Part:2

Màu nền
Font chữ
Font size
Chiều cao dòng

In the morning
Preeta: Maa mai mandir ja rahi hu.
Sarla: Mandir?
Preeta: Ha woh aj Monday h aur Rishi har Monday mandir jaata tha ab woh nahi h toh mai jaungi
Sarla: Pta nahi kab Utrega tere sar se uss dhokebaaz ka bhoot. Usne zinda rehte teri, teri khwaishon ki kadr nahi ki aur tu uski maut ke baad bhi uske baare mei soch rahi h
Preeta: Maa pehli baat dhokebaaz toh woh nahin tha aur ye mai saabit zarur krungi aur jaha tak baat h maut ki toh woh zinda h mujhe, meri rooh mei. Mai ja rahi hu

(Preeta goes to the temple and starts praying)
After the prayer while going back  Preeta sees a man sitting on a bench near the temple. She was going when he stops him
Man: Ohh toh tum ho uss dhokebaaz ki biwi. Apne pati parmeshwar ki daily routine poori krni aai thi?
Preeta: Ji? Ap hote kon h mere pati ke baare mei kuch bhi bolne wale
Man: Really mai Kon hota hu? Mai woh hu jiski biwi ke saath tumhara pati parmeshwar aashiqui lada raha tha. I am the Karan Luthra apni wife Aisha Luthra ka not only pati
Preeta: Chup! Kya saboot h aapke paas ki woh dhokebaaz the, mai toh nahi manti aur agar aisa kuch h bhi toh jitna Rishi Zimmedar h utni hi Aisha bhi h. Waise mai aapse behas hi kyu kr rahi hu ghar jaiye
( she starts to leave)
Karan: Ghar? Konse ghar? Woh ghar jo usne tod ke rakh dia h. USS ghar mei jaun taaki uski yaadon ko dekh kr mera dum ghut ta rahe
Preeta: Toh aap mujhse kya chahte h? Yaha khadi hokar aapki baatein sunu toh I am sorry I am not interested
Karan: Interest toh tumhe hona chahiye aur hoga bhi. Meri biwi ne mujhe dhoka dia tumhare pati ke liye ab tumhare pati ki aashiqui aur meri patni ke dhoke ka badla mai tumse lunga. GET READY MS PREETA SORRY MRS PREETA RISHI MALHOTRA. Ye jo tumhari aankhon pe tumhare pati ke pyaar aur vishwas ki Patti bandhi h na usse maine na hataya Aur tumhare samne uska asli chehra na laaya toh mera naam bhi The Karan  Luthra nhi
Preeta: Aapka dimaag toh kharab nahi hogya h jo kuch bhi hua usme mera koi kusur nahi h
Karan: Kusur h tumhara sabse bada kusur ye hi h ki tumhara uss Rishi Malhotra ke sath ek rishta h. Uss Rishi ke liye Aisha ne mere dil ko toda h aur ab mai tumhe todunga (with anger in his eyes)
Preeta: Aapka ye gussa na ek din aapko hi khatam kardega. Yaad rakhiyega saza gusse se nahi gusse ki milti h

Bạn đang đọc truyện trên: Truyen2U.Pro