CHAPTER 3

Màu nền
Font chữ
Font size
Chiều cao dòng

RECAP - AFTER KARAN'S EMOTIONAL OUTBURST HE LEFT THE PLACE AND DROVE AWAY BEFORE FAIZI COULD CATCH HIM 

faizi - yeh tumne sahi nahi kiya monami ( angry )

aneesh - kya sahi nahi kiya usko bhi to mere saath aisa karne se pehle sochna chahiye tha na , usne kyon mujhepe jhootha ilzaam lagaya , woh janbooch kar mere se badla lene ki koshish kar raha hai 

faizi - chup ... ek dam chup ( angry ) ab agar ek aur shabd bola na uske khilaaf to tumhe itna peetunga ki samjh nahi paoge kahan kahan dard ho raha hai 

aneesh - tum dekh rahi ho monami pehle woh karan aur ab yeh 

faizi - monami tum is aneesh ko collage days se janti ho na par hum karan ko bachpan se jante hai woh kabhi kisi se badla lene ke liye aisa kaam nahi karega 

MONAMI STOOD QUITE STILL TRYING TO ABSORB WHAT JUST HAPPENED 

faizi - hum sabit karke rahenge ki karan ne jo kuch kaha woh sach kaha ( he went from there )

aneesh - monu tum chodo is baat ko baitho yahan hum apni party continue karte hai 

monu - nahi mujhe koi party nahi karni mujhe is waqt karan ki chinta ho rahi hai woh kahan hoga abhi ?

ANEESH ROLLED HIS EYES

AFTER 15 MINS FAIZI CAME BACK TO THEM 

faizi - dekho hum saboot laye hai ki karan jo keh raha tha woh sach keh raha tha

monu - kya ? ( stood up )

faizi - hum bar ke paas wale camera ki cctv footage laye hai , usme sab saaf saaf dikh raha hai 

aneesh - he bhagwaan fas gaya mein ( in mind )

FAIZI SHOWED THE VIDEO TO MONAMI IN WHICH THEY COULD CLEARLY SEE ANEESH MIXING ALCOHOL IN MONAMI'S DRINK , SHE STOOD NUMB AFTER WATCHING THIS TEARS ROOLED DOWN HER EYES , SHE DID NOT SAY ANYTHING FOR A WHILE 

faizi - dekh liya jis aadmi pe tum aankh band karke bharosa kar rahi thi woh kaise tumhare bharose ka fayada utha raha hai , aur is aadmi ke liye tumne karan ko hurt kiya woh bahut hurt hua hai 

faizi - ek taraf kehti ho ki tum usse pyaar karti ho aur dusri taraf bharosa nahi karti , yeh kaisa pyaar hai jisme bharosa hi nahi 

MORE TEARS ROLLED DOWN HER EYES AFTER LISTENING TO WHAT FAIZI SAID 

aneesh - pyaar ? ( shocked )

MONAMI TURNED TO ANEESH AND SLAPPED HIM HARD ON HIS FACE 

monu - tumhari himmat kaise hui ? mein tumpe bharosa karti thi aur tumne mere bharose ka fayada uthaya ?

aneesh - monami listen aisa kuch nahi hai

monu - just shut up ... aur tumhare liye abhi yahi accha hoga ki tum yahan se chale jao 

aneesh - ek baar meri baa...

monu - i said just goo

faizi - agar karan academy nahi pahucha na to yeh soch lena tumhari shaamat ayegi aneesh hum tumhe chodenge nahi aaj woh bahut hurt hua hai .

monu - tumhe sunai nahi de raha jao yahan se  ( to aneesh )

ANEESH LEFT FROM THERE 

faizi - pata nahi kahan gaya hoga 

monu - faizi pls dhoondho karan ko woh kahan gaya ?

faizi - chalo hum academy chalte hai ho sakta hai ki woh wahi gaya ho aur agar nahi to thoda wait karlenge shayad aajaye 

monu - theek hai chalo ( tensed )

THEY REACHED THE ACADEMY 

faizi to a guard - bhaiya karan aya kya academy ?

guard - nahi sirji abhi tak karan sirji nahi aye hai 

faizi - oh okay 

monu - karan abhi tak acamdemy nahi aya par woh to humse 30 min pehle hi nikal gaya tha 

faizi - koi baat nahi tum tension mat lo woh aagayega chalo andar mess mein chalte hai tumne waise bhi kuch nahi khaya us hotel mein 

monu - nahi mujhe bhook nahi hai 

faizi - nahi tum chalo nahi to woh tumhara best buddy khud hi tumhe ghasset ke le ke jayega 

monu - okay ( smiled faintly )

THEY WENT TO MESS AND SAT AT THEIR USUAL PLACES 

sanju to faizi - arey faizi sir ji ap aa gaye ? karan sirji kahan hai ?

