Noor-e-nazar💟

Màu nền
Font chữ
Font size
Chiều cao dòng

Bismillah...
Hello my lovely readers
Happy New year to all of uh

Hope this 20-20 brings lots of positivity and happiness in our lives...

So here a first chapter in this new year..hope u will enjoy it ...

Tell me how much...

Pure function main rabab aur sehar ka ek hi kaam tha....

Rabab ka zulm karna aur sehar ka zulm sehna...

Sehar jab bhi kehtii ki........

"Lipstick dark hai.. light Karlu...."

Ya" saari ka pallu dusri taraf se aage Karlu..."

Ya" braid Karlu...baalon ki..."

Toh rabab kuch na kehkar sirf chaata dikhatii..aur sehar bechari seham jaati..

Jo dekh daim jis bhi kone main hota wahii hasta...tezz...kyuki aaj wo sirf sehar ke liye toh maujood the function main....

Aisa nahi tha zulm sehne wale ko hii koi dekh raha tha ..zulm Karne wale ko bhi koi bahut gheri nazro se dekh raha tha...
Jo yaha aaa nahi raha tha bas khandaan ka naam sunn full tayyari ke saath aaaya tha....

-- -- -- --- --- ---- ----- ----*--- --- ---- --- -- -- ---  

Jab mangni ki rasam hui toh chhaaro milkar khoob royii...

Chupane ke liye sabki saheli saquib Bhai aaye toh has bhi dii....

Dadiammi ne duae di...

Sehar stage ke neeche aakar  side main bethkar ro rahi thii... Ki saamne se ek haath aaya Jo rumaal derha tha...

Usne rumaal lekar aansu saaf kiye.. aur boli" saquib Bhai .. ab hum dono hii rehjayege na ... Ana Meri sabse achhi dost hai aur pari pagal hai bilkul ,bahut yaad aaegii mujhe..."

Chehra uthaya toh saquib Bhai nahi wo to daim the...

Yeh dekhkar wo uthkar chaldi...

Waha wo rumaal ko dekhta rehgya jispar kaali kaali lakeerain bangayi sehar ke aansuo aur kajal se...

Phir dadiammi ne kaha rasam ke baad dulhano ko zyda Bahar rokna theek nahi rahega... Inhe andar le jao..

Yeh sunnkar ana ke saath sehar jaldi jaldi andar gayi jise  samjh nahi aarha tha kii yeh aaaj ho kyu raha haii....inn daim Bhai ki pareshaani Kya haii dekhe kyu jaarha hai....

Waha rabab aur pari baato ki maari araam araam se chal rahii thi.. jab Ghar ke gate par pahuchi toh rabab ko shock laga

"Yeh yaha Kya karrha hai ?" Saamne khade shaks ko dekh wo ulajh gyi...

Pari boli" guest hoga!!"

Rabab naraz hui " arey agar guest hota toh yaha akele kya karta ... Aur tujhe pta hai yeh wahi hai jisne Meri naak main dum karrkha haiii...."

Rabab ne bataya pari jhat se boli"whatt...mr.peeche?"

Rabab boli " hmmm... Tu yahi beth... Main abhi aati hu ise theek karke..."

Pari ko chair par bethakar khud aage badi... Pari ne bhi dekha ladka toh Shareef lagrha hai aur jis mehwiyat se rabab ko dekhrha hai sharafat se jaane Diya ... Khud ko watch maning bhi toh krni thi dono kii...Sach to yeh tha pari ko iss dimaag se pare ladki kii bahut fikr thii.. kaun lekar jaega ise apne Ghar ...ab agar saamne Wala khud interested hai afat gale main daalne ke aur upar se aag dono trf barabar hai toh chance lene main Kya jaarha h ...agar mulakat ke baad ladka zinda bacha toh shadi karane ka zimma pari ne khud par liyaa...

Wo gusse se tann phann karti aage badi ...janab araam se calmly khade the aur ek tuk dekhe jaarhe the....

Dono haath kamar par jamakar boli "mere Ghar Tak pahuchgye ...Hain"

Saamne se kuch jawab nahi aaya sirf nazre atki thiii... 

Phir boli" sunayii Kam deta hai... Dekh Kya rahe ho?"

Samne se iss baar jawab aaaya thoda gala saaf karke "Chand ko dekh raha hu .. yakeen jaaniye paas se Chand bahut dilkash lagta hai...."

Gusse se naak phulakar boli ki uski hasi nikal gyii " kyaaaa........ Main sab samjhrhi hu..... Khoon pilugii tumhara....."

Wo hasa aur bola " yeh toh achhi baat haii aap sab samjh rahi hai aur rahi baat khoon peene ki toh main raazi hu aisa karte hai Shaadi karlete hai aapko asaani hogii khoon peene main..."

Yeh sunn hairaan thi boli " jooti dekhi hai .... Sir par bajadugii... "

Iss baat par shadeed muskuraya tha ... Toh isko laga arey nahii Dara , dadajaan se toh zarur darega phir boli " dadajaan ko btadugii agar dobara aisa kiya toh "

Yeh kehkar wapis pari ko lene ki jagah andar badi phir palti toh awaaz aayi "fikr mat kariye ... Bahut jald dadajaan se baat hojaegii..."

