pre- marital feels

Màu nền
Font chữ
Font size
Chiều cao dòng

Janjghar(guest house)
Main hall, where the decorations are made , with sangeet wale, geet wali and the relatives with their small kids all around giving it a proper shaadi wale ghar ka scene
A lady is sitting in the middle of many women, gyaan baatne wali relative hamari, randheer ki bua dadi(Bd)
Bd- Aaj toh main bohot khush hu mere karmeyaa k bete ki shaadi h naacho gaao saare.
A lady(l) - Suna h randheer ki shaadi dulhan ki  behen s tay hui thi phir inki shaadi
Bd- O ji kya bataye aaj kl ki kudiyo m sanskaar bache hi kaha h jaha paisa aur gabru munda dikha apne roop aur rang s phaas leti h ab randheer jaise itne gabru jawaan aur honhaar aadmi dikhega toh ldki n toh apna imaan khona hi h saali bankr apne roop ka shikar bana liya hoga mere munde ko
W- o ji bach k rehna hoga ji aisi kudiyon s
Another lady- Ji sahi kaha
Bd- Mainu toh mere karmeya ki chinta sata rhi h pehle toh biwi itni muhfat aur ab bahu aisi shaatir pata nhi ki hona h ab uske parivaar ka
L- O  ji chinta n kro suna h ladki k maayke wale bade acche lg h bohot naam h lalaji ka lahore m
Bd- O naam hone s ki hota h sanskaar maayne rkhte h aur je sanskaar hote toh purkho ki wachan ki maryaada nhi rkhti kudi
Randheer heard all this as he has just arrived in janjghar Or guesthouse but before he could go and take a stand for amrit someone dragged her to the other side of hall
R- irritably maa inhe bhi bulaaya h aapne aapko pata h n kitne ghatiya vichaaron wali aurat h yeh
Yes it's savita raizada
S- trying to make him understand in a calm way Puttar Tu shaant reh pasand toh mainu bhi nhi h lekin tere bauji ki ek lauti bua h yeh, bohot maante h tere bauji inhe
R- lekin maa agar inhone amrit k saath ya phir unke baare m kuch bhi ulta seedha kiya n toh aap mujhse koi ummeed mt rakhiyega
S- ji thik h chote raizada ji
S- hmm yeh sb toh thik h puttar lekin teasingly janab aaj subah se gaayab kaha the huh
R- scratching his nape and blushing slightly kahi bhi toh nhi
S- hmm bada hogya h lekin itna bhi nhi ki tu mujhse kuch chupa sake
R- avoiding his mum's eyes maa sach m aisa kuch nhi h
And bas nikalne hi wala tha k
S- mil aaya n usse aur waise auraton ki awaaz badi acchi nikaal leta h mera beta
R- shocked maa aapko kaise
S-holding his ears maa hu main teri, Tu chahe koi bhi bhesh kyu n bana le pehchaan lungi m tujhe
R- holding his ears like a cute baby I'm sorry mummy ji aapse jhooth bola
S-smacking his head playfully oye sorry k bache ek hi shart m maaf karungi agar tu agli baar bhesh badalne s pehle mujhe bataega aaj toh bs hasi nikalne hi waali thi meri aur phir tere saare mehnat p paani fir jaata
Waise tere saath woh dusri ladki kon thi
R- o ji woh bhi koi ladki nhi thi ladka hi tha , uday tha
S- shocked apna uday par woh itna bhola baccha maan gya itni aasani s iske liye
R- o ji aasani s kaha bohot paapad belne pade the usko manane k liye. mummyji Agli baar n main sirf aapko bataunga hi nhi aapko saath bhi le jaunga, hm dono milke acchi acting krenge
S- shaitaan waise kya gazab ki jodi banaayi h uparwale n nhi ek itna bhola toh dusri utni hi shaitaan
R- ha baat toh sahi kahi aapne
S- waise bohot acchi dosti ho gyi h n tm sb ki
R- haa mummy ji pata hi nhi chla kb sahanis khaas kr uday aur vashma mere itne acche dost ban gye k main bezizak unse kuch bhi keh paata hu
Dreamily Kisne socha tha 15 dinon k kaam s mera lahore aana mujhe yaha 5 mahino k liye rok lega
Iss jagah s kaafi saare mazboot rishtey banake jaa rha hu main jise na toh main bhul skta hu aur n kbhi bhulna chahunga woh lalaji ji k daant m chupa hua pyaar, mummyji toh shakkar s bhi meethi h , uday ki acchai aur bholapan, vashma ki shaitaaniya, radha chachi ki woh duniya s alag harkatein aur...
S- aur amrit haina.
Bada proud feel ho rha h mujhe aaj tere p, teri pasand p, pata  h amrit jaisi ladki hum chah k bhi nhi khoj skte the tere liye, emotionally aaj tu agar yaha mere saamne bhi khada h n toh bhi uski wajah s hi, kitni pyaari bacchi h, maine toh abhi s use pure dil s beti maan liya h aur agar tune use pareshaan kiya n toh main lungi teri class

