56.💗

Màu nền
Font chữ
Font size
Chiều cao dòng

M: Hello!! Excuse me! Ye meri mumma hai aur mere sath abhi room mein jayegi. Aao mumma

He takes Sumi's hand and pulled her to her room.

B & V: 😮

In Sumi's room

M: Aap rest karo mumma mein dekhta hu inn dono ko.

S: Ye tha kya?

M: Ye dono hamesha hi aise larti hai jb bhi milti hai. Abhi to mane Sona ko bolte bolte rok diya vrna agar Vish ko pta lag jata ke Bela ma'am hi meri Sona hai to problem ho jati.

S: Ha pr kb tak chupayega usse? Kabhi na kabhi to pta chalna hi hai. Ab shaadi hai tum dono ki 2 mahine mein.

M: Main chupa nhi rha bas shi mauka dhund rha hu aaram se samjhane ka. Vo shanti se sunti hi nhi. Bela ma'am ke naam pe hi chir jati hai.

S: Ha hai to par jldi bta vrna jitni der karega utni hi baat baregi.

M: Ha... Main bahr dekhta hu ja ke phir na lar rhi ho.

Mahir goes out and found lioness and tigress glaring each other.

M: Ahemm!! (Clears his throat) To phir

Both: Baat mat kro mujhse?

Saying this both went from there, Vish to her room and Bela to Mahir's.

M: Maine kya kra? ( Mahirji ko koi batayega ke unhone kya kara?🤭)

Mahir first step towards right side then at left... Then again left and then again right.

Sumi comes out again...

S: Kya kr rha hai Mahir? Kha gyi dono?

M: Room mein apne apne... Gussa hoke mere se vo bhi bina wgah.😔

S: Vish ka to thek hai..vo apne kamre mein gyi pr Bela vo kha? 1 hi guest room hai  jha Vish rehti hai.😏

M: Vo..vo mera room unhi ka to hai😳. (He said while looking down.)

S: Vo bhi hai.😏 Khara kya hai phir? Mna jake.

M: Kiske peeche jaun pahle? Kisko pahle manau? Ek ke gya to dusri gussa hogi. 🤔 Kch to karna parega.

S: Vish ko main dekhti hu tu ja ke apni Sona ko mna.

M: Aap rest kro... Main dekhta hu.

S: Phir to ho gya. M dekhne jaa thi hu Vish ko uske baad kar lungi rest. Subah se to kar hi rahi hu.

Saying this she went to Vish's room but returned immediately.

S: Kya ab tak yhi hai? Ja na...

M: Ha jaa rha hu. Aap itni jldi aa gyi.. kse?

S: Vo so gyi gusse mein. Uthegi tb dekhege. Jaa ab.

She pushed him to his room. Meanwhile doorbell rang.

S: Main dekh lungi. Aane ki jarurat nhi hai bahr Mahir.

She opens the door and get shocked.

S: Tum??😮😮

Person: Ha main... Sumi dekho

S: Sumi nhi Sumitra ji. Sumi kahne ka haq nhi rha tumhe Andy.

Yes... That person is Andy. Mahir's real father.

Andy: What nonsense? (She glared) Ok..ok Sumitra ji suniye kya main

S: (cuts) Nahi...

A: Kya nahi? Sunn to lo pahle kya bolna hai.

S: Mujhe tumhari koi baat nhi sunni. Ab jao yha se.

A: Khali hath jane ke liye nhi aaya main. Itne saalo se dhund rha hu tumhe, kha thi tum? Aur ye koi tarika tha jse tum mere bete ko

S: (cuts him) Tumhara nhi mera..mera beta hai vo. Tumhara koi haq nhi

A: (cuts her) Tumhare manne na manne se sach badal nhi jayega. Vo mera bhi beta hai. Look mera koi galat intension nhi hai. Meri wgah se tumhari life mein koi problem nhi aayegi bas mujhe mere Mahir se milwa do. Ab aur nhi reh skta usse durr.

S: Vo tumhara Mahir nhi hai. Koi haq nhi hai tumhara uspe. Jao yha se.

A: Nhi... Vo mera bhi beta hai. Itne salo se dhund rha hu... Please mujhe ek baar milne to do usse.

S: Tum nhi mil sakte usse.

A: Kyu??

S: Kyuki mne bola. Jao yha se.

A: Nhi main nhi jaunga. Itni mushkil se ye address dhundha hai maine. Pahle tum uss din museum se aise hi bhaag gyi(remember guys koch parts pahle sumi ko koi mila tha) phir mne uss school bus se school ka name dekha aur usse name se dhundhte dhundhte aaya hu yha.

S: Main police bula lungi Andy. Acha nhi hoga tumhare liye.

A: Mujhe milna hai.

S: Vo ghar pr nhi hai. Jao yha se.

A: Kb tak aayega? Main wait kr leta hu.

S: Tum yha nhi rukoge. Jao please. Vse bhi vo bhi tumse nhi milega.

A: Main usse samjhaunga na aaram se

S: Kya samjhaoge? Ke kse uski cruel maa ne usse uske bechare baap se durr kr diya kyuki vo uski maa ki jgah dusri aurat aur uski jgah dusra baccha le aaya tha ghar?

A: Main maanta hu mujhse galti hui hai but Mahir ki jo jagah thi ab bhi vhi hai. Uski jgah koi nhi le skta.

S: Tumhare bolne se jse sach ho jayega jhooth?

A: Jhooth nhi sach hai.

S: Jse ke tum apni dusri biwi aur bete ko bologe ke tum apni aadhi property aur company Mahir ko de rahe ho aur vo chup chap maan jayege. Please Andy ye sb bolne ki baate hai.

A: Sumi dekho agar

S: (cuts him) Nhi..nhi dekhna... Mane bas example diya tha... Sacchi mein hum dono lalchi nhi hai. Mahir ab iss layak bann chuka hai ke vo khud ke dum pe kch saalo mein tumse bhi aage nikal jaye.

A: Ye to achi baat hai. Mujhe 1 baar usse

S: No... Go..just go.

She turns her back.

A: Abhi to jaa raha hu par phir aaunga.

He went from there and Sumi closes the door and ran to her room and locked the door and cried.

Now let's see how Mahir persuaded Bela.

Mahir entered the room and saw Bela sitting angrily on bed. He goes and sat beside her and hugged her from side.

M: Sonaa!! Kya hua?

She jerked him away.

B: Baat mat kro mujhse.

M: Par kyu? Maine kya kra?

B: Vhi to... Tumne kch kra hi to nhi. Tumhari behen mujhe itna kuch sunati rhi aur tum chup chap sunte rhe.

M: Maine bolne ki koshish kri thi

B: Phir koch bole kyu nhi?

M: Kisi ne bolne hi nhi diya mujhe.

B: What??😠 To ab kyu bol rhe ho? Ab bhi mat bolo. Chale jao uth ke jse Sumi maa ko le gaye the. 😒

M: Sonaa!! Dekho

B: Nhi...

She turned to other side.

M: Ohho!! Idhar dekho na.

He turns her to his side.

M: I am sorry. Please na.. gussa choro... Baat kro na

B: Main gussa nhi hu tumse.

M: Acha to phir?

B: Tumhari behen se hu.

M: To uska gussa uske aage karna. Yha to vo nhi hai.

B: hmm

M: Idhar aao

He holds her in his arms. She also hugged him.

_________________________________________

That's all for now.

Share your views in comments and don't forget to vote...

BB






Bạn đang đọc truyện trên: Truyen2U.Pro