Laga bilkul hi pagal hai ...andar chlti hu pari khud aajaegii....

*
Aage hi bada tha muskurate hue.... Pari saamne aakar khadi hogyii boli " aap kaun hai... Aur yaha Kya Kar rahe hai...?"

Wo bola " sabse pehle toh bahut Mubarak ho aapko ....main guest hu important call receive Karne aaya tha..."

" Maine sab dekha"

" Main call hi Karne aaya tha woh peeche se aagai.."

Pari ne apna samjhdaari mode on kiya boli " rabab ne mujhe bataya aap Roz uska aate jaate peecha karte hai... School Tak .."

Dil main 'rabab' naam dohraya purehtmaad bola " aapko yeh toh bataya hai Maine unhe aate jaate dekha par yeh nahi bataya unke school ke thik saamne Mera car showroom hai aur hum dono ki aane jaane ki timing intefaq se lagbhag same hai ..aur kuch nahi...."

Wo bhi pari thi " usko yeh baat pta nhi hogii... Khair shukriya batane ke liye ki aap kuch nahi chahte..."yeh kehkar wo chaldi

Wo jhat se bola "suniyee, main chahta hu unka rishta bheju..."

Yeh sunn pari ne Dil hi Dil dance kiya lekin normal pose kiya... "Ji... Yeh hoti hai Sharif logo ki nishani , apna naam btaye ?"

"Ehteshaam owaisi "

" Toh ehteshaam Bhai, rishta laane se pehle rabab ke Bhai aapse Milne aaege sahi rahega na "

Khush hokar bola " ji zarur .. aap kisi waqt mere office ya Ghar kisi ko bhi bhejskti hai..."

"Theek hai par aapko rabab ke Dil se yeh weham nikalna hoga kii aap uska peecha karte hai kyuki aap bhi Shareef maloom hote hai aur hum bhi bahut Shareef aur izatdaar  log hai "ab hone wale jeeju par itna impression toh jamana tha na...

Sir haa main hilaya toh pari boli "it's nice to meet uh"

Muskuraya " same here..."wo muskurati hui andar badh gyi ab Puri raat bandar bandariya ki shadi ka bhi plan banana tha...

Rabab ne agle din aakar bataya ki "aaj wo nahi dikha pari,"Khush honi chahie thi par dhukhi thi toh pari ne muskurakar Hal par Amal Karne ki thaani ...

Sarfaraz ko message Aaaya Kal milege college ke paas wali coffee shop main....

Subah teeno ko akheeree baar college jaana tha bas phir exams aur khtam graduation..

Sehar ke documents sabse pehle milege phir kuch derr baad ana ke aur phir dopahar main pari ke...

Toh sehar ko ana ne library main Milne ko kaha jabki pari ne library jaane ko saaf inkaar kardiya...

Ana library gyi ... Waha jaakar books dekhne lagii ...

Nazre uthakar dekha toh Shehryaar saamne khada tha dekhkar foran khadi hogyii ....

Salam kiya jawab dekar pashemaan bola " ana mujhe maaf kardijiye ... Uss din ke liye..."

Ana ne dekha muskurakar apne Mr.simple ko " main sab bhulgayii thi khath padhkar aap bhi bhuljaiye ... Shayad galti Meri bhi thi itna nahi ghabrana chie tha..."

Muskuraya mohabbat ko dekh " chaliye bhuljaate haai ... Khath pasand aaya aapko ..."

Sir hilakar uss baat ka jawab Diya Jo pucha aur bolkar uska jawab Diya Jo wo puch nahi paarha tha "bahut 'shehryaar'..""

Yeh kehkar wapis kitaab main dekhne lagii toh wo hasa bola "Mera naam lekar saare wehem Durr kardiye ... Waise mangni Mubarak ho would be mrs.shehryaar "

Toh sharmaiii thi wo dilchaspi se unka laal hona dekhta rha ...phir jab nazar Durr khadi sehar par padii Jo idhar hi dekhrhi thii  bola "idhar aae"

Wo jhijhak paas aai aur salaam kiya ... mubarakbaad di toh hasdiya...

Btaya kii documents toh milgaye aur pari ne message karke paas wali coffee shop par bulaya hai

Ana boli "mujhe bhii... Allah  Hafiz "

Bola "Allah Hafiz nahi... Mujhe bhi bulaya hai chaliye..."

Yeh sunn ana aur sehar ne dang ek dusre ko dekha dono ke dimaag main khatre ki ghantiyaa baji thi....

Ting ting a chap with 1360 words

So tell me...

What do you think about

Daim sehar narazgi par pyar

Rabab ehteshaam...'aaa new entry ehteshaam owaisi how's he's

Ana Shehryaar mr n Mrs simple

Pari n sarfaraz upcoming drama....

Ur favorite dialogue

Ur favourite scene...

Do votes n comment

Stay happy n healthy

Allah Hafiz
Bless you






Bạn đang đọc truyện trên: Truyen2U.Pro