm hai!

Shivaay: Arre maine kab kaha! Main bass bol raha hoon ki itni jald bhook kyun lag rahi hai?

Om: Shivaay, pregnancy mein aisa hota hai! Arre jab Gauri pregnant thi, tab tumhe pata nahi ki maine chaat waale ke kitne chakkar kaate! 3 din mein woh mujhe pehnchaane laga!

Anika: Dekha billuji? Yeh hota hai caring husband! Aap toh chaat ka naam sunte hi bhaag jaate hai!

Gauri: Yeh bhi aise hi the! Jab bhi gol gappe ka naam leti thi, tab fauran bhaag jaate the!

Om: Kyun ki tum gol gappe ki puri dukaan kha jaati thi!

Gauri: Haw! Itna bada jhoot! Kuch bhi mat boliye!

Rudra: Waise mujhe toh lag raha hai ki sab kuch na, pehle jaise ho gaya hai. Hain na?

Shivaay: Haan Rudra. Aaj hum sab ek saath hai, as a family

Anika: Accha yeh sab chodo, hum ek game khelte hai!

Shivaay: Please antaakshari ya aisa koi stupid game suggest mat karna!

Anika: Antaakshari bahut accha game hai! Aapko hindu gaane nahi aate, usme aapki galti hai!

Rudra: Accha behas chodo, bhabhi batao, kya game hai?

Anika: Accha woh zindagi na milegi dobara mein woh game hai na? Ek banda dusre bande se fatafat sawaal poochta hai, aur jaahaan jawaab dene wala atak jaata hai, wahaan uski koi problem hai!

Shivaay: (Winking at Rudra) Perfect! Pehle kaun jaayega?

Rudra: O aur Gauri bhabhi! Aap ek dusre se poochiye!

Gauri: Arre nahi Rudy bhaiyya, bhojai aur Shivaay bhaiyya ko pehle jaane do!

Anika: Arre nahi nahi, tum dono pehle jaao, uske baad hum dono khelenge. Kyun Shivaay?

Shivaay: Haan, bilqul! Om, tu pooch!

Om: Shivaay, main---

Rudra: Ek game hi toh hai O! Shuru karo! Jaldi!

Om: (Looking at Gauri) Parivaar?

Gauri: Humaara sab kuch

Om: Khushi?

Gauri: Avyaya

Om: Zindagi?

Gauri: Avyaya

Om: Dost?

Gauri: Bhojai

Om: Shaadi?

Gauri: Zindagi bhar ka rishta

Om: Pyaar?

Gauri: (Silent)

Anika: Gauri, jawaab do!

Om: Pyaar?

Gauri: B-b-bharosa

[The fact that Gauri stuttered when Om had said the word 'Pyaar' meant that she was still unsure of her feelings.

Om and Gauri instantly looked at each other, as they tried to find some meaning of what happened through each others eyes.]

Shivaay: (Fake cough) Chalo meri baari! Main Om se sawaal karunga!

Om: Aap Sab kheliye, mera mood nahi hai

Shivaay: Aise kaise mood nahi hai? Chalo, Chalo!

Accha, Paisa?

Om: Not a necessity

Shivaay: Art?

Om: Dharm

Shivaay: Commitment?

Om: Difficult

Shivaay: Job?

Om: Tiring

Shivaay: Marriage?

Om: Commitment

Shivaay: Love?

Om: Uh...Love...Medicine!

Rudra: (Confused) Medicine? Kya O! Game mein itni philosophy!

Shivaay: Rudra, tumne kuch notice kiya?

Rudra: Haan bhaiyya! 'Love' shabd sunte hi dono haklaane lage!

Shivaay: Matlab baat saaf Hai! Lekin, we shouldn't interfere, unn dono ko farak nahi padta hai na?

[Gauri and Om immediately looked into each other's eyes as Shivaay's words kept ringing continuously in their mind.

"unn dono ko farak nahi padta hai na?"]

Anika: Accha Shivaay, kuch aur khelte hai!

Gauri: Aap log kheliye, Humaare sar mein dard Hai

Om: (worried) Tumne Aaj chai nahi pi?

Gauri: Nahi, Avyaya ka khyaal rakh rahe the toh---

Om: (Worried) Toh chai saath le leti, isliye sar dukh raha hai. Ruko, main Tumhe crocin deta hoon

Gauri: Nahi, nahi, uski jaroorat nahi hai, hum bass aankh band karenge, aur kuch der mein theek ho jaayenge

Om: (Handing her a tablet) Accha ek kha lo, kuch nahi hoga

[Gauri took a tablet and shut her eyes before slowly drifting off to sleep.

As the car drove and drove ahead, Gauri's head was nestled on Om's right shoulder, while Om's head was resting on Gauri's.

Both of them were fast asleep, and completely unaware of the position they were in, but the comfort they felt when they were close to each other was obvious.]

Anika: (Looking back) Shivaay! Yeh dekho! Haye!!

Shivaay: (Turning back) Itne bade bewakoof Hai dono! Neend mein bhi ek dusre ke bina nahi reh sakte!

Anika: (Hitting Shivaay's shoulder) Sab aapka qasoor hai! Aapke kadamo pe Chal raha hai Om!

Shivaay: Arre Maine Kya kiya?!

Anika: Aapko toh classic dialogue hota Hai na "Mujhe koi farak nahi padta!", aap hi se seekh kar, iss tarah se behave kar raha hai!

Shivaay: Mujhe samajh nahi aa raha ki jab sab kuch zaahir hai, tab itni tadi kyun dikha rahe Hai?

Anika: Aapka bhai hai na! Aur aapka toh tadibaazi mein gold medal Hai!

Rudra: Hey bhagwaan bass bhi karo! Pata aap logo ko dekhta hoon na, tab mujhe Aur yakeen ho jaata hai ki main zindagi mein kabhi shaadi nahi karunga!

Shivaay: Baat toh aise kar rahe Hai jaise ladkiyon ki line padi Hai tere liye!

Anika: uffo! Bass bhi karo! Dono SO rahe Hai!

Rudra: Waise, aage ka plan Kya hai?

Shivaay: Aage ka plan bahut jald hoga, tum Jaldi Chalao!

[A long while later, the car stopped in front of the resort.

They all stood at the reception, waiting for their rooms, when the receptionist handed them 3 keys.]

Om: (confused) 3 keys? Excuse me, hume 4 rooms chahiye

Receptionist: I'm sorry sir, Lekin sirf 3 rooms book hue the!

Om: What? Shivaay, 3 rooms kyun?

Anika: Woh...actually---

Gauri: Koi baat nahi bhojai, hum sambhaal lenge

Om: Are you sure? Hume ek kamre mein---

Gauri: Nahi koi baat nahi, hum kuch kar lenge

Shivaay: Perfect! Then I guess it's sorted! Chalo, apne apne rooms mein

[Om and Gauri stepped inside their palatial room, and were floored by its sheer magnificence.
Right on the side, was a large and exquisite bed, with rose petals on it.

Om and Gauri looked at each other, trying to figure out what the hell was going on.]

Gauri: Aapne Dadi ko bata diya ki hum pahunch gaye hai?

Om: Haan, Avyaya mom ke saath so rahi hai

Gauri: Accha, theek hai. Hum nahaane jaa rahe Hai

Om: Okay

[Gauri took her clothes and towel into the bathroom, ready to take a shower after the tiring journey.

Om sat on the chair, resting his head on the back of it, with his eyes closed until he heard a loud scream.

It was Gauri.

Om sprang up and saw Gauri run out the bathroom and jumping on the bed, whilst looking mortified.]

Om: (Startled) Kya hua?! Kya hua?!

Gauri: (Scared) M-ma-makdi!

Om: Makdi? You mean spider?

Gauri: Arre ka farak padta hai! Hey bhagwaan, Hume kha jaata toh!

Om: Tum bhi na! Ruko!

[Om went inside the bathroom and saw a tiny spider near the sink. He sneakily picked it up and brought it outside, to show Gauri.]

Gauri: E-ee ka kar rahe ho?! Dekhiye, door rahiye!

Om: Tum Bareilly ki dabangg Gauri ho! Spider se itna darr!

Gauri: (Removing her chappal) Dekhiye door rahiye, warna accha nahi hoga

[Om immediately threw the spider out the window, before he grabbed Gauri's hand that was holding the chappal and pulled her close, slightly startling her.]

Om: Marogi nahi?

Gauri: (Dropping her chappal) Woh hum...

Om: Kya?

Gauri: (Looking at her hand) H-Humaara haath

[Om immediately let go off her hand, realizing that their relationship wasn't like it was before. Nothing was back to normal yet, and they couldn't be so physically close to each other.

It wasn't right.]

Om: Tum jaao, nahao, neeche sab intezaar kar rahe Hai

Gauri: Haan, theek hai

[Gauri and Om went ahead and gor ready for what would be a so called casual 'dinner'

They had no idea what was in store!]

-----------------
I'm so sorry for not updating yesterday!! I came home really late!!!

Thank you for reading this chapter! I hope you guys liked it!

Please vote if you did!

Bạn đang đọc truyện trên: Truyen2U.Pro