8~Another Phase Of Oblivion

Màu nền
Font chữ
Font size
Chiều cao dòng

As they settled in their cars, they didn't move a bit. They tried everything but in vain. "Rudra, hum cabs book kara letay hain na, le jayengay car baad mein, car se zyada jaan zaroori hai, chalo cab book kartay hain, in sab ko bhi bol detay hain," she said and he nodded and took out his phone. Preesha got out of the car and informed everyone what to do and sat back in the car. After sometime they saw that every driver cancelled the ride after hearing about the location where they had to arrive. So all of them gave a location a little far from there but still no one agreed to come. "Phass gaye yaar, bahar aa kar bhi kuchh nahi ho raha," Preesha said getting irritated. "Aur hum andar bhi nahi ja saktay yaar," Rudra said. "Kya karein? Haan, by walk jaatay hain, on the way koi toh lift denay wala mil he jaye ga," Preesha said and he agreed, they got out of the car and informed everyone else as well and they all got out of the car and took their luggages. But as they got out, sand storm came and they all heard evil laughter from inside the house. Their steps were forced back inside the house along with their luggages and the door closed locking all of them inside. All of them were irritated. "Achha khaasa nikal chukay thay is manhoos ghar se, phir se andar aana par gaya," Revati said. "Kuchh kartay hain na, aisi jagah baithtay hain na jahan humein protection ho, jaise ke pooja ghar," Rakesh said. "Hum last time bhi waheen baithay thay, aur sab behosh ho gaye thay aur apni yaadaasht kho baithay thay," Preesha reminded. "Haan thora thora yaad aa raha hai, lekin dimag par zor de kar bhi kuchh ziada yaad nahi aa raha," Revati said.

"Mujhe yahan nahi rehna hai Vansh, Ragini hai iss ghar mein, woh mujhe maar de gi," Riddhima said fearfully hugging Vansh. "Par Riddhima kya karein? Kahan jaaein? Jaane ka option nahi hai," he said. "Nahi Vansh main yahan nahi reh paun gi, mujhe itni lambi neend sona hai jab tak yahan se nikalne ka koi raasta nahi mil jaata," she said. "Aur woh possible nahi hai Riddhima, unfortunately sab kuchh face karna he ho ga," he said and she cried in his chest trying to hide herself, he hugged her back even more tightly clueless on how to solve her issue.

He made her sit on couch but she refused to let him leave her side. He sat beside her. She heard the door banging. "Riddhima, darwaza kiun band hai? Andar aane de na, Riddhima, main andar aa rahi hoon, main aa rahi hoon," Ragini said which only she heard and shivered. "Riddhima, kuchh nahi hai, relax," he said and she fainted due to fear. "Riddhima? Riddhima!" he said trying to wake her up but in vain. "Ye kya ho raha hai Riddhima ko?" Revati asked. "Chachi ji woh kehti hai ke koi Ragini hai jo usay maarna chahti hai, usne ek jagah point bhi kiya lekin wahan koi nahi tha, mujhe toh lagta hai ke Ragini koi hai he nahi, bas Riddhima ki imagination hai," he said.

"Ya phir koi buri aatma," Revati said shocking Vansh. "Agar buri aatma hoti toh hum sab ko bhi toh pareshaan karti na, sirf Riddhima ko kiun?" he asked. "Kar toh rahi hai na pareshaan, Dev ko bhi toh kiya," she said. "Nahi nahi, Dev ka toh kuchh aur he issue hai, woh definitely Ragini se related nahi hai," Vansh told her.

He stood up and got some water and splashed it over her eyes, she woke up but perfectly calm. Suddenly everyone felt as if their heads were spinning and they became fine after sometime. "Ye kya? Hum toh pooja ghar mein baithay thay na aur awazein aa rahi thi hassne ki, phir hum dobara yahan kaise aa gaye? Aisa lag raha hai us ke baad kuchh yaad he nahi," Alia said. "Haan tu bilkul theek keh rahi hai, mujhe bhi bas waheen tak yaad hai," Dev said. "Ye ho kya raha hai? Kuchh samajh nahi aa raha," Riddhima said totally confused.

