96.💗

Màu nền
Font chữ
Font size
Chiều cao dòng

At 5:12 am

Bela was about to step out from house but her dadi stopped her.

Dadi: Bela kaha jaa rahi hai subah subah?

Bela turned.

Bela: Morning walk...

Dadi: Aaj teri shaadi hai. Aaj to rehne de.

Bela: Shaadi raat ko hai.

Dadi: To shaadi se pahle rest kar legi to kuch bigar jayega? Kal raat ko sone mein vaise hi late ho gaya tha.

Bela: Aap sabko hua tha. Main so gayi thi time pe. Sab log faltu mein aadhi raat tak dance karne mein lage huye the. I mean shaadi meri hai aur ye sab aise kud rahe the jaise ki pata nahi kya ho. Inki shaadi thori hai?

Dadi: Sab log teri tarah ajeeb nahi hote ki apni hi shaadi mein khush na ho. Enjoy karte hai jab mauka milta hai.

Bela: Main khush nahi hu? Seriously? Meri shaadi ho rahi hai meri marzi se, mere love se aur main khush nahi houngi?

Kisne dala aapke dimaag mein ye sab? Jealous Rinki ne ya uski jealous mummy ne ya Vikku ke jealous mama ne. 1 baat batao aapne Vikku ke mama ko kyu bulaya meri shaadi mein? Vikku ki shaadi mein bulate na unhe. Meri mein kyu? He looks like his sister.

Dadi: Bulana para. Relative hai vo bhi aur Rinki ki jealous mummy kya hai? Bua hai teri. Meri beti ko aise mat bol.

Bela: Vo beti hai aur main? Kisse zyada pyaar karte ho aap?

Dadi: Ye bhi koi sawal hua?

Bela: Nahi batao! Sal mein 1 baar milne aati hai vo aapse. Phone bhi nahi karti. Main aapko itna sara pyaar karta hu. Hostel mein thi tab bhi daily kaise na kaise call karti thi. Ab bhi daily karungi aur milne aaya karungi. Inhone bola main khush nahi hu maan gaye aap? Main to aapke sath hi rehti hu. Inke sath nahi. She don't care for me.

Dadi: Bas..bas..bas...kisi ne mujhe kuch nahi kaha.

Bela: Bol hi nahi sakta koi aur dadi uss Rinki ki bacchi ne 1 baar aur bola na jiju is so handsome..you are so lucky..oh my goddd...main uska muh torr dungi.😠

Dadi: Suabh suabh itna gussa!

Bela: Please inn relatives ko bolo acting band kare. I know they all hate me.

Dadi: Nahi beta! Aisa nahi hai. Sab tujhse bahut pyaar karte hai aur mujhse regular contact mein hai aur tere bare mein bahut baat karte hai. Vo to tu busy rehti hai office mein isliye disturb nahi karte.

Bela: Aisa hi hai. I know... No one's happy for me except you and Vikku. Mujhe late ho raha hai. Jane do.

Dadi: Rehne de aaj. So jaa... Dulhan ki beauty sleep important hoti hai. Aur aaj pura din bhi busy jayega. Haldi, chure ki rasam(it's a custom in which brides are made wear bangles called chura for the wedding.) Phir dopahar mein hi beauty parlour ke liye nikalna hoga.

Bela: Main kahi nahi jaungi beautician yaha aayegi. Bye... Main aati hu.

She ran out.

Dadi: Kabhi nahi sunti ye ladki. Din mein koi isse aaram nahi karne dega. Shaadi ke liye puri raat kaise jaagegi?

Instead of going to the park which she goes daily, she went to some other spot. It was a  vacant spot surrounded by some trees. Only one person was there.

She hugged him and he too hold her back.

Bela: I missed you.

He: I missed you too.

Bela: Ye kya hai? Mil nahi sakte hum ab akele mein.

He: Ab nahi mil payenge. Aaj raat shaadi hai. Ye last meet hai hamari.

Bela: Nooo...

He: Yes...

Bela: Yes you're right. Bye Bye my boyfriend.

He: Not boyfriend...fiance...

Bela: Kya yar Mahir? Ye kya bol rahe hai hum?

Mahir: Aap batao aapne shuru kiya? Koi sunega to samjhega hamara shaadi se pahle kahi aur affair chal raha hai. Aaj final bye hai.

Bela: Tumne hi to bola final meet hai aur ab nahi milege to mujhe laga hum natak kar rahe hain.

Mahir: To final hi to hai abhi ke liye. Ab seedha raat ko milenge. Kab se nahi mile hum. Baat bhi nahi kar paa rahe.

Bela: Yeah... Pata nahi kya hai sabko? Kyu peeche pare hai? Konsi century mein jee rahe hai pata nahi. Aajkal log destination wedding karte hai. Bride aur bridegroom ki family sath mein rehti hai. Sath mein enjoy karte hai. Hame alag kar diya.

Mahir: Ye sab modern ways hai. Sab kuch dadi aur maa ne decide kara hai aur humne bhi agree kara tha khud normal wedding ke liye kyuki destination wedding ke liye aur time chaiye hota aur wedding aage shift karni parti. We didn't wanted to wait remember?

Bela:  Ha yaad hai. Milne se to pahle hi mana kar diya tha ab phone pe bhi baat nahi kar sakte. Har waqt sunne ko taiyar hai. Thodi si der bhi akela nahi chorna.

