Chapter 3

Màu nền
Font chữ
Font size
Chiều cao dòng

Mannat and Zorawar came rushing inside the hospital and seeing them, Khushi ran to them and hugged Mannat.

Kh~maasi, mumma pata nahi kahan gayi, mujhe bohat darr lag raha hai. Mumma kahan ho gi? Kis ke paas hongi? Theek toh hongi na?

Mn~beta aap tension mat lo, aur bilkul mat darro, mumma ki strong girl ho na? Brave girl ho na? Be strong for your mumma, aap ko mumma chahiye na? Main safely le aaun gi mumma ko.

Kh~maasi, (she released the hug) mujhe lagta hai jis ne mujhe kidnap kiya na, usi ne mumma ko bhi kidnap kiya, ab wo pata nahi mumma ke saath kya ho ga.

Mn~kuchh nahi ho ga, maasi kuchh nahi hone dengi aap ki mumma ko, hmm

Khushi cried hugging her.

Z~Mannat, humein Avneet ki police complain kar deni chahiye

Mn~mujhe darr hai ke agar hum ne police complain ki toh kaheen wo di ke saath kuchh kar na de

Z~toh phir humein kya karna chahiye Mannat?

Mn~usay confront karna chahiye lekin ye baat ki usay bhanak tak na lagay ke main pregnant hoon warna us ka next target humara bacha ho ga

He nodded.

Avneet was angry over Zorawar leaving her behind and caring for Mannat.

Av~ek baar phir Zorawar mujhe chakhma de gaya

"Aur tum? Tumhara kya? Tum bhi toh jo karti ho wo bhi maafi laayak toh nahi hota na meri nakli patni?" she looked back to see Zorawar with Mannat.

Av~nakli patni ka kya matlab?

Z~yahi ke wo shahdi toh bas ek dikhawa tha. Tumhe jis court mein bhi ja kar tamasha karna hai kar lo, jis bhi mandir mein ja kar Bhagwan ke aagay tandav kar lo, lekin sach yahi hai, ke legally main bas sirf aur sirf Mannat ka pati hoon, tumhara nahi

Mn~tum jal ke raakh ho jao ya jo marzi kar lo Avneet, tum humein kabhi alag nahi kar pao gi, bohat hua ye khel tamasha ab batao kahan hain meri Janvi di?

Av~Janvi sahi salamat chahiye na? Toh phir chhor do Zorawar ko, ek doosre se alag ho jao, saunp do apne pati ko mujhe, phir le jao Janvi ko

Mn~kaisi aurat ho tum? Ek shahdi shuda mard pe nazrein jamaye baithi ho? Us ke liye tum is hadh tak gir gayi ke Khushi ko kidnap kiya tum ne? Aur us se bhi dil nahi bhara toh mujhe bhi kidnap kiya aur ab meri di ko bhi? Ek bachi se us ki maa ko door kar rahi ho? Aray sharam karo

Av~sharam? Wo tum karo, mujh se mera hone wala pati chura liya aur ab...

Mn~wo pati bas sirf mera hai

Av~wo mujh se pyaar karta tha

Mn~karta tha, karta hai nahi, khuli aankho'n se sapne dekhna band karo

Z~ab batao Janvi di kahan hain?

Av~ waheeen jahan koiiii aata jaata nahiii

She laughed making both of them angry.

Mn~mazaak ka wakt nahi hai Avneet, kiun aisa kar rahi ho? (she folded her hands before Avneet) mujhe bata do meri di kahan hai please

Av~itni shiddat? Chalo bata deti hoon

She picked her phone and showed her a video. Mannat and Zorawar were shocked to see Janvi locked in a box begging to be freed.

Mn~Avneet ye kahan hain please bata do, haath jorti hoon tumhare aagay

Av~give and take darling, mujhe Zorawar de do, badle mein Janvi le lo

Mannat looked at Zorawar who blinked his eyes in assurance.

Z~main tumhara hone ko tayaar hoon Avneet, ab toh bata do Janvi kahan hai

Av~tumhare he ghar ke pani ke tanker mein

Mn~chalo Zorawar

Av~Zorawar kaheen nahi jaye ga, tum jao gi bas sirf

Z~Avneet, dekho usay tairna nahi aata, mujhe us ki madad karne do, bas phir main aa jaun ga

Av~theek hai jao, lekin agar is baar chakhma de kar bhaage toh anjaam bohat bura ho ga

Zorawar and Mannat left.

Viraj came to check on Jhanvi but on not finding her, he went to the reception.

V~excuse me, wo meri ek patient thi Janvi Singh naam tha un ka, unhein yahan se discharge mil gaya hai kya?

Rec~nahi doctor, wo hospital se he gayab ho gayi

V~what?

Rec~un ki beti ne mujhe bataya, maine police ko inform kiya, ab wo aa kar check karengi

He walked off.

V~kya hua ho ga Janvi ko? God, please Janvi ko safe rakhna. Aise mein un ki behen pregnant, bachi dari hui ho gi, kitna stress ho raha ho ga un ko. Kaash ke main thori help kar paata, (just then he saw Khushi walking in the hospital, he walked to her) Khushi, beta kya hua? Mumma mili?

Kh~doctor wo maasi aur mausa ji gaye hain unhein dhoondne, par mujhe phir bhi bohat tension ho rahi hai, ghar pe koi tha nahi aur samajh he nahi aya kis se baat karoon

V~aap ki maasi aur mausa jee ko pata hai aap yahan ho?

Kh~nahi pata

V~very bad, aap ko unhein aise inform kiye bagair yahan nahi aana chahiye tha, ab dekho aap ki mumma ke gayab hone se wo waise he bohat pareshaan hain, ghar aayengay ayr aap nahi milay toh aur pareshaan hongay, you should have informed. Aap ko number yaad hai un ka?