"Hum sab ko rest karna chahiye apnay rooms mein ja kar," Vansh said. "Lekin jeeju, humaray saath itna kuchh ho gaya, room mein ja kar bhi sukoon kahan milay ga?" Dev asked. "Bhai, jeeju bilkul theek keh rahay hain, I know sukoon nahi he milay ga jab tak hum iss ghar mein hain, lekin thora sa rest bhi hurt nahi karay ga," Alia said. "Haan, waise bhi kuchh na kuchh solution niklay ga zaroor, hum koi yahan humesha ke liye kaid nahi ho jayengay," Preesha said. "Preesha theek keh rahi hai, hum sab apnay room mein chaltay hain," Rudra said and all of them dispersed to their rooms.

************************************

"Aisa kaise ho sakta hai ke hum sab ko uss pooja ghar mein jaane ke baad ka kuchh nahi yaad?" Riddhima asked Vansh as she sat on the bed. He sat beside her. "Mujhe bhi samajh nahi aa raha Riddhima, kuchh toh bohat bari garbar hai," Vansh said. She rested her head on his shoulder. "Pata nahi kab hum iss ghar se bahar niklein gay aur bahar ki dunia dekh paayengay," she said sadly. "Soon baby soon, aray, Riddhima, balcony se kood jaein? Yahan se jaaya ja sakta hai, hai na?" he asked, she lifted her head and smiled.

"Haan, intelligent hai ye Vansh Rai Singhania bohat ziada," she complimented and he smiled and kissed her cheek. "Achha batao jayengay kaise yahan se?" he asked. "Main dupattay se rassi banaun gi, 5 6 dupattay saath mein baandhein gay aur yahan se kood jaayengay," she said and opened her suitcase and pulled out some scarves and began tying them together. "Vansh, baaki sab ko bhi batao yaar, hum koi akelay nahi bhaagengay," she said and he went out of the room. She finished making the rope and as she went to the balcony to tie it, she got shocked as her scarves began to burn, she dropped them in a shock watching them burn.

Vansh came there and got shocked seeing the pile of ash on the floor. "Ye sab kaise hua Riddhima?" he asked. "Achanak se jal gaya, Vansh, chalo aisay he koodtay hain, haan thora bohat jaan ka khatra hai lekin yahan ghar mein reh kar us se bhi ziada khatra hai, ye risk toh lena he paray ga kiun ke yahan se nikalna he hai kisi bhi tarha, chalo," she said, he nodded.

Just as they were about to jump from there, their clothes began to catch fire and they moved behind. They got shocked. "God, ab ye raasta bhi gaya, kya karein?" Riddhima asked and they both sat back on the bed. "I think rest karne ke siwa aur wait karne ke siwa koi option nahi," he said, she nodded and they lied down uneasily to sleep.

************************************

Ruhi and Saransh were also restless in their rooms. "Baday bhaiya, kitni ghutan hai is ghar mein, hum finally is ghar se bahar kab nikal paayengay? Ruhi sad hai is ghar mein reh kar, hum is balcony se kood jaaein kya?" she asked innocently.

"Nahi Ruhi choohi, nahi kood saktay, God naraz ho jayengay, yahan se koodein gay toh marr jaein gay na, aur phir mumma papa sad ho jayengay, aisa nahi kar saktay na? Nahi kar saktay na un ko sad? Isliye hum ko wait karna ho ga, okay? Tu tension mat le, kuchh nahi ho ga, baday bhaiya hain na tere? Kuchh nahi honay dengay tujhe, ek kaam kar, so ja," he said and then made her lie down and made her sleep by much difficulty. "Main bhi chahta hoon yahan se nikalna, par aisa lagta hai sab raastay band hain, isay toh samjha diya lekin khud ko kaise samjhaun?" Saransh said sadly.

************************************

Preesha and Rudra were very restless. "Bachay toh kitne pareshaan hongay na? Chalo un ko dekhte hain," she said and they went to their room and saw Saransh sleeping by resting his head on the bed board and Ruhi sleeping with her head on his lap. They went inside and made them sleep properly and went from there. "Koi toh raasta hona chahiye na yahan se nikalne ka," Rudra said and his gaze went on the CCTV cameras.

