11~Exposed

Màu nền
Font chữ
Font size
Chiều cao dòng

Riddhima screamed as Vansh's hand had hit Ragini and her head hit the wall and she fell unconscious. Vansh got shocked seeing Riddhima screaming. He held her. "Riddhima? Kya hua? Itni darr kiun gayi?" he asked as she stood horrified and felt dizzy. She felt weak on her knees and held her head closing her eyes and collapsed on his chest. While trying to balance her body, he sat down and placed her head in his lap. "Riddhima? Riddhima?" he said in a shock seeing her and held her close. He looked at the place she was staring before losing her senses and found nothing strange. He stood up slowly balancing her upper body and picked her in his arms. He placed her on the bed carefully and splashed water on her eyes. She woke up startled and hugged him.

"Vansh, Vansh us ko tum ne dhakka maara, us ka sarr deewar se takraya aur woh wahan hain, woh wahan giri pari hai khoon beh raha hai," she said pointing at the same place where she stared earlier and got shocked seeing no one there. Vansh also looked there and then at her. "Kaun giri pari hai wahan Riddhima? Kaun hai wahan?" he asked and she looked at him in a shock.

"Vansh, batao kahan chhupaya us ko tum ne? Us ki body ko kahan chhupaya? Batao mujhe," she asked sweating badly and he cupped her face. "Riddhima please calm down, koi naheen tha wahan, kisi ko kisi ne nahi maara, kisi ki bhi body ko maine nahi chhupaya, understood? Shaant, ek dum shaant, relax raho, shhhh," he said and hugged her and she hugged him back staring at that place. She trembled as that scene played in her mind again and again. "Vansh, woh thi wahan, woh sach mein thi," she said almost in a whisper.

He broke the hug. "Ek second," he said and got off the bed but she held his hand. "Tum... Tum kahan ja rahay ho Vansh? Tum... Mujhe... Pagal mat samjho please... Please mujhe pagal mat samjho, main pagal nahi hoon, woh sach mein hoti hai, balkay hai, please yakeen karo mera, tum toh kehtay ho koi mere khilaaf kuchh bhi kahay ga toh tum us ki zabaan kaat do gay, koi mujhe haath lagaye ga toh us ke haath kaat do gay, ab pagal kiun samajh rahay ho?" she asked breaking down badly.

"Maine pagal kab kaha tumhe? Ek second thehro, haath toh chhoro, aa raha hoon, okay? Aa raha hoon main, jaun ga nahi, you can count on me for that, haath chhor do, please?" he said lovingly and she left his hand, he smiled slightly and wiped her tears. He went and brought his laptop and placed it on the bed starting it. She clung onto him as soon as he sat on the bed. The duo waited as the laptop started and he connected the CCTV camera to his laptop and viewed the footage of just sometime ago and waited.

He saw no one at the place of Ragini and paused it and rewinded it. "See, koi nahi tha wahan," he said and she lifted her head to watch, he played the footage and she also got shocked. "Vansh, woh sirf mujhe dikhti hai kya? Hai kya woh? Kya woh koi aatma toh nahi hai? Woh jo bhi hai na  bohat ajeeb hai, kaise pata karein ke woh hai kya cheez? Haan Vansh?" she asked in a go and he ran his fingers in her hair. "Hmm mujhe toh pehle se pata tha woh insaan nahi hai, kiun ke saaray insaan visible hotay hain, aur Riddhima, woh invisible hai, tohhh.. Ek second? Us ke pair dikhay tumhe?" he asked.

She tried to recall and nodded. "I did, seedhay thay, humare jaise," she said. "Achha toh woh churail bhi nahi, pata nahi kya hai woh," he said and she sat silent. "Achha suno, exact time hai kya uske aane ka koi?" he asked and she shook her head. "Woh kisi bhi time aa jati hai," she said. "Matlab woh 100% exist nahi karti, aatmaein din mein nahi aati Riddhima, raat ko strong hoti hain toh usi waqt aati hain, woh kisi bhi waqt aa jati hai, matlab, woh hai he nahi, its your mind playing tricks on you," he said trying to explain her calmly.

"Matlab? Tum itni surety ke saath kaise keh saktay ho? She seems to be so real," she said curiously. "Its my gut feeling, bas ek baar Riddhima, ek baar woh darwaza khulay ghar ka, hum bahar ki dunia dekh paaein, toh pata chalay ga ke woh kya hai," he said and she nodded and hugged him, he hugged her back.

