Part:3

Màu nền
Font chữ
Font size
Chiều cao dòng

Its night time and Preeta is alone at home as Sarla and Srishti has gone for a wedding
Preeta sits near the window and plays the song Lag Ja Gale, closes her eyes and feels the music and the cold breeze was touching her face
After some time she was going through all their memories and saw a letter. She opens the letter.
Dear Preeta
Jaanti ho jab tumhe dekha tabhi mujhe tumse pyaar hogya tha. Mai bahut khush tha jab tumne mera proposal accept kia. And I was the happiest man in the world jiss din hamari shaadi hui but ek din mai Aisha se mila tab I realised....
The letter ended here leaving thousands of questions in her mind.
Suddenly Karan's words echoed in her ears
Cheater hai woh. Aashiqui lada raha tha woh kisi aur ke saath
Preeta: Nahi aisa nahi hosakta (then she looks at the letter) pr agar sach mei aisa hua toh

At the Luthra Mansion,
Mahesh: Karan kya h ye? Abhi abhi Aisha ki death hui h aur tum yaha baithe ho apne room mei band hoke itne aaram se
Karan(angrily): Toh kya chahte h aap mai bahar aau sabko jaake batau ki Aisha ki death hogyi h aur phir sab aake sympathy jataye. Yahi chahte h na aap but u know what mujhe koi farak nahi padta
Mahesh: Tumhari wife thi woh
Karan: Cheater thi woh. Pata ni kitne din, kitne mahine se ye khel chl raha tha. Aur ap chahte h  ki mai uss dhokebaaz ki maut pr dukh jatau. Toh i am sorry. Mai aisa nahi krunga.
Mahesh: Tum samjh nahi rhe ho hamari..
Karan: Haan I know ab kya aane wala h hamari reputation, hamari izzat and all ka sawal h. Aj tk aapko aur mom ko hamesha se aapki izzat, self respect, reputation issi ka khyal raha h kaash..kaash isme se 1 percent bhi khyal aapko mera hota na toh aj hamara rishta kuch aur hota. Ap dono sirf kehne ko parents h. So called parents jinhone paida kia aur duty khatam.
He goes out of the house
Karan: Pata ni kya zindagi hogyi h  yr. Waha mere parents ko apni reputation ki padi h, ek woh Preeta jisse Apne pati pr andha vishwaas ho rkha h. Pta nahi kiss galti ki saza h. Actually galti hi toh h tumse pyar kia, galti hi h toh aj saza mil rahi h. Fair enough.

On the other side Preeta was walking on the road crushing the letter and crying
Preeta: Kuch samaj ni aarha? Woh mujhe dhoka..
She collides with a man
Man: Tum?
Preeta: Karan
(The man is revealed to be Karan)
Karan: Mera toh chodo tum yaha kaise and ye haath mei kya h
Preeta: Aapko kya?
Karan: Arre muje kya? Wait ab na mai aur tum alag nahi h. We are connected.
Preeta: Matlab? Mera aapse koi rishta nahi h
Karan: Arre rishta nhi tha but ab hai bhul gyi tumhara pati aur meri patni so show me what is this??
Karan takes that letter
Karan: Ohh toh aapke pati ka letter mila h aapko. In short sachai samne aagyi.
Preeta: Sachai? Ye aadha adhoora letter kaunsi sachai bayaan kr rha h
Karan: it's clear isne likha ki Aisha se milne ke baad he realised toh common sense lagao na ki usne ye realise kia that he doesn't love u usse Aisha ke liye pyaar aagya tha
Preeta: Matlab kuch bhi sochte ja rhe h na ap. It's not that jaisa aap soch rahe h
Karan: Fine u are just impossible. Tum batao kaisa h? Tell me? Problem pata h kya ki tumhe sachai toh sab pata h bus tum accept nhi kr rahi ho infact tum accept krna hi nahi chahti ho
Preeta: Pyaar krta tha Rishi mujse
Karan: Pyaar toh Aisha ne bhi kia tha mujhse.. pta nahi kia bhi tha ya nahi. Koi farak nai padta. Woh ek dusre se mile,  they developed a liking, pyaar hua aur hum dono ko dhoka mila. Baat khatam its crystal clear. I cant believe it koi itna andha kaise hosakta h? Samjho pls
Preeta: Agr aisa h toh iska matlab mujhme hi koi kami hogi
Karan: Had h pehle baat samaj nahi aarhi thi tumhare aur agr ab samaj bhi aa rahi h toh khud ko blame kr rhi ho. Issi, issi innocence ka faeda uthaya h usne. Pta h mai sochta hu ki tum bhi ussi dard se guzar rahi ho jiss dard se mai guzar raha hu toh mere dil mei tumhare liye soft corner develop hone lagta h but jab tum unn cheaters ko support krti ho na toh I swear mera mann krta h unka sara gussa na tumpar utar du.

Bạn đang đọc truyện trên: Truyen2U.Pro