Mahir: Sunnege baate baad mein pahle phone to kar paye? Mera phone le liya. Baat to karne do atleast hame.

Bela: Ha! Kya problem kya hai Arjun aur Vish ki?

Mahir: Maze ke liye khud ke aur bhi kuch bol rahe the ki alag rahege, durr rahenge to kuch hoga. Mujhe samj nahi aai baat. Seedha seedha na bol ke pata nahi kya bol rahe the.

Bela: I was very tensed. Na tum mera phone utha rahe the na khud kar rahe the.

Mahir: Kya karta? Mere paas phone tha nahi aur mumma ke ya kisi aur ke phone se nahi kar sakta tha. Pura time mere sath sath rehte hai dono.

Bela: Aur vo jo tumhara purana chota wala phone tha.. keyboard wala vo?

Mahir: Vo bhi le liya. Mazak aur bana mera ki 2 din nahi reh sakta baat kare bina. Shaadi se pahle hi joru ka gulam bann gaya hai.

Bela: Ye zarur uss Vish ka comment hoga. Tumne usse phir se baat karni start kar di?

Mahir: Nahi! Par usse fark hi nahi par raha. She's behaving like everything's normal. Bhul gayi vo sab. Usse lag raha hai main usse answer nahi kar raha because I am embarassed from her constant teasing. But I am still angry.

Bela: Aren't you?

Mahir: What?

Bela: Embarrassed?

Mahir: No...

Bela narrowed her eyes: Really?

Mahir: (while looking down) Little bit...

She chuckled and kissed his cheek.

Bela: So cute...

Mahir: (Holds her shoulder) Sona aaj hamari shaadi hai.😀

Bela: Yes! It's finally happening. I am very happy.

Mahir: I am also very happy par pata nahi ajeeb si feeling aa rahi hai. Ab aap se milke I am feeling good par kal se bahut ajeeb lag raha tha. Darr sa hai thora. Stomach mein ajeeb sa lag raha tha.

Bela: Darr?

Mahir: Nahi bura wala nahi acha wala. Nothing negative but... I am happy we will be together. Par pata nahi kya lag raha hai. Heartbeat tez si chal rahi thi. Bechani si ho rahi hai kal se bahut.

Bela: I can understand. You are nervous. It's fine. I am too. Mujhe bhi aisi hi feeling aa rahi hai. Mere thek se khana nahi khaya jaa raha.

Mahir: Ye sahi nahi hai. Time pe proper diet lo aap.

Bela: Tum bol rahe ho ye? Engagement wale din kon nahi kha raha tha? Sumi maa ne kiski shikayat karne ke liye phone kara tha mujhe?

Mahir: Sonaaa!

Bela: I am nervous, excited & happy Mahir. Plus little emotional also. Dadi aur Vikku ko chorna parega. Apna ghar chorna parega.

Mahir: Aap jab chahe milne jaa sakte ho unse.

Bela: I know.

Mahir: Aap chaho to hum sab ek sath kahi shift ho sakte hai. Aap, main, maa, dadi, aapka bhai.

Bela: It's not needed Mahir. This feeling is normal for every girl. Sab cheeze ek sath feel ho rahi hai. Ye sab isliye kyuki sab badalne wala hai aaj. Aur dusra reason hum mil nahi paye aur baat nahi kar paye. Aadat ho gayi hai ek dusre ki.

Mahir: Haa isliye hi maine aapko e-mail karke bulaya milne. Iss time sab so rahe honge. Kisi ko pata nahi chalega.

Bela: I got shocked tumne email bheja jab.

Mahir:  Maine bataya tha na mera phone cheen liya gaya hai. Mera laptop hi tha mere paas bas. I know kuch bhi ho jaye par aap sone se pahle mails zarur check karti ho.

Bela: Itne sare ways aur bhi hai contact karne ke.

Mahir: Aur koi way nahi tha. Ye sab choro mehendi dikhao apni. Dark colour aaya hai kafi.

Bela: Almost black.😁

He pulls her hand to see but she didn't let him.

Bela: (Moves head left to right) Uhh huh! Raat ko dekha.

Mahir: (whined) Kya yar Sona? Aap to iss sab mein nahi mante. Baki sabke jaise baat mat karo.

Bela: Unke jaise nahi kar rahi.

Mahir: To phir? Sona aisa kuch bhi nahi hai jo hum dono ne nahi kara sath mein jo shaadi se pahle 2 logo ko nahi karna chaiye.

Bela: I know... Aur main nahi manti iss ab main but I can also have fun. Itni asani se dikha du? Kya milega mujhe dikahu toh?😏

Mahir steps forward and hold her waist: Kya chaiye aapko?

Bela: You know what I want?

Mahir: Yes I do.

He pulls her closer.

Bela: Kafi change ho gaye ho tum. Naughty bhi...

Mahir: Sangat ka asar.😊

He connected his lips with her. They kissed for sometime but then Bela's phone rang. They separated irritatingly.

Mahir: Kon hai?

Bela: Vikku! Dadi hyper ho rahi hogi ghar par. Mujhe jana hoga.

Mahir: Okay! I'll wait for tonight.

Bela: Me too... I love you...

Mahir: I love you too... Bye!

Bela: Bye!

____________________________________

That's all for now.

I shifted marriage to next part. I thought behir should have some conversation alone.. peacefully before marriage.

Share your views in comments and don't forget to vote.

BB








Bạn đang đọc truyện trên: Truyen2U.Pro