Dream or cruel reality?

Màu nền
Font chữ
Font size
Chiều cao dòng

Next part is here....

Naina Sameer ke side paar baith ke ro rahi hoti hai aur sameer apne phone paar games khel raha hota hai front seat paar pundit baithke yeh saab dekh raha hota hai aur sameer ko ishara karta hai naina ko rumaal dene ke liye.....

Naina is crying, reason is not only for leaving her mother's home, but the reason is also for her loveless future......she is continuously crying and suddenly sees a handkerchief in front of her .... When she looks at the owner of the handkerchief she sees that he is none other than Raghav ...Naina took the handkerchief from him and passed a wicked smile then she looks towards Sameer site & sees how happy he was with his phone & thoughts that...

Naina : Kitna khush lag Raha yeh Apne phone paar ....lagta hai apne girlfriend se baat Kar Raha hai....hamare life bhi kitne ajeeb hai kal taak mein kitni khush thi aur kal hi itna kuch hogaya...aur jaab mein iss rishte se inkar karne gayi toh mummy ki halad dekhkar rukgayi

Back to the morning incidents....

Hospital

Shivani: Naina didi ki hosh agayi Tu jake milkar aaa....

Naina apne mummy se milne jane lagti hai tabhi waha nurse aate hai

Nurse:yaha patient k gharwale kaun kaun hai?

Naina:mein..unki beti

Shivani:aur mein unke behen

Nurse:Aap dono hi andar chaliye doctor ko kuch kehna hai aap dono se

A few minutes later......

Doctor:Dekhiye mein aaplogo se jo poochunga uska exact answer dena hai

Naina:ji...paar doctor mummy theek toh haina?

Shivani:Didi ki saare reports sahi aaye haina?kuch hua toh nahi haina didi ko?

Doctor:accha kahiye inhe aise achank faints hone ki problem kabse horaha?aur inke sarme dard kabse hone lage?aur vomit ki problem kabse horaha exact?kal raat jaab woh behosh the behoshi mein bhi vomit nikal raha tha

Shivani:Didi ko sardard ki problem kareeb 3/4 saal se horaha

Naina:paar mummy aise kabhi faint nahi hue....kya hua doctor saab reports sahi haina

Doctor:i'm sorry to say that apke mummy ko brain tumor hua hai

Naina:kya?yeh aap kya bolrahe...aisa nahi hosakta.... Lagtahe reports mein kuch gadbad hui hai...meri mummy ko aisa kuch nhi hosakta...maasi aap inhe kahiye na reports galat hai...maasi hum kahi aur doctors ko dikhayenge...... Yeh kehke naina waha se chali jati hai

Doctor:aaplog chahe toh koyi bhi doctors dikha sakte hai chahe kahi se bhi test karwa sakte hai paar apke didi ko brain tumor hai

Shivani:doctor didi theek toh hojayenge na

Doctor:Aab operation hi unke theek hone ki last tareeka hai....Dekhiye jitni jaldi hosake unke operation ki arrangement kariye.....nahi toh kisi waqt bhi kuch bhi hosakta unke saath....aur zyqda se zyada unhe khush rakhne ki koshis kariye mental pressure bilkul bhi nahi lena chahiye usse abhi....

Kuch der baad

Shivani:Naina dekh aab doctor ne bola didi ko koyi bhi mental pressure nhi dena chahiye isse unke tabiyat bahut zyada bigar sakte hai...unhe khush rakhna hoga harwaqt...aur unki khushi teri shadi mein hai...didi chahti hai tu shadi karke apne ghar basa....didi k khatir tujhe yeh shadi karna padenge naina...tu samjh rahi haina meri baat

Naina:mummy k liye mein kuch bhi karsakti hu....aap fikar maat kijiye maasi mein yeh shadi karrhi aur ap aur apke pati ke jo plan the woh bhi successful hoga aab

Shivani:Naina tu mujhe galat samjh rahi hai...naina!Naina!

Back to the present....

Raghav: Naina! Ghar agaya hai..sameer bahar nikal bhi gaya aab tum bhi niklo gharparvesh k liye saab intezer karrahe tumhare...

Naina:Itni jaldi hum pohoch bhi gaye...

Raghav:haa...aab tum niklo jaldi

Naina car se nikalti hai aur samne ek white mansion dekhti hai aur apne mein hi khojati hai

Raghav:Naina chalo... Badme dekhlena yeh ghar aabse tumhara hi hai

Naina fake smile karke sameer k side p jake khadi hojati hai aur vidya gharparvesh ki rasam shuru karti hai....

......................................................................

Naina was looking at the decorations of the whole room because now she has come to sameer's room for the first time as Sameer's bride. she touches every item in the room and starts smiling just then Sameer comes & locked the door... Naina sits on the bed seeing Sameer.

Sameer:waha jake kyun baithi ho jo karrahi thi woh karona.....paar afsos yahan wahan kuch bhi nhi milega ..tum jo chahti ho woh almari mein milenge...tumna yeh rakhlo (uski haath mein ek chabi deke kehta hai)isse tumhe jo chahiya tha woh mil jayenge...

Naina:mein kuch samjhi nhi sameer ji

Sameer:yeh locker ki chabi hai aur lockar mein hai paisa jo tumhe chahiye... Toh jayo aur jitna paisa chahiye utna lelo after all yeh saab paisa daulat k liye hi tum jaisi middle class ladki mujh jaise bare businesman se shadi kiya hai na?aur meri basi basai zindagi barbad kardi....mere aur mere pyar ke bich deewar bangayi

Naina:yeh saab aap kya kehrahe hai sameer ji?

Sameer:itna bholi shakal maat banayo naina!mein na tum jaisi ladkiyo ko acche se janta hoon...aur janta hu tumhari asliyat bhi... accha ek baat batayo mujhse shadi karne k liye mere papa aur mini ko kaise fasaya tumne?

Naina: sameer ji..
she expects harsh words from Sameer but not this type...she can't believe her ear &  she does not understand whether it's a dream or a cruel reality?

To be continued....

That is much for today...

Will post the next part soon❤️

Hope you all like this part🤞

Please Ignore mistakes because i didn't re-read it before published & please  Do vote 🌟

Lot's of love

Priya✨



Bạn đang đọc truyện trên: Truyen2U.Pro