"Idea, ye dekho CCTV cameras, chalo footage dekhein," he said and they went to their room and he connected the cameras to his laptop and saw the whole footage and got shocked. "Toh ye sab hua humare saath? Ye sab bhoolein hain hum? Ke Dev par possession hua tha aur usne Alia pe attack kiya tha? Aur us pe ifreet ka bhi saya hai, Riddhima ko koi larki dikhti hai jo Vansh ko nahi dikhti, Saransh pe bhi possession hua tha, tum behosh hoti ho baar baar, Ruhi pe bhi kuchh ajeeb attack hua tha, oh God, hum ko sab ka batana ho ga," Rudra said and Preesha nodded. "Shocking baat ye hai ke hum 2 2 baar baatein bhool gaye yaar," she said.

"Phone mein reminders rakho, aur bohat saare rakho, hum ko batana hai sab ko, hum bhool bhi jaayein toh bhi humein yaad aa jaye," he said and she nodded. They took their phones and kept reminders and then lied down to sleep. "Kya plan kiya tha aur kya ho raha hai, ye kaisay jaal mein phass gaye hum sab," Preesha said and closed her eyes and a lone tear escaped her eye. "Don't worry, agar kuchh sahi nahi hona hota toh humein woh CCTV cameras nahi dikhtay, humari nazar he nahi jaati wahan, sab theek hona hai isliye humein clue bhi mila, main ek kaam karta hoon, sab ke phone pe woh footage bhej deta hoon," he said pacifying her. She slept. He too slept.

************************************

Rakesh and Revati got the footage. "Woh possession kam tha kya jo ifreet ka saya bhi agaya?" she asked getting worried. "Ek second, tum ne kaha tha ifreet possess nahi kartay, lekin jism ko apni pyaas bujhanay ke liye use kartay hain, matlab ke 2 2 alag cheezein hain, ek toh woh ifreet, aur doosra koi evil spirit," Rakesh told her and she got shocked. "Is tarha toh humara Dev bachay ga he nahi, ek taraf possession aur phir doosri taraf woh ifreet, nahi Dev ko kuchh nahi hona chahiye," she said crying badly. "Hum ko ek baar bacho'n ko dekhna chahiye, woh dono ek saath hain lekin phir bhi akelay hain, Alia kaise sambhaale gi usay? Woh toh khud bachi hai," he said. "Haan chalo, un ke paas chalein," she said and they stood up and left their room.

************************************

"Miss intelligent, kuchh soch yaar, agar main phir se possessed ho gaya aur tujh pe attack kar diya phir? Nahi nahi, mujhe kuchh hota hai toh ho jaaye, tujhe nahi hona chahiye," Dev said to Alia and she became emotional and hugged him. "Nahi, aisa mat kaho, pagal ho kya? Mujhe chhor kar jao gay?" she asked. "Achha itna pyaar? Mujhe nahi pata tha tujhe itna pyaar hai mujh se, chal ro mat pagli, nahi toh ronay ka ek aur reason de doon ga, tujhe thappad laga doon ga, samjhi," he said and ran his fingers in her hair and she broke the hug. "Maaro thappad, utha lo apnay baday honay ka faida, main chhotay honay ka faida uthaun gi," she said and took a pillow and hit him on his head.

"Oye! Shaitaan! Chhorun ga nahi," he said and hit her with another pillow, she laughed, it continued, Rakesh and Revati watched them tearfully from outside. "Becharay dono kitne khush hain, khaas kar ke Dev, usay toh pata he nahi us ke saath kya hua," she said. "I think in ko aisay he rehne detay hain," he said and took her from there. "Dekh hum dono paaglo'n ki tarha thori derr pehle pareshaan thay ab enjoy kar rahay hain," Dev said and she laughed. "Har moment ko enjoy karna chahiye na, isliye," she said and did a high five with each other. "Chalo so jaatay hain," she said and he agreed, they both slept.

Bạn đang đọc truyện trên: Truyen2U.Pro