************************************

Dhanak made a voodoo doll and placed it at a side. Armaan came to her. "Ab ye voodoo doll toh ban gayi Dhanak lekin is mein un ka kisi ka hair sample daalna ho ga na? Woh kaise daalo gi?" he asked curiously. Dhanak smirked and turned to him. "Bohat aasaan hai Armaan, mere kabzay mein ek chhota sa nanha sa pyara sa jinn hai, I mean jinnie, wohi karay gi jo karna hai," she said and he got confused. "Jinnie? Kahan hai woh?" he asked. She smiled. "Shinta!" she called and a light emerged and a little girl appeared before them. Armaan looked at the girl and then at Dhanak. "Ye kya? Ek chhoti si bachi? Isay tum jinnie keh rahi ho?" he asked.

"Haan toh ye bachi he humaray kaam aye gi," she said. "Don't tell me tum bacho'n ko harm karo gi," he said and she looked confused. "Kya matlab? Tumhara un bacho'n se kya lena dena?" she asked angrily. "Kiun ke main bhi ek baap hoon aur main kisi or ke bacho'n ko nuksaan nahi pohncha sakta, what goes around comes around, aur kal ko yahi sab meri bachi par na aa jaye," Armaan said somewhat scared and Dhanak clapped. "Wow, toh saath chhorna he tha toh pehle saath diya he kiun?" she asked.

He felt guilty all of a sudden. "Main bhatak gaya tha, ab main ye sab nahi karoon ga," he said and began to leave. "Armaan!" she shouted and threw a vase at him, he controlled himself and ran away from the house, she boiled in anger and Shinta stood there only. Dhanak's eyes went on her. "Shinta, tumhe kya karna hai jaanti ho? Jaana us ghar mein aur Preesha ka hair sample le lena," she said and Shinta nodded. "Aur haan Shinta, raat mein jaana jab sab so jaein," she said. "Jaisa kaha hai waisa he ho ga, ye mera wada hai aap se," Shinta said in her heavy voice, Dhanak smiled.

************************************

Preesha tried to call her amma for help but the phone kept switching off again and again. She got fed up and kept it at a side. Ruhi came to her along with Saransh. "Mumma aap itne tensed kiun ho?" Ruhi asked. "Haan mumma batao na," Saransh said. "Beta, kuchh nahi, aap log jao khelo," she said and Rudra came there. "Bacha party, beta jao, baro'n wali baat hai na? Bacho'n se nahi ho sakti," he said smiling at them and the kids obediently went away. "Preesha, tum mujhe toh bata sakti ho na?" he asked.

She looked up at him. "Kya bataun? Tum sab jaantay ho Rudra, main baar baar behosh ho jaati hoon woh bhi bagair kisi wajah ke, ek baar toh Ruhi aur Saransh par bhi attack hua, is ghar ne bhi hum ko kaid kar rakha hai, hum kab yahan se bahar niklein gay? Kab hum ko pata chalay ga ke ye sab kya ho raha hai? Kab koi solution milay ga Rudra? Call nahi kar paatay is ghar mein, kuchh nahi kar paatay yaar, ghar nahi hai ye, kaidkhaana hai," she said feeling really disappointed.

"Preesha, tum he toh humesha kehti ho na? Ke jahan burai hoti hai wahan achhai bhi hoti hai aur achhai aur burai ki jang toh sadiyo'n se chali aa rahi hai na? Aur jeet kis ki hoti hai? Sachai ki, hai na? Toh bas, jeet bhi humari he ho gi, hum sab yahan se niklein gay, hum apnay apnay ghar jaayengay, hum chain ki zindagi jeeyengay, main, tum, humaray bachay, hum sab chain se jeeyengay, hum mein se kisi ek ko bhi kuchh nahi ho ga Preesha, itna niraash mat ho, chahay koi rahay na rahay, Bhagwan toh humesha saath hota hai na? Chahay kisi se contact ho paaye ya na ho paaye, Bhagwan se toh 24/7 raabta ho sakta hai na? Toh usi ke paas jaatay hain, pooja ghar mein jaayengay, saath pray karengay, thora relief feel ho ga, sab achha ho ga, chalo," he said and stood up and took her by her hand outside the room.

They walked downstairs and went to the pooja house and went inside. They folded their hands and prayed. "Hey Bhagwan, aap jab koi sankat laatay ho, toh uska solution toh pehle he se hota hai na? Kya hai woh solution? Please humari madad kijiye, kisi ko bhej dijiye humari madad ke liye, koi toh ho ga na jo humari madad kar sakay, humein is sankat se bahar nikaal sakay?" Preesha prayed asking for solution. "Haan Bhagwan, koi toh raasta ho ga na? Kuchh bhi aisa ho ga jo humein in sab se door le jaaye, humein aur humaray bacho'n ko in sab se bahar nikaalein Bhagwan please. Kya kuchh nahi hai aap ke haath mein, sab toh aap ke haath mein hai, poori dunia ke rakhwaale aap ho, please humari madad kar do," Rudra too prayed.