R- yeh accha h maa shaadi huyi nhi aur apne toh abhi s side badal li
S- Oye tu meri baat kr rha h tere papaji n toh abhi s mainu keh diya h k har game m har cheez m woh amrit ka hi saath dene wale h hm dono toh unki sunte nhi h toh woh ab amrit k saath team banake hume haraaenge
Tujhe pata h randheer main n unke liye bohot khush hu unhe hamesha ek beti chaiye thi main toh nhi de paayi pr Tu de rha h dekhna jaan chirkenge woh uspe aur tu chinta n kr hamare rehte buaji amrit ko kuch bhi nhi keh paaengi
Kl s Hum chaaro ki ek khushal zindagi hogi karachi m
Om niwas
Amrit's room
Amrit was busy in her lala land when lalaji and raajrani entered her room
L- holding her shoulders oye puttar ki soch rhi hha
A- Bauji main toh bas yahi soch rhi thi ki aap sb k bina kaise jeeungi main yaha toh kuch bhi galti krlu aap mainu pyaar s maaf kr dete h lekin waha pr main bahu ban k rahungi agar koi galti ho gyi toh mujhshe
B- O sun rhi h raj raniye ki keh rhi h yeh
Waise toh har baap ko apni beti ki chinta rehti h lekin main pehla baap honga shayad tk jise apni beti ki bilkul chinta nhi sata rhi
Proudly apne mucho ko tav de kr Aakhir meri beti n apne liye ek aisa rajjumar dhundheya h jo usse uske bauji s bhi zyada pyaar krta h
Ra- Aur nhi toh ki savita ji n apni beti bana k rakhna h tainu
Tere sasuraal wale toh abhi s tere naal bohot pyaar krte h
Aur ha abse unke iss pyaar k badle dher saara pyaar aur izzat dene ki zimmedari h teri
B- o ji zarur degi kyon nhi degi, dekhna apni saadgi aur prem s sabka dil jeet lena h ise
A-hugging her father pr aap logo k bina kaise rahungi main waha, mainu aap logo ki bohot yaad aani h
B- oye toh karachi h hi kitna dur jb bhi yaad aaye, randheer ko bol dena woh tujhe yaha le aaega nhi toh humne hi aa jaana h tere sasural.
Ra- lekin o ji beti k ghar jaenge accha lagega
L- o ji main toh apne bete k ghar jaunga woh bhi pure hak s apne baccho s milne proudly aakhir meri beti n mujhe daamad nhi ek heere jaisa beta diya h
Ra- o ji bilkul thik kaha aapne randheer jaisa damaad toh bade hi kismat walo ko milta h.
L- ab chl puttar Tu thodi der baad taiyaar hona shuru kr dena
Guest house
Here, randheer's mom and dad are making him ready as usual papa raizada is making him wear his bracelet and watch and this time pagdi too
K- yeh dekh yeh phagdi ratan n tujhe pehnane k liye di h keh rha tha apne vyaah vich pehni thi usne yeh pag aur woh aaj tujhe shaadi m yeh pehna hua dekhna chahta h ,abhi s puttar maanta h woh tainu aur dhyaan rkhna randheer itne pyaar k badle m tujhe bhi hmesha use meri jitni izzat deni hogi
Ra- kitni ajeeb baat h n bauji iss zamaane m jaha ladke k pita apne puttaron k liye dahej jaisi kuprathae istemaal krte h aap mainu unki care krne k liye bol rhe ho aapke inhi soch ki wajah s main aur bhi fakr k saath keh sakta hu ki main aapka beta hu. Taking them in side hug I'm so proud of u two
K and s- and we are proud of you too
S- ab chl niche baaki ki bhi toh rasmein krni h aur phir bharat leke teri amrit k ghar bhi toh jaana h use hamesha k liye lene
To which he gave his most beautiful smile which is enough for his parents to know that how much happy he's with this relation