faizi - woh kisi kaam se bahar gaya hai abhi thori der mein aa jayega 

sanju - accha theek hai 

sid to monu - hey monu bro tu aa gayi ? enjoy kiya ?

monu - hmm ( fake smile )

chitra - #monami kya kya #khaya ?

monu - umm kuch nahi sirf juice piya 

chitra - #kyon ?

monu - woh karan ko achanak se kaam aagaya to woh chala gaya to humne bhi socha hum bhi academy mein hi khalenge ( fingers crossed ) 

SID NOTICED THE CROSSED FINGERS 

chitra - oh #okay 

sid - ( in mind ) kuch to gadbad hai monu jhooth kyon bol rahi hai ?

ANEESH WAS ALSO SITTING IN THE TABLE FRONT OF MONU 

MONU GLARED AT HIM AND SAT QUITELY 

monu - ( in mind ) pata nahi karan kahan hoga ? kya monu kya kiya tune usse hurt kar diya usse kitna bura laga hoga 

bala - arey dr didi kahan koye huye ho ? 

monu - aa.aa kahin nahi 

suman ji - arey monami tum kuch khaa kyon nahi rahi ?

monu - nahi nahi mein khaa rahi hoon suman ji 

SUDDENLY KARAN ENTERED THE MESS 

faizi - arey karan tum aagaye 

karan - hmm ...

MONAMI TURNED TOWARDS HIM AND SAW HIM SHE WANTED TO TALK TO HIM BUT SHE CANT AS EVERYONE IS PRESENT THERE , KARAN SAT ON THE BENCH MONAMI COULD CLEARLY SEE HIS FACE FROM THERE AS TODAY KARAN SAT BESIDE SANJU AS FAIZI WAS SITTING ON HIS PLACE 

sanju - kahan reh gaye the sirji 

karan - aa.aa woh kuch kaam aagaya tha sanju aur kuch nahi 

sanju - accha 

KARAN WAS JUST SITTING QUITE NOT DOING ANYTHING HE LOOKED HURT MONAMI WAS CONTINUOUSLY SEEING HIM BUT HE DID NOT LOOK AT HER FOR ONCE 

dilbagh ji - karan puttar lo khana kha lo 

karan - nahi dilbagh ji mood nahi hai aaj 

dilbagh ji - khaa lo putar aaj to meine apki fav biryani banai hai 

KARAN SMILED AT TOOK THE PLATE 

karan - thank you dilbagh ji 

dilbagh ji - arey thank you wank you chaddo yeh batao biryani kaisi bani hai 

KARAN TASTED 

karan - a1 ... ekdam waisi jaisi mujhe pasand hai 

DILBAGH JI SMILED 

dilbagh ji - theek hai putar aap khao aur kuch chahiye ho to batana 

karan - ji 

EVERYONE LEFT AFTER THE DINNER JUST KARAN , FAIZI AND MONU WERE LEFT 

MONU STOOD UP TO KEEP THE PLATE AND AGAIN CAME TO KARAN'S TABLE 

monu - aa .. a karan 

KARAN DID NOT LISTEN TO HER AND STOOD UP KEPT THE PLATE AND LEFT THE MESS 

monu - ab mein kya karu faizi woh to meri baat hi nahi sun raha 

faizi - tum tension maat lo , hum usse baat karte hai 

monu - hmm..

SID SAW ALL THIS , MONAMI WAS GOING TO HER ROOM BUT SID PULLED HER TO THE GARDEN 

monu - aahh ... kya kar raha hai sid ? pagal hogaya hai kya ?

sid - woh sab chod aur yeh bata scene kya hai ?

monu - kaisa scene ?

sid - meine suna teri aur faizi bro ki baat , aur karan bro tujhe avoid kyon kar raha hai ? 

monu - aa. woh sid ( told him everything )

sid - what ?!!

monu - yes !!

sid - us aneesh ki itni himmat , meine tujhe kaha tha na bro woh ek number ka kamina hai woh collage days se tere upar latto hai aur tune uske liye karan bro par bharosa nahi kiya , very baad bro

monu - i know sid .... par ab mein kya karu ... woh to mujhse baat hi nahi kar raha hai

sid - koi nahi subha try karna 

monu - okay !!

sid - chal abhi so ja ..... kal drill bhi hai .... good night 

monu - good night 

________________________________________

TO BE CONTINUED ..................

HOPE YOU LIKED IT

THANKS FOR READING

DO VOTE AND COMMENT

STAY SAFE - STAY HOME

_________________________________________

VOTE TARGET - 50 +

DATE - 18/01/2022








Bạn đang đọc truyện trên: Truyen2U.Pro