At the other side, Armaan rushed to his house and went to sleeping Anvi's room. He began to pack her every item. Chacha ji came to him. "Armaan kya kar raha hai?" he asked. "Chacha ji, ek last goodbye hai ye mera, Anvi se kehna main usay bohat pyaar karta hoon aur yahi ke woh mujhe maaf kar day," Armaan said hurriedly. "Par kiun? Kahan ja raha hai tu? Aur Anvi ka samaan kiun pack kar raha hai?" he asked. "Main kaheen nahi ja raha, aap aur Anvi ja rahay ho yahan se door, bohat door," Armaan said while packing.

"Par kiun?" he asked. "Chacha ji, mujh se bohat bari galti hui hai us black magician ka saath diya hai maine ab woh mere saath saath aap log ko bhi nuksaan pohnchaaye is se pehle aap jao Anvi ko le kar, jo harm ho ga bas mujhe ho ga, main police ke aagay surrender kar doon ga taakay mere is gunah ki zimedaari mere sarr aye na ke meri bachi ke, main nahi seh paaun ga agar Anvi ya aap ko kuchh hua toh, mujhe jo karna hai karne dijiye please," he said not meeting his eyes with Chacha for even a moment. His chacha, Digvijay, held his arm and turned to him. "Hum dono akele kiun jaaein? Tu bhi saath chal, tu ne sirf saath diya hai, kuchh kiya nahi hai," he said. "Saath diya hai aur main bhi us mein shaamil hoon, aap jaein please Anvi ko le jaaein, main mar jaun ga lekin aap ko ya Anvi ko kuchh nahi honay doon ga," he said emotionally. "Armaan, dekh Anvi ki maa toh usay paida kar ke chhor gayi thi, kaun tha us ke saath? Tu tha, tu ne usay paala hai, phir Preesha aayi aur us ne paala lekin woh bhi chali gayi, bhool gayi Anvi ko, ke jab Saransh nahi tha toh usay maa bolne wali bas Anvi thi, ab us ke paas sirf us ka baap hai, main woh kami poori nahi kar paaun ga, mera beta hai tu, Anvi ka baap hai, mat kar aisay, please," Digvijay begged.

"Main samajhta hoon, lekin, main kya karoon? Majboor hoon, agar us ka saath na deta toh ye din na dekhna parta, baap hotay huay aisa kiya hai maine, sharminda hoon khud se, nahi, main is guilt ke saath zinda nahi reh sakta, mera anjaam bhi bohat bura ho ga, tarap tarap ke maroon ga, surrender karoon ga toh shayad saza kam ho jaaye aur saza e maut bhi na ho, please mujhe aisa karne dein, aap ko Anvi ki kasam," he said, Digvijay nodded painfully and they shared a hug. "Jaane se pehle main Preesha ko sab bata doon ga," he said. "Magar kaise?" Digvijay asked breaking the hug. "Pata nahi, bas bata doon ga," he said. "Armaan tere paas aisa koi nahi hai jo wahan jaye or bataye, tu Dhanak jaisa nahi ke jis ke kabzay mein jinn ho, aray tu kya karay ga? Tu wahan khud se nahi ja sakta baat ko samajh," Digvijay said.

"Hmm baat toh sach hai, magar chacha, woh un ko pareshaan karti rahay gi, batana toh paray ga he, main ek kaam karta hoon, police he inform kar de gi na Preesha ko, aap jao Anvi ko le jao, main police ke paas jata hoon," he said, Digvijay nodded emotionally and they shared a hug. Armaan looked at his precious sleeping daughter and then broke the hug and walked to her. He caressed her hair lightly and kissed her forehead. "Papa ko maaf kar dena beta, papa ke gunaaho'n ki saza ke haqdaar sirf aap ke papa hain, aap nahi, bacho'n ko aksar maa baap ki galtiyo'n ki saza milti hai aur woh main nahi chahta, isliye ja raha hoon," he said to sleeping Anvi and stood up and walked towards the exit followed by Digvijay.

Armaan turned and looked at the house for the last time and then looked at Digvijay. "Aap aisay raho gay toh Anvi ko kaun sambhaale ga? Anvi aap ki zimedaari hai, aap he ko usay sambhaalna hai," he said. "Tu bhi meri zimedaari tha, kaash tujhe sahi raastay ke liye guide karta toh ye sab nahi hota, andha ho gaya tere pyaar mein main," Digvijay said sadly.

"Aur us ki bharpaai bhi toh mujhe he karni hai, aur meri nishaani hai na aap ke paas, Anvi," he said and left from there hurriedly not wanting to stay anymore else he knew he would cry an ocean.

************************************

Later at evening, Preesha got a call and she was shocked as she couldn't call her amma earlier. "Ye call kaise aa gayi?" she said and received it. "Hallo," she said. "Mrs. Preesha Rudraksh Khurana? Police Station," said the person at the other end of the phone. "Haan jee main he Preesha hoon, kahiye?" she asked.