Amrit's room
Vashma and raadha are in amrit's room to make her ready for her d- day
Amrit is sitting in front of her dressing table
Ra- O ji aaj main aapko taiyaar krungi bilkul waise jaise aapne mainu kiya tha mere liye rakhe jashn k waqt hai ji
A- ji
She was making her ready when she spotted a bracelet in her hand

Ra- o ji yeh aapne haath m kya pehna hua h
A- o ji yeh bracelet, caressing it lovingly yeh bracelet m nhi utarungi
Ra- showing her the beautiful pair of her red bridal bangles pr yeh toh ji aapki chudiyon k saath bilkul nhi jaa rha h
A- pr dil k jazbaaton k saath toh jaa rha h n ,yeh bracelet bohot khaas h aur yeh showing her anklets paayal bhi yeh dono hamare pyaar ki sabse badi nishaani h aur inka bada yogdaan h ji hamari kahaani m aur main inhe aaj k itne bde din p apne saath hi rkhna chahti hu
Ra- confused o ji mainu aap logo ki yeh pyaar wali baatein toh zyada samajh nhi aati pr itna zaroor samajh gyi hu k aap dono ek dusre s bohot pyaar krte h
Blessing her lovingly Bhagwan aap dono ko hamesha khush rkhe
Suddenly radha started crying silently
A- tensed Chachiji ki hoya, aap ro kyu rhi ho
Ra- cutely wiping her tears rou nhi toh aur kya karu ha, aap meri pehli saheli hai aur aaj aap mujhe chodh k hamesha k liye karachi chli jaengi
V- putting her elbow on radha's shoulder o ji kya aap bhi iske liye ro rhi h main hu n aapke paas teasingly hm dono milke bohot dhamaal chaukdi machaaenge jaane do isse
A- bechari bacchi already raadha ki baat sunkar emotional ho gyi thi and ab vashma n kaha toh bohot zyada dukhi ho gyi oye vashma tujhe sach m meri yaad nhi aaegi
V- back hugging her while she was sitting on the dressing chair oye jhalliye yeh vashma sahani ek baar jeena chodh skti h pr tere aur uday k bina jee nhi skti jaise main teri jaan aur randheer tera pyaar h n waise hi Tu meri jaan h aur aisa ho skta h kya ki insaan apni jaan k bina aaram s reh ske by wiping some of the tears which came even after controlling from a long time Tu dekh roz tujhe phn krke pareshaan krungi main itna jldi picha nhi chuthna merese
A- facing her best friend and crying holding her torso - mainu teri bohot yaad aani h vashma, main kaise rhungi tere bina
V- trying hard to control her treacherous tears oye kya kaise rhegi waha tera randheer raizada h n dekhna hamari yaad tk nhi aane dega aur waise bhi main toh aati hi rahungi, hum chaaro karachi k beach m jaake masti krenge
Oye ab Tu aise rona band kr
Meanwhile radha also started crying hysterically
V maa aap kyu ro rhi ho
Ra- o ji aap dono ko aise dekh kr mainu bhi bohot rona aa rha h
And the trio hugged each other crying in each other's embrace
V wiping amrit's tears oye bas kr jhalliye saara make-up kharab kr dena h tune aur trying to lift up her mood agar tere uss randheer raizada n sun liya n toh jaan le leni h meri
Kahega kaisi dost hu main jo shaking her chin lightly apni pakki saheli ko sundar banane k bajaay chudail jaisa banake le aayi mere paas
Making amrit shocked 😱
A- firmly woh aisa kbhi nhi kahenge
V- tickling her oye hoye bada yakeen h tujhe apne woh p ha
A- ha toh h yakeen iss duniya m sbse zyaada yakeen h mujhe unpe
V- to radha maa, dekh rhi h abhi s kaise randheer ko woh aur unko bula rhi h shaadi k baad bs yahi sunne ko milega ajji sunte ho
A- main koi aiji oji krke baat nhi krungi unse
V- haa woh toh dikh rha h mann m toh laddu phut rhe h slowly in her ears aakhir aaj iss raanjhan n humesha k liye uski saanjhan jo ban jaana h
A- blushed like a red tomato oye vashma bas kr n
V- bas aise hi n uske saamne jaana dekhna kaise hosh kho baithega tujhe dekh kr
Amrit is giving tough competition to red roses
Meanwhile raajrani entered the room
Ra- taiyar ho gyi puttar
V- ji taiji bas thoda ro k makeup kharab kr liya h use zara thik kr du
Ra- thik h tab tk raadha aa hm dono iske gehne acche s iske nago m rkh dete h
Raadha- ji jethani ji
After setting her makeup and helping raaj raani both vashma and raadha exited the room to look for their respective husbands leaving the mother- daughter duo alone for some u know indirect intimate talks😳

