Hindi Poem: Ishq Kya Hain?

Màu nền
Font chữ
Font size
Chiều cao dòng

Ishq kya hain ye aajtak koi na samaj paya
Ishq yeh hain ishq Woh hain yehi hain aajtak sunne ko aaya
Ishq accha bhi hain, ishq bura bhi
Ishq sajda bhi hain ishq khuda bhi
Ishq ke kayi kisse sune hain aajtak
Ishq mein lute majnuon ki
Ishq pe mite dildaaron ki
Ishq mein pade aashiqon ki
Par aajtak na jaanne ko aaya
Ki ishq haqeeqat mein hain kya?
Ishq mein paana bhi hain
Ishq mein khona bhi
Ishq mein marna bhi hain
Ishq mein jeena bhi
Ishq mein doobna bhi hain
Ishq mein upar uthna bhi
Ishq dard bhi hain
Ishq marham bhi
Ishq barbaadi bhi hain
Ishq aabadi bhi

Ishq sabke naseebo mein hokar bhi nahi hain
Ishq sabki zindagi mein khushi nahi hain
Ishq ka naam sirf khushiyan aur kamyabi nahi hain
Ishq ka rang koi ek nahi hain

Ishq ke itihaas mein
Khoon bahe bhi hain
Bahaye gaye bhi
Ishq ranga bhi hain
Ishq berang bhi hain

Keh gaye anek kavi
Ishq aag ka dariya
Ishq phoolon ka guldasta
Ishq dhalti shaam ki khoobsurati

Keh gaye ishq mein haare
Ishq kalank se bhi kaala
Ishq ka dhang na nirala
Ishq mein haani hi haani
Ishq hain behta paani
Na kabhi rukta
Na kabhi jhukta
Ishq hain bas barbaadi

Ishq ke kayi hain pehlu
Par kya saccha ishq keval ek hain
Aajtak Jo hain ishq ke upar likha
Sab mein alag hain sirf nazariya
Toh kya ishq hain sirf ek
Isko dekhne ke nazariye anek

Toh aapko kya hain lagta
Ishq kya hain?

Pratyusha

Bạn đang đọc truyện trên: Truyen2U.Pro