jalan yaanii Pyaar??

Màu nền
Font chữ
Font size
Chiều cao dòng

Bismillah...

I hope u guys love this chapter ❤️🧡

Wo suit vuit pehnkar 9.30 se hi coffee shop main betha tha....

Pichli raat jab se message padha tha subah kab hogii yeh hii sochrha tha ...jaise hi 10 baje .....

Gate par Malika e Dil naraz aayi aur hairat huii...

Pero main shoes ki jagah sandals... Pehli baar shalwar kameez pehna tha... Dupatta saleekhe se bazuo main attached tha....

Chehre se saaf lagrha tha badi mehnat hui hai mangni par....

Shoulder par school bag ki jagah ladies purse tha ...

Haath main chudiya... Naak main long... Aur Baal... saleekhe se choti bani hui thi... Tude mude nahi the...

Phir sab taraf se nazar hatt Kar haath par thehar gayii Jo hinaayi lage the... Nacha nachakar hello bol rhi thi...

Haath ke theek beech mein khud ka naam Dil mein kedh likha tha....

Tabhi hello karti karti shalwar main perr atka toh girte girte bachii...

Dekhkar hasi dabaiii phir bethi toh bag utaarkar de maara table par ...

Bola yeh berehmi hazm karke .."aaj alag..bahut alag lagrhi hai ..."

Nagawari se boli "sab Dadi ammi ka rehmo Karam hai ...ammi se kehkar mere saare kurte jeans gareebo main batwadiye...aur kameez shalwar rakhwadiye😭😭😭..."

Naak sikudne par sarfaraz ko hasi aagyi...

Phir boli " yeh dekhiye..."Bangles dikhayii haath hilakar aur naak main long dikhane ke liye haath maara...

Muskurakar saamne bethi bachhi ko dekha,khoob maza aaya inkii pareshani dekh.. hasi rokkar nazre neeche Kar pucha behad sharifana andaaz main " inn sab ziyatiyo ki koi khaas wajah . ..."

Aankhein badi karke boli "mangniiiiiiiiiiiiii... Yeh sab suhaag ki nishaniyaa hoti hai... " Jispar sarfaraz ko dulhano si sharm aayii...

"Dadiammi ne aise (ungli dikhakar dhamkakar dikhaya)... Kaha hai yeh sab utar naa jae ... "

Jispar hasi rokna mushkil hogya ...wo haste hue muh banakar dekhti rahi boli " haslijiye yeh sab dramebaaziya sirf ladkiyo ke saath hii hoti hai...ladko ke maze haii... Aapko hi dekhle aapko dekhkar lag hii nahii rahaa aapki bhi mangni hogyi..."

Sochkar hairat hui inko pta hai humari mangni hogyii...

Phir bola " toh main apne matheh(forehead) par likhwalu ki Meri mangni hogyi... "

Pari ne masoomana shakal bnaii ki wo dekhta rehgya phir boli " nahii rehne dijiyee achhe nahi lagege ..."

"Toh ab achha lagta hu ???"

Sir haa mein hilaya toh hairat se dekhraha tha yeh kehkar ki achhe lagte hai khud ko nahi pta ...

"Kis liye bulayaa... ?.."

"Baat karni hai kuch.."

Socha Dil ki baat karni hai ...Kya par bola " Kya baat?"

"Arey aane dijiye sabko..."

Isse pehle ki wo kuch kehta ek modern so ladki aai aur pari ke kaandhe par haath rakhkar boli " arey parizaat aaj toh bahut pyari lagrahi hoo...."

Pari jaangyii kaun hai use full ignore karte hue menu dekh rahi thi boli shukriya ...jaise khud ki tareef na hui ho...

Sarfaraz ko yeh radde Amal bahut ajeeb laga kyuki pari toh murawwat se bhari thii phir yeh Kya dekha Tak nahii

Phir wo dobara boli " yaar apne cousin se toh milwaa...!!"

Yeh kehkar wo haath milane ke liye sarfaraz ke aage karti hai aur wo haath hi dekhrha hota hai ki ab Kya Kari??? par pari khud haath thaam leti hai...

" Kyu nahi aa milwao ... Yeh mere mangetar hai advocate sarfaraz wahab aur yeh Meri classfellow Nadiya haii..."

Yeh sunnkar sarfaraz ko hairat hui jabki Nadiya ko dhakka laga tha "mangetar!!!🤪🤪🤪🤪..yeh toh Tere cousin the "

"Har par parso hii mangni hui hai..."

Use yakeen kaha aarha tha"Jhuth naa.."

Pari boli "Sach haa... Chalo ab mjhe bhi Mubarak kaho aur inhe bhi mubarakbaad do ki Mubarak ho sarfaraz 'bhai'....shabash Chalo kaho"

Wo to yeh baat gol kargyii ...par sarfaraz ko Jo maza aaya kii pucho mat...

"Tune bataya bhi nahii "naraz hui jaise pakki saheli ho

"Arey galti hogyii abhii college aakar dholak peet peetkar bataogii ...Khush ab ...ab tum Zara mind na karo toh Hume thoda kaam tha..."

Nadiya sure sure karti hui aage badhgyii..

Boli " bewakuf kahi ki "

Saamne samjh toh sab kuch aaya lekin jataya yu gaya ki kuch b samjh nahi aaya ... Bola "bewakuf kyu ..sweet toh thii..."

Aankhein dikhayii "swweet kaha se sweet thi ...aapse shadi karna chahti thi pta nhi hai kuch..."

Socha aur namak chidka jae " wakaiii toh pehle batatii.."

Jawab aaya " toh usse shadi karlete aap ?"

Paani ka glass muh par bola " nahii ... Par baat toh karta bechari sweet sii ladki..."

Phir paani peete peete dhaska laga par tasalli bhi hui ki aana kargar raha yeh sunnkar ...yeh sunn

"Samjh nahii aarha aapke cheap ladki thi wo ..ab mujhe iss baare main baat hi nahii karni ...please 'sarfaraz'. "

Socha shukrane ke nafil padhne padege shukr hai innhone sarfaraz Bhai nahi bola jitni badi gumm ruh haii... Agar boldeti toh main khudse naraze na Mila pata...

Kuch aage kehta isse pehle ana ,sehar aur Shehryaar aate dikhe....

Here's next chap only 804 words...

I know short but only for pari sarfaraz ~lovers......

So howazzat...

Howz pari sarfaraz scenes...

N ur favorite dialogue.....

Eagerly waiting for your reply...kindly comment..

Aur apna dhyan rakhe...

Stay healthy and happy

Smile karo jaldii...

Bye

Take care of yourself ❤️

Allah Hafiz 😇




Bạn đang đọc truyện trên: Truyen2U.Pro