Ra- badi sohni lg rhi h bilkul ek pari jaisi
Tujhe pata h ek beti ki maa hamesha iss din s darti aati h aur intezaar bhi sbse zyada issi din ka krti h jb uski laado iss dulhan k libaz ko pehen kr apne rajkumar k paas jane k liye taiyaar hoti h uski barso ki mamta aur sanskaar le kr aaj tk ek maa waale saare farz nibhaye haa glti hui hogi toh bhi mainu pata h meri beti n mujhe maaf kr diya hoga h n
Lekin aaj woh din aa gya h jb main tujhe ek maa k roop m nhi balki teri dost k roop m tujhe kuch salaah dungi
Ra- dekh puttar mainu pata toh nhi h k tujhe shaadi shuda zindagi k baare m kitna kuch pata h pr hamesha dhyaan rkhna k pati n parmeshwar hota h
aaaj s tere zindagi m khaali ek hi insaan sbse zyada zaruri hona chaiye aur woh randheer h dekh puttar aaj shaadi k baad tere man m, tere tan p uska pura hakk hona h kbhi kisi chiz k liye mana mt krna use woh jo kre krne dena, kbhi use rokna mt aise toh mujhe pura bharosa h munde p lekin fer bhi uski har safar m, har iccha p uska pura saath dena, kbhi kisi chiz k liye na nhi krna
Zara aapa interrupted them as lalaji was calling his wife
Ra- tu jaa main hude aayi
Ra to A lovingly Mainu pura bharosa h tera rajkumar tujhe humse bhi zyada khush rkhega aur teri jholi khushiyon s bhar dega
Warding off evil sights kisi ki nazar n lage meri bacchi ki khushiyon ko
Before amrit could talk to her mummyji and ask her the full meaning of her talks raajrani went to lalaji
A- yeh mummyji ki bolke gyi mainu toh kuch samajh hi nhi aa rha h aur yeh vashma n bhi aadhi baat chod di bich m aisa kya h jo mainu nhi pata
From here they will have parallel scenes
Randheer ki baarat nikal gyi h
Randheer's pov
Aaj bohot khaas din h mere liye aaj meri amrit, mera pehla pyaar, meri raanjhan hamesha k liye meri ho jaegi
Taiyaar ho jaiye amrit m aa rha hu, aapka randheer raizada aa rha h aapko hamesha hamesha k liye apna banane

Amrit's side
Kaha h aap randheer intezaar hi nhi ho rha mujhse pta nhi kb aaenge aap mainu hamesha hamesha k liye apna banane

