Chapter 2b

Màu nền
Font chữ
Font size
Chiều cao dòng

Shalini was massaging Bhavesh's feet.

Hoo hooo oooo..

Hoo hoo hooo�

Oooo..hoo�hooo..oooo

Hooo hooo�

 

Kaise mujhe tu mil gayi,

Kismat pe aaye naa yakeen,

Utar aayi jheel mein jaise chand utarta hai kabhi,

Haule haule dheere se,

Gunguni dhoop ki tarah se taranum mein tum,

Choo ke mujhe guzari hu yu,

Dekhu tumhe ya mein sunu,

Tum ho sukoon, tum ho junoon,

Kyu pehle naa aayi tum?

Kaise mujhe tu mil gayi, hoo hoo..

Kismat pe aaye naa yakeen, hoo hoo..

Later, Yamini saw Bhavesh's bed and his pyjamas soiled. He hadn't realized it due to paralysis. She became angry.

Y~Bhavesh! (he got scared and looked at her) ye kya kiya? Poora bed ganda kar diya, bachpan wali aadat gayi nahi kya? (Shalini came there) ab isay saaf kaun karay ga? Teri maa karay gi kya? Chal saaf kar, uth!

She grabbed his arm pulling him harshly, Shalini rushed and made her leave.

Sh~ye kya kar rahi hain aap? Ye waist down paralyzed hain, aur is mein aisa hona common si baat hai

Y~oops sorry mujhe pata nahi tha

Sh~behen hotay huay aap ko apne he bhai ki khabar nahi? Aise maamlaat ko gusse se nahi, patience se handle karna chahiye

Yamini grew embarrassed.

Y~m sorry, chacha chachi ke marne ke baad maine he humesha apne bhai ki dekh bhaal ki, par abhi aap is ki nurse ho, pata nahi kya sochengi, isliye daant diya maine

Sh~main kya sochoon gi? Ye mera pehla case nahi, it happens, ab aap ko pata lag gaya na ke wo paralyzed hai aur khud se kuchh nahi kar saktay, so you should take care of him, right? (Yamini nodded faking a smile) ab dekhiye bed geela ho gaya un ke kapre geele ho gaye, wo kaise rahengay aise geele kapro'n mein?

Y~main change kar deti hoon

She went and brought his clothes and approached him, he shivered. She began to unbutton his shirt but began to feel like vomiting and ran away.

Shalini thought:kya tha ye? Abhi kaha bachpan se Bhavesh ki dekh bhaal ki hai, phir aisa behavior kiun?

She sighed and walked to him, he looked at her feeling embarrassed.

Sh~umm Bhavesh, its normal, its okay, abhi Pratham bhai hotay toh wo ye sab kar detay lekin yahan toh sirf main hoon, are you okay agar main he kar doon change?

Bhavesh lowered his eyelids and nodded. She began to unbutton his shirt, he felt goosebumps once again. Pratham entered and noticed the scenario but seeing the soiled bed, he understood everything.

Pr~Shalini, (she looked at him) main kar deta hoon, aap hat jaiye

She nodded and walked out to give them privacy. Pratham looked at him.

Pr~sharma mat Bhavesh, bhai hoon main tera, bachpan mein bohat baar kiya ho ga ye sab tere liye, ab bhi kar sakta hoon, (he changed his pyjamas) waise abhi kya chal raha tha? Ye shirt unbuttoning wala kaisa scene tha? Tere saath aisa scene first time hua kaisa laga? (Bhavesh giggled) hmm ye goosebumps kaise? Kya chal kya raha hai bro? Bata bata

He asked changing his shirt. Bhavesh blushed.

Bh~kaisi baat kar rahay ho bhai? Wo bas meri nurse hai

Pr~kal toh tum dono dost banay thay

Bhavesh chuckled. Pratham shifted him to couch and changed the bedsheet for him and shifted him back on the bed. Shalini came back. Pratham began to leave.

Sh~mujhe aap se kuchh baat karni hai

Pr~mujh se?

Sh~jee

Pr~kahiye

Sh~aap ki behen ka behavior kuchh ajeeb sa hai Bhavesh ke saath

Pr~main samjha nahi

Sh~abhi wo Bhavesh ko zabardasti khara karne ki koshish kar rahi thi, keh rahi thi ke bed khud saaf kar

Pr~what? Aap ko zaroor koi ghalat fehmi hui hai

Sh~main kiun jhoot bolun gi? Bhavesh tum batao na

Bh~bhai, Yamini didi toh bas mazaak kar rahi thi

Shalini was shocked.

