Hindi Short Poem: Nari

Màu nền
Font chữ
Font size
Chiều cao dòng

Nari- Bhagwan ki voh adbudh rachana
Jo janam bhi deti hain, mrityu bhi
Jo sehen bhi karti hain, vidroh bhi
Jo mamta ki chaanv hain, registan ki dhoop bhi
Jo prem pujaran hain, prem virodhi bhi
Jo Amrit hain, vish bhi
Jo trupti hain, laalsa bhi
Jo sehmi hui, bekhauf bhi
Nari- Devi hain, pishachini bhi
Jo komal hain, kathor bhi

Aise hi asankhya gunon se mandit
Vidhata ki voh rachna hain nari
Kabhi sakaratmak toh kabhi nakaratmak
Anek aadharon ka sangreh hain Nari!

Pratyusha

Bạn đang đọc truyện trên: Truyen2U.Pro