Kh~jee mujhe yaad hai

She told him the number and he dialed, Zorawar picked the phone.

V~hallo, Dr Viraj speaking. Mujhe bas inform karna tha ke Khushi yahan apne aap hospital aa gayi hai

Z~oh achha, thanks for informing

Call disconnected.

V~Khushi, promise me. Aap aainda aisa kabhi nahi karengi, zaroori nahi har baar aap ko koi na koi help mil jaaye, aap ne tv mein dekha hai na ke dunia mein bohat saare bad people hain? Wo kya kartay hain bacho'n ke saath pata hai na? Utha kar le jaate hain apne saath, isliye aainda aise kabhi ghar se akele bahar mat nikalna, kisi na kisi baray ko saath lena, hmm, promise?

Kh~promise

He smiled at her and she smiled back.

V~chalo aap mere cabin mein raho meri nazro'n ke saamne, okay? Abhi main waise he free hoon, come

He took her to his cabin and made her time pass by her favourite cartoons. They bonded together really quick.

Police arrived at the hospital and checked cctv footage and captured Avneet's pic. Next moment, Zorawar and Mannat freed Janvi and made a complain to the police about Avneet and she was arrested on the charges of kidnapping and attempt to murder by which once again she grew furious. Janvi was brought back to the hospital after she was saved. Dr Viraj was informed about it and her check up was done.

V~she's fine, bas observation mein rakhna ho ga, kiun ke itni der tak sandook mein band rakha gaya hai inhein

Kh~mumma aap theek ho na? (Janvi nodded caressing her face a little) main bohat dar gayi thi mumma

J~ab daro mat, mumma theek hai beta, mera pyara bacha. Achha batao aap hospital mein pehle he se kiun thay? Aap ko ghar pe hona chahiye tha na? Itni der se aap yahan akele thay kya?

Kh~nahi mumma, mujhe maasi ghar le gayi thi, lekin mqin yahan phir se aa gayi thi, lekin main akeli nahi thi, doctor uncle thay mere saath

J~aray? Umm, thank you so much doctor, aap ko koi pareshaani toh nahi hui?

V~nahi nahi, koi pareshaani nahi hui, Khushi toh bohat pyaari bachi hai. Excuse me

He left.

Mn~di, mere paas ek bohat achhi news hai aap ko dene ke liye, Khushi ke saath finally koi khelne wala aane wala hai

J~matlab? Kya main maasi ban'ne wali hoon?

Mn~haan, main pregnant hoon

Janvi smiled emotionally.

J~suna aap ne Khushi? Aap didi ban'ne walay ho

Kh~yayyy, finally mera bhi koi bhai ya behen aye gi, m so happy

Khushi hugged Mannat.

J~waise Mannat, Avneet chahti kya thi?

Mn~mera pati

And then she told her everything.

J~kitni besharm larki hai, achha hai jail mein hai, Bhagwan karay wo kabhi wapis na aye

 

Shalini was tensed recalling Yamini's behavior with Bhavesh, Pratham not believing her and Bhavesh denying her statement against Yamini.

Sh~mere bolne se bas sirf Pratham bhai maan nahi jayengay, mujhe un ko saboot la kar dena ho ga, wo kuchh bhi ho sakta hai. Mujhe video banani ho gi Yamini jee ki aisa kartay huay, magar kaise? Bohat chalaak hain wo, ek voice recording bhi bohat ho gi. Main apne phone ka sound recorder on kar deti hoon, aur Bhavesh ke kamre mein chhor deti hoon

She switched on the sound recorder of her phone and went to Bhavesh's room and saw him sleeping. She placed her phone on the bedside table and left the room.

Pratham met Devlekha who gave him a note. He read it, it said:

"Mere parents meri kaheen aur shahdi karaane ki soch rahay hain, us larkay ke sasural walo'n ko bas sirf mere papa ki position se matlab hai, jis se us larkay ko first young judge bana diya jaaye ga, us ke baad main bas sirf un sab par ek bhoj ban kar reh jaun gi. Us larkay ne khud mujhe aa kar bataya, kiun ke main toh baat kar nahi sakti, meri majboori ka wo faida utha raha hai."

Pr~Devlekha, tum baat nahi kar sakti toh kya hua? Main toh bol sakta hoon na? Main bolunga tumhare liye, main tumhari awaz banoon ga, tumhare parents ko ye baat main bataun ga, wo ye shahdi hone he nahi dengay, aur phir humari shahdi fix ho jaye gi, (she hugged him emotionally) chalo baat kartay hain Devlekha, (he said hugging her back) tumhare ghar walay tumhari sunengay us ki nahi.

She released the hug and smiled at him.

Bhavesh woke up and then Shalini came to him.

Sh~wakey wakey sleepy head

Bh~(smiled) Pratham bhai ghar pe hain kya?

Sh~nahi toh, wo toh bahar gaye huay hain

Bh~mujhe bohat zoro'n ki bhook lagi hai

Sh~haan main hai na kuchh dekhti hoon ja kar fridge mein

She took her phone and left. She saved the recording but it was blank, so she switched on the camcorder and checked the fridge but there was nothing, then her gaze went on the apple and she picked it and washed it. She went to Bhavesh and gave it to him and set the phone hiding it partially. She watched him and smiled at how cute he looked with an apple in his mouth. He caught her staring at him.

Bh~kya hua?

Sh~kuchh nahi, cute lagtay ho yahi dekh rahi thi

He chuckled.

Bh~thanks. Waise suno, main bohat pareshaan kar raha hoon tumhe I know, lekin mujhe Nutella chahiye, udhar cabinet mein pack hui pari hai, tum la do gi please?

Sh~yes sure

She stood up and went to