"Mr. Armaan Thakur ne humare agay surrender kiya hai, un ka kehna hai ke unho ne Dhanak naam ki lady ka black magic mein saath diya hai aap ko aur aap ki family ko nuksaan pohnchane mein? Kya ye sach hai?" he asked. Preesha got shocked and recalled how Saransh was possessed for a brief moment and how Ruhi was attacked, and how she also fainted again and again without any reason. "Sir humare saath kuchh issues huay hain, bohat kuchh hua hai, hum is ghar mein vacation ke liye aaye thay aur ab yahan se bahar nahi nikal pa rahay, lekin main kuchh pakka nahi keh sakti ke in sab mein Armaan ka haath hai," she said.

Rudra snatched the phone from her. "Hallo sir, main hoon, Rudraksh Khurana, aap mujhe bataein kya hua hai, Preesha toh sab ka achha he sochay gi, aap mujhse poochhein main bataun ga," he said, Preesha looked on and the police inspector marrated everything. "Jee bilkul, Armaan kuchh bhi kar sakta hai, lekin Dhanak, us se ye umeed nahi thi mujhe, Dhanak meri co star thi, aur us ka main kuchh nahi keh sakta, sir hum toh yahan trapped hain, aap jaein na us ke ghar ki talashi lijiye, aur please sir agar ho sakay toh hum ko bhi yahan se bahar nikaalne ka kuchh jugaar kijiye... Jee, thank you," he said and disconnected the call. "Kaun thi Dhanak?" Preesha asked.

************************************

At midnight, Neelojini and Shivanya appeared in Dev and Alia's room, they were sleeping. Neelojini and Shivanya felt as if they would burn by the sacred effect of the sacred idol. Prabha also appeared there and smirked. "Awww, kya hua? Kuchh nahi kar pa rahay? Nahi, kar bhi kaise pao gay? Ye moorthy nahi dikhi?" she asked mocking the duo.

Neelojini and Shivanya glared at her. "Humein gussa mat dilao Prabha," Shivanya said angrily. "Achha? Chalo batao kya karo gay warna?" she asked. Neelojini grabbed her neck and Prabha laughed and held her hand and touched it on the idol and it burnt badly. "Kuchh nahi kar saktay tum dono," Prabha said. Neelojini and Shivanya disappeared. The fairies appeared there. "Prabha, ye moorthy yahan na bhi hoti, toh bhi hum Dev ke ird gird aisa kawach banatay ke usay un dono mein se koi na bhed paata," Vijhdaar pari said, Prabha smiled. Dev came from outside the room and they got shocked.

"Ye kya? Dev toh yahan so raha tha na? Toh ye doosra Dev kahan se aaya?" Prabha asked. "Prabha, ye mera jaadu tha, maine un dono ko bhatka diya," Bhatkati pari said and aimed her wand at the bed and the sleeping Dev which was actually an illusion, disappeared. "Oh, wow," Prabha said praising her. But just then Neelojini and Shivanya reappeared outside the room and pulled Dev out by their powers, he startled. Everyone watched in a shock. They rushed outside and saw Dev getting dragged on the floor by Neelojini and Shivanya and was unconscious.

They all disappeared and appeared near them. "Neelojini! Shivanya! Chhoro mere Dev ko!" Prabha said angrily and Neelojini was about to push her but Vijhdaar pari formed a shield around Prabha hence saving her. Neelojini got electrocuted by her magic and left Dev and fell weak. Shivanya held Dev and dragged her but Vijhdaar pari did the same to her, she also left him and fell on the floor. Every fairy attacked the duo so much that they were too weak to even move. Prabha went to Dev and then looked at the fairies. "Pariyo'n, main abhi marri nahi hoon, bas apnay jism se juda hoon isliye ziada magical powers nahi hai mere paas, 0.5% se bhi kam hain, isliye, aap sab Dev ko uske room tak le jaane mein meri madad kijiye," she said and the fairies lifted Dev by their magic and took them to his room and lied him down. "Agar Dev ko Shivanya kuchh kar deti na, toh usay kuchh bhi ho sakta tha, woh jinn hai na, insaan aur jinn ka milan agar ho jaaye toh insaan ko jinn maar kar apnay saath le jaata hai, chhorta nahi hai phir," Prabha said sadly.

"Par aisa kuchh nahi hua na Prabha," Bhatkati pari consoled her. "Haan Prabha, kuchh ho ga bhi nahi," Vijhdaar pari said. "Tum jao Prabha, apnay jism ki suraksha karo," Darri Darri pari said. "Nahi main akele kaise karoon, please aap log kuchh pariyaan yahan rahein, aur kuchh pariyaan mere saath mere jism ki suraksha karein," Prabha suggested and they agreed and disappeared taking Prabha along.

Bạn đang đọc truyện trên: Truyen2U.Pro