Chapter 5

Màu nền
Font chữ
Font size
Chiều cao dòng

It was the day for mehndi function, Siya was getting mehndi applied instructing the girl on how to hide Viraj's name. Rajkumar came to Manmeet.

R~hey, aaj ke din tum bhi apne haath par mehndi lagwa lo na mere naam ki? Kiun ke main toh jaanta hoon main jeet jaun ga tumhe, isliye chaahta hoon tum apni hatheli par mera naam likhwao

She smiled artificially at him.

Mn~no mister Rajkumar, m not interested. Ye meri behen ka mehndi function hai, mera ya tumhara nahi. Aur tum jo itni dreaming karte ho na, mat kiya karo, kiun ke dream karte karte tum urtay bohat ho kaheen takra kar zameen par giray na, toh sapna toot jaye ga aur dard ho ga. Aur kya hai na ke in cheesy lines se Manmeet kabhi nahi patay gi.

R~well in that case, thanks meri fikr karne ke liye, par main toh khuli aankho'n se sapne dekh raha hoon mere pair zameen par hain mere koi pankh nahi niklay huay ke main uroon ga. And you know what? Tumhe jo bhi larka milay ga na wo pachhtaye ga, because you're such a difficult girl to pleasr

Mn~well in that case you excuse me hmm? Rahi baat ke mujhe kaisa larka milay ga us ki fikr tum mat karo, kya hai ke na tum mere dost ho na meri behen ke, bas yahan bin bulaaye mehmaan ho

R~tumhara ya tumhari behen ka dost nahi hoon toh kya hua? Tumhari behen ka hone wala pati mera dost hai okay. Aur haan tumhe bohat galat fehmiyaan hain na meri ex girlfriend matlab ke tumhari behen aur mere relationship ko le kar, toh aao chalo main tumhe abhi ke abhi sab clear karta hoon, wo bhi Siya ke saamne, chalo

He dragged her by her wrist meanwhile she gritted her teeth trying her best to make him leave cursing him. They stopped in front of her.

R~hi Siya

S~hi. (she glanced at Manmeet) tum dono ke beech sab kaisa hai?

Mn~tu bata tere aur Rajkumar ke beech sab kaisa tha?

S~matlab?

Mn~matlab ye ke is ne tujhe kiun chhora?

Siya looked at Rajkumar and then back at her.

S~tu toh bolti hai na ke main itni best hoon ke mujhe kabhi koi chhor he nahi sakta? Mujhe Rajkumar ne nahi chhora maine usay chhora hai Manmeet. Rajkumar ne sab bata diya tha, ke wo tum se pyaar karta hai aur tumhare saath life bitaana chaahta hai, aur is mein us ki koi galti bhi nahi, main he dominating thi, wahan main best nahi thi. Waise bhi wo mere saath khush nahi reh paata, usay aazad kar dena he theek tha Manmeet, us ke dil mein tere liye feelings hain mere liye nahi, isliye maine move on kar liya, aur usay bhi poora hak hai move on karne ka.

Mn~Siya tujhe mere liye sacrifice karne ki zaroorat nahi thi

S~Jo insaan mera nahi usay main apne aap se baandh kar kiun usay 2 naav mein sawaar kar doon? Jo mere liye nahi bana, wo mera nahi hai, tera hai Manmeet, bas sirf tera, he's a gem, usay khona mat.

Mn~agar gem hai toh tu ne usay kiun chhora?

S~main us ke saath achhi nahi reh paai dominating aur demanding thi

Mn~meri behen kabhi aisi nahi ho sakti

S~par main thi, main nahi samajh paai ke jisay pyaar karte hain usay khulay panchhi ki tarah chhorna hota hai, agar wo wapis aya toh mera hai nahi aya toh kabhi mera tha he nahi. Aur dekh wo urr chuka hai, mere paas nahi aye ga, kiun ke mera nahi hai na kabhi tha, tere paas aya hai kiun ke tera hai.

Mn~(emotionally) tu khush hai?

S~of course khush hoon, ye kaisa sawaal hai?

Mn~bas phir teri khushi mein main bhi khush hoon

Rajkumar smiled.

R~ho gaya? Chal gaya pata ke sach kya hai? (he sang to irritate her) aashiq majnu aawara tha, sab ki nazro'n ka maara tha, kya chain se urrta phirta tha, kitna khush haal kanwara tha, oye goriye oye goriye tu ne urrtay panchhi ko dil ke pinjre mein band kiya dil ke pinjre mein band kiya

Manmeet became irritated while Siya chuckled.

Mn~abhi tak maine band kiya nahi hai, abhi bhi tum urr he rahay ho

She left.

Siya showed Viraj her mehndi.

S~dekhiye Viraj, maine mehndi lagwa li aap ka naam bhi chhupaya, aap dhoondiye aur bataiye kahan hai naam?

He looked at her mehndi in utter confusion trying hard to find his name, she suppressed her laughter as he couldn't find his name.

V~chhupaya kahan hai? Haath par he hai na pakka?

S~(giggling) mehndi haath par hai toh naam bhi haath par he ho ga, dhoondiye dhoondiye

He searched endlessly and gave a side smile.

V~tum ne yahan chhupaya he nahi, peechhe hai naam mera tumhare naakhuno'n par

S~correct

They giggled. 

Bạn đang đọc truyện trên: Truyen2U.Pro