99-I.💗

Màu nền
Font chữ
Font size
Chiều cao dòng

Sham runs away from there and while running he bumped into Vish.

Sham: Vishakha ji mujhe bachaiye.

Vish: (angrily) What the hell!

Sham: (goes behind her) Pleej(Please) mujhe inse bachaiye.

She turns and Lajo comes there at same time.

Sham: Ye..inse... Ye ye mujhe Ched(flirt) rahi hai.

Vish: (shocked) What? Tumhe? TUMHE ched rahi hai? (To Lajo) Seriously girl are you blind?

Sham: Ji kya?

Vish: Ji kuch nahi... Aage aao. Tum kya 60's ki heroine ho jisse gunde ched rahe hai aur bechari darr ke chup rahi hai? Be a man.

Sham: Ye gundo se kam nahi.

Lajo: (acts) Ye aap kya bol rahe hai ji? Main aise?🥺

Sham: Vishakha ji ye natak kar rahi hai. Ye chorni(thief) hai chorni... Abhi abhi jail se wapas aai hai. Isko nikaliye yaha se. Isko kisi ne nahi bulaya yaha.

Lajo: Main chor nahi hu. Jhootha ilzam tha mujh pe. Aise kyu kar rahe hai aap? Pahle toh mere peeche peeche ghumte the aur ab?

Vish: (raises her eyebrow) Interesting! Tum peeche ghumte the? Ye bhi aata hai tumhe?

Sham: Nahi!

Lajo: Main

Vish: Stop! Apna lovers quarrel baad mein dekhna. Mere Bhai ki shaadi hai, I have work.

She went from there in swag.

Sham: Vishakha ji suniye. Rukiye!

He too ran after her and Lajo after him.

On the other hand, Behir were about to exchange garlands(Varmala hone wali thi.)

Vish: Tum phir mere peeche aa gaye?

Sham: Vo

Arjun noticed them standing together and gets anxious. He was standing beside Mahir.

Arjun: Sham idhar aa.

He nodded and went there with a sigh of relief that Lajo will not do anything there.

Behir were standing in front of each other. Staring at each other. (Nazar hi nahi hat rahi.)

Garlands were forwarded to them to exchange but they didn't see.

Vikrant pats Bela's shoulder: Helloo! Yahi hai vo. Kahi nahi jaa rahe. Sapno se bahr aa.

Bela narrowed her eyes at him: Bahut rude ho raha hai aaj.

Vikrant: Nahi toh!

Bela: Tujhe to baad mein bataungi main.

Dadi: Ye koi jagah hai larne ki. Sab dekh rahe hai.😠

Mahir had already taken his garland meanwhile and before Bela or Vikrant could say anything he put it in her neck.

Bela gasped in shock and angrily hit at Vikrant's arm: Teri wagah se Mera dhyan hat gaya.

Vikrant: Hat gaya? Tera dhyan hai hi kaha aaj kahi aur?

Dadi: Bas bhi karo dono.

Mahir: (Keeps one hand at Bela's cheek and siad softly) Sona mera dhyan hamesha aap par hi rehta hai aur rahega.

Vikrant: Itni asani se pehna di. Main uthane wala tha.

Arjun: Tu uthane wala tha aur nahi utha paya aur ab hum uthayege. Aao bhaiyo.

They lift Mahir.

Mahir: Bhai rehne dijiye.

Arjun: Chup!

Dadi: Aur karo larai(fight)...

Vik: Par hum lare(fought) kab? Normal baat kar rahe hai.

Vishakha: Dulhan (bride) ka normal baat karne ka tarika hi aisa hai guys. Future mein bechare dulhe(groom) ke sath kuch

Mahir: (sternly without looking at her) Vishh!

Sumi: Acha bas bas! Naa koi lar raha hai Naa hi kisi ka nature aisa hai. Bela chalo tumhari baari. Inn becharo ne kitni der se Mahir ko utha rakha hai.

Bela tried to jump and put but he got lift more higher.

Mahir: Bhai utar dijiye.

Bela: (Shouts) Vikku!

Vikrant: Ha..ha

He too lifts her and she successfully make Mahir wore garland and everyone clapped and hooted.

Behir got put down others left the stage to let them get some pictures clicked.

Mahir: (slowly in Bela's ear) Kya maine aapko batya ki aap bahut sunder lag rahi hai.

Bela: Ha yahi kuch 10 baar.

Mahir: Nahi toh...

Bela: Ha toh...

Mahir: Ab kaisa lag raha hai aapko?

Bela: Bahut naa... Kya batau words nahi hai mere paas.

Mahir: I know... Main bhi aise hi feel kar raha hu. Everything seems so unreal. Par main aapki tabiyat ke bare mein puch raha hu?

Bela: Main bilkul thek hu Mahir. Tum aur Vikku zyada hi tension le rahe ho. Aur Vikku toh paglo ki tarah behave kar raha hai.

Mahir: Par

Bela: No!

Mahir: Okay!

Bela: Please my cutiepie gussa mat ho.

Mahir: Main kabhi gussa nahi karta Sona. Specially aap par.

Bela: (playfully)Ha bilkul!😏

Mahir: You know its true.

Bela: (again playfully)Yes yes baby it's true.😁

Mahir: Maine aapko pahle bhi bola hai main baby nahi hu.

Bela: (mimicking him) Maine bhi bola hai ho.

Arjun comes forward and clears his throat: Tum logo ka ho gaya ho toh pose change kar lo. Photographers kab se wait kar rahe hai.

Everyone lauged and behir looked at them embarrassingly.

____________________________________

That's all for now.

To be continued...😁

Happy Diwali!

How was this part?

Share your views in comments and don't forget to vote.

BB










Bạn đang đọc truyện trên: Truyen2U.Pro