Sh~nahi, aise gusse mein kaun sa mazaak aur kaisa mazaak?

Pr~Shalini, I know aap ka kaam hai patient ke liye achha sochna thanks, lekin Bhavesh ne keh diya na it was a joke, so leave it

He left. Shalini looked at Bhavesh.

Bh~m sorry, main ye baat bhai ko nahi bol sakta, dekh lo abhi aap ne kaha toh wo kahan maane

Sh~mere bolne aur tumhare bolne mein fark hai na, tum apne ho un ke

Bhavesh got quiet.

Sh~ab apni Hitler didi se tumhe larna hai ya darna hai, wo tum decide kar lo, aur mujhe bhi bata do, bas itna yaad rakho ke jitna tum daro gay, utna he tumhe daraya jaaye ga

Bhavesh looked on.

Yamini came to Pratham.

Y~Pratham sun, maine na tere liye ek rishta dekha hai

Pr~didi please, I told you already ke main shahdi karoon ga toh bas Devlekha se karoon ga, aur kisi se nahi

Y~tumhari wo Devlekha bol toh sakti nahi kuchh, us dumb se shahdi karo gay tum?

Pr~pyaar karta hoon main us se aur shahdi usi se karoon ga, aur haan, Bhavesh jab tak theek nahi ho jaata main shahdi nahi kar sakta

He left, she fumed.

Mannat was admitted in the same hospital and Zorawar was waiting outside. Doctor Viraj came out.

Z~kya hua doctor?

V~congratulations, she's pregnant, (Zorawar smiled) aise mein in ko kisi tarah ka bhi stress mana hai

He left and Zorawar walked in and became emotional.

He thought: ab kaise chhor kar jaun isay?

Mannat began to stir and Zorawar rushed to her.

Z~Mannat

She looked at him.

Mn~aise kya dekh rahay ho? Tum toh mujhe chhorne walay ho na?

Z~Mannat, promise main is bachay ko bohat pyaar karoon ga aur isay apna naam bhi doon ga, lekin tumhare paas wapis aana impossible hai

Mn~kiun? Kya hai us Avneet mein aisa jo mujh mein nahi hai? Batao na main kahan kam reh gayi jo tumhe wo chahiye main nahi? Aur... kya kaha tum ne? Bacha?

Z~haan Mannat, tum pregnant ho, tumhari kok mein humara bacha hai.

Mn~mera bacha, ye sirf aur sirf mera bacha hai. Kok meri hai na toh bacha bhi mera hua. Tumhara is par koi hak nahi, bhool jao isay, mera bacha bas sirf mere saath rahay ga. Main legal action loon gi. Is bachay par hak mat jatao, leave!

Z~Mannat, dekho please aise mat karo, wo jo shahdi hui na, bas sirf tumhe aur Khushi ko protect karne ke liye ki maine, (Mannat narrowed her eyes at him) main bas tum se pyaar karta hoon, agar main ye shahdi nahi karta, toh wo tumhe aur Khushi ko maar daalti

Mn~banda call kar leta hai, bata deta hai kisi bhi tarah, hum saath mein solve kartay is baat ko. Lekin ab jao us se shahdi toro agar main aur mera bacha chahiye toh. Aur police se restriction order lo us ke khilaaf.

Z~ye toh maine socha he nahi, achha main tumhare discharge papers ready karwata hoon aur phir hum ghar chaltay hain

He went. Mannat was discharged and he took her home after getting restriction order, Avneet left fuming.

 

Shockingly, Janvi disappeared from the hospital and as Khushi was in cafeteria, she came back and got shocked seeing Janvi not there. She got tensed and rushed to reception.

Kh~suniye, meri mumma kho gayi hain, wo kamre mein nahi hain

Rec~un ka naam?

Kh~Janvi Singh

Rec~okay beta main check karwati hoon

Khushi nodded.

Kh~main ek call kar loon?

Rec~haan

Khushi rang up Mannat who picked the call.

Kh~hallo maasi, mumma kho gayi, wo kamre mein nahi hain

Mn~beta main police ko inform karti hoon don't worry, aap jab tak hospital mein he raho, maasi aati hain

Call disconnected.

 

 

 

 

 

Bạn đang đọc truyện trên: Truyen2U.Pro