Suddenly she heard the sound of band baaja and gaana bajana marking that her first love, her randheer, her soon to be husband is here to make her his for forever making her feel ecstatic, blushed, loved and what not, her heart is thumping loudly in her chest and although she isn't allowed to see his groom before marriage but whom are we kidding to
First time amrit's heart and mind agreed to do this sin and with this she ran to her balcony to get a glimpse of her randheer.
But what she saw made her blushed hard as her eyes caught the most beautiful sight of the world just like her mother described
Flashback
A small amrit of around six years is sitting in her mother's lap
A- maa yeh baarat ki hondi h
Ra- tune kaha suna puttar
A- kl pados wali didi ki shaadi m keh rhe the ki unki baarat lahore ki sabse khubsurat baarat h
Meri baarat kb aaegi
Ra- jb Tu badi ho jaegi n toh chamchamate sitaaro k beech, pure dhol aur sehnaiyon k saath aayegi teri baarat jiske baarati itne khubsurat honge ki pure lahore ki ankhein dekhti reh jaegi aur unn baaratiyo k beech safed ghode m bilkul kisi rajkumar ki tarah tera dulha aaega jo ki tere saare sapnon ko sach kr dega jiski aankhon m tere liye sirf aur sirf saccha pyaar hoga jiski nighaaen bas teri iss balcony ko hi dekhti reh jaengi
A- curiously lekin kyu maa
Ra- Kyuki iss balcony m hi toh hogi n woh, iss duniya ki sabse khubsurat dulhan jise woh rajkumar hamesha hamesha k liye apna banane aaya h
A-Sachi aisa hoga
Ra- Hmm
Flashback ends
A- dreamily mere randheer
Randheer's side
He's here in front of her house ready to make her his, and obviously uski nazre hi nhi hatt rhi balcony s bechara tadap rha h ek jhalak paane k liye
R kaha h aap amrit aur kitna tadpaengi aap apni ek jhalak dikhane ko
Suddenly his eyes caught the most beautiful of the world making him reminisce that beautiful talk with his mummy ji
Flashback
A small randheer is asking her mother's questions
R-Maa meri dulhan kb aaegi
S- Yeh tune kaha se suna
R- Woh kl hm lg baarat m gye the n waha suna woh log keh rhe the ki bhaiya ki dulhan bohot sundar h aur woh hamesha unke saath rrhegi
S- Tu abhi bohot chota h puttar dulhan k liye
R- toh kya bade hone pr meri dulhan aaegi
S- ha jb tu bada hoga aur teri baarat niklegi n tb Iss duniya ki sabse khubsurat ladki apni balcony m tere ek jhalak dekhne k liye khadi rhegi apne aankhon m hazaaron armaan liye aur khaas kr tere liye dher saara pyaara liye jo ki uss din apna sab kuch chodkr tere saath hamesha hamesha k liye aa jaegi aur tujhe phir uska apni jaan s jyada dhyaan rkhna hoga
Rkhega n??
R- Ji jarur, aur main kbhi unki aankhon m aansun nhi aane dunga
Flashback ends
Ra- meri amrit.. Haaye!!
Author's pov
And when they saw each other time stopped for both of them but amrit was not able to look into his eyes for more than a minute as she's too full of this ecstatic feeling, feeling thousands of butterflies dancing in her stomach and she turned away to the other side of the curtain
When vashma entered
V- oye hoye hoye hone wale pati ko bade acche s taad liya h lgta h mann toh kr rha hoga n k bas jldi s woh andar aaye aur tujhe apne saath le jaaye
A- blushing a lot vashma
V- oye hoye hoye aaj toh gulaab bhi phike pad jaane h meri amrit k iss sharmile chehre k aage
Teasingly oye tujhe dekh liya kya tere unhone
A- haa
V- seeing randheer's searchful eyes lgta h aag barabar ki lgi hui h dono m
Haaye ab toh bas koi inhe niche bulao taki jee bhar k dekhe yeh ek dusre ko

Pls read it and give inline comments I want to know your reviews
Pls tell me
How do you feel about Bd

What do you feel about the vashritdha conversations
How do you feel about amrit and mummyji's conversation

Do you love the relation amdheer share with their parents

How do you feel about amdheer getting love from each other's family

And pls tell me how much did you like the baarat scene uske saare lines maine apne rooh s likhe h

Pls give votes and share it

Bạn đang đọc truyện trên: Truyen2U.Pro