Chapter 1

Màu nền
Font chữ
Font size
Chiều cao dòng

Sun was rising slowly everywhere as day began to emerge awakening the country, birds began to chirp, the couple sat watching the sunrise, she rested her head on his shoulder with her eyes closing again and again, his eyes watched the sun rising intently.

"Siya, tumhe pata hai, mujhe na sunrises bohat achhay lagtay hain, yoon lagta hai, jaise raat bohat koshishein karti hai ke us ka andhera chhaya rahay, lekin phir suraj andhere ki us moti tayy ko cheer ke bahar nikal he aata hai, aur ujala ho jaata hai."

She chuckled and lifted her head to look at him.

S~ tumhe pata hai Raj, mujhe na sunsets bohat achhay lagtay hain, yoon lagta hai jaise sooraj bohat koshishein karta hai ke apna ujaala barqaraar rakhay, lekin raat aakhir mein jeet he jaati hai aur subah ko apni kaali chaadar mein gher leti hai

He gave a fake chuckle somewhat getting negatively affected by her statement. She placed her head on his shoulder again.

R~sunsets are not my cup of tea, main toh full moon ka deewana hoon

S~aur main starry nights ki, raat ki ek yahi achhi baat hai ke taare shine karte huay nazar aate hain, I am a night owl

R~and I am a morning person

She chuckled.

S~toh basically hum ek doosre ke poori tarah opposites hain, (Rajkumar nodded) but opposites attract

R~yeah right

****

 Rajkumar was carrying a sleepy Siya in his arms to their house and dropped her till their bedroom. He began to leave.

S~Raj... (he stopped) good night hug and kiss toh do na, bhool gaye?

Rajkumar smiled and kissed her forehead.

S~cheek pe do yaar

He sighed and kissed her cheek, she slept, he went to the kitchen and prepared breakfast. He got on a call.

R~yaar itne months ho gaye main is relationship ko workout karne ki koshish kar raha hoon, ye live in relationship na bas baato'n mein achha lagta hai, abhi toh samjho, zeher ke ghoont pi raha hoon, jab dekho Siya har baat ke khilaaf he hoti hai, itni dominating hai na bas kya bataun. Hum larke messy hote hain, lekin itna bhi kya domination? Main us ke saath humesha sunsets dekhta hoon, usay ek baar sunrise dekhne ko kaha, wo chali magar itne nakhre kar ke, wahan bhi madam ki aankhein band ho rahi thi Viraj

V~yaar dekh, tu aur wo different hain, jahan tu morning person hai, wo night owl hai, jaise tu chahta hai na ke tujhe koi sunrise saath mein dekhne wali milay, waise wo sunsets dekhne wala chahti hai. Tu us ki khwahish poori kar de ga kiun ke tu bhi sunset ke waqt jaag raha hota hai, lekin wo toh din mein soti hai raat ko jaagti hai, toh neend toh aye gi na usay.

R~achha jee? Tera aur us ka hook up karwa doon kya? Aya bara

V~aray tu toh bura maan gaya, dekh tu bhi koi kam possessive nahi us ke liye

R~possessive hona alag baat hai, she's dominating

V~tu sab waisa kar jo usay pasand hai, wo bhi teri pasand napasand ka khayaal karay gi

R~jo ke main itne waqt se try kar raha hoon aur ye kabhi nahi hua

V~thori aur try kar, workout na karay, toh chhor dena

R~kaash ye itna aasan hota, main toh chhor doon ga wo nahi chhore gi magar

V~aray wo reecha(Shakti Kapoor) nahi hai jo nahi chhore gi

They had a laugh.

R~main kya bol raha hoon aur tu dekh kya bol raha hai.

V~chal tu last try kar, phir tum dono separation ki baat karo, lekin friends ban ke saath raho

Call disconnected.

 ***

Later Siya woke up in evening, her phone rang, she picked it up.

"Aray Siya kahan hai tu subah se? Aaj main soch rahi thi hum girls day out karengay, tu hai ke gayab hai."

S~aray Manmeet, yaar wo Rajkumar ne na mujhe sunrise dikhaya aaj aur phir wo dekh kar phir neend aa gayi, ek baar us ki baat maani aur phasi

Mn~wo bhi toh teri saari baatein maanta hai na? Toh kya hua agar ek baar tu ne bhi maan li us ki baat? Sacrifice aur compromise chalta hai pyaar mein

S~yaar meri us se shahdi ho rahi hai, main apna sab chhor ke us ke saath rehne wali hoon, toh compromise aur sacrifice toh meri taraf se poori tarah hai, ab usay bhi toh karna chahiye na

Mn~aise nahi hota, sirf ek yahi compromise aur sacrifice nahi hota, don't be so hard on him, dekh tu agar pani ko mutthi mein band kar le, aur apni mutthi tight karti chali jaaye, toh wo paani haath se chhoot jaye ga, Rajkumar bilkul us paani ke jaisa hai, usay tu jitna tight pakde gi aur jitni kam soace de gi na, wo utna he tujh se door ho jaaye ga, (Siya became silent) achha sun, aaj girls day out nahi ho saka toh kya hua? Girls night out kar lein? Tu Rajkumar se poochh le kaheen wo left out feel na karay

S~nahi nahi, left out toh wo aa kar feel karay ga yaar, chal main phone rakhti hoon

Call disconnected. Rajkumar came there.

R~kya hua?

S~wo Manmeet ka call tha, keh rahi thi girls day out ke liye, wo toh hua nahi, socha night out kar lein, waise tumhe toh nahi aana tha na? Wo kya hai ke maine Manmeet se keh diya ke tum wahan aa kar left out feel karo gay

R~nahi nahi, tum jao enjoy karo

S~thanks

She walked to the cupboard and opened it, she messed up the floor scattering clothes everywhere, he rolled her eyes. She began to leave.

R~Siya, ruko, aise mat jao, dekho wo kapre giraaye hain tum ne itne, utha ke rakho yaar, main thak gaya hoon ab

S~yaar toh kya hua? Messy cupboard isn't an end to the world

R~lekin mera the end zaroor ho jaaye ga ye cupboard saaf karte karte, kabhi tum bhi karo yaar, insaaniyat ki margin do

S~aur tum jo mera achha khaasa mood kharab kar rahay ho us ka kya?

She left. He felt a tinge of anger and irritation but controlled himself.

 ***

At approximately midnight, Siya came back and saw Rajkumar wide awake.

S~soye nahi?

R~tum ghar se itni der se bahar thi toh main kaise so jaata?

S~achha suno na, mera kuchh bohat yummy sa khaane ka dil kar raha hai, lekin banaane ka mood nahi hai

R~toh order kar lo

S~par mujhe kuchh tumhara banaya hua khaana hai

R~(closed his eyes for a second or two and then opened them again) okay, abhi bana deta hoon

He went to the kitchen feeling drowsy and made pasta for her and gave it to her.

S~ban gaya? Meri ek aur khwahish poori kar do na Raj

R~kaisi khwahish?

S~mujhe apne haath se khilao

He agrees whole heartedly, he made her eat and even she fed him.

Next day, Siya rang up Rajkumar, he ignored her calls unknowingly.

S~ye kya hua? Aaj is ne meri call kaise nahi uthaai? Ye toh aisa kabhi nahi karta? Main office jaati hoon

She sat in the car and rushed to office and sighed seeing him idle in his cabin and still he didn't pick up her call. She barged inside.

R~aray Siya? Tum?

S~kiun? Nahi aa sakti?

R~aa sakti ho of course

S~toh aisa kiun poochha? Aur call kiun nahi uthaai meri?

R~mera phone silent tha

S~that's not fair, tumhe pata hai mere dil mein kitne bure bure khayaal aa rahay thay? Main toh samjhi tumhe kuchh ho gaya

R~sit sit sit, (he made her sit on the chair) dekho mujhe thori na kuchh hua hai, m fit and fine

S~toh phir phone toh loud pe rakhte, loud nahi toh vibrate rakhte, I got worried for you, pledge for me

R~what?

S~Raj pledge for me, pledge ke tum kabhi ainda aise nahi karo gay

R~okay, I pledge main ainda aisa kabhi nahi karoon ga

S~and I also pledge, ke main humesha tumhare saath rahoon gi

R~okay, chalo ab aa he gayi ho toh baith jao, kitni dull ho gayi ho, I have an idea to cheer you up, tumhe sardi mein cold coffee achhi lagti hai na? (Siya nodded) I will get it for you

He called and ordered, they enjoyed together.

Later that day, Rajkumar's PA came in after getting permitted.

PA~sir ek larki ayi hai job ke liye

R~naam kya hai us ka?

PA~Manmeet Shergill

R~bula lo

Manmeet walked inside and just smiled and joined hands before him.

Mn~namaste

R~namaste, have a seat

Mn~(looking around) kahan pe sir? Kursi par ya sofa par?

R~kursi pe

Mn~sir left ya right?

R~right

Mn~umm sir aap ka right ya mera right?

R~aap ka right, (Manmeet had a seat) job milne se pehle he itni confused ho, job milne ke baad kya karo gi? Kaise karo gi sara kaam?

Mn~aap meri file dekh lijiye sir, agar main aap ko eligible lagoon toh job de dena, else I will see mujhe kya karna hai.

R~sure, keep it on the desk, mere aur aap ke centre mein yahan

Manmeet placed the file, he had a look, he asked some questions and she was hired. She smiled and stood up, they shook hands.

R~kal se aa jana

She left.

 
Cover page
 

Bạn đang đọc truyện trên: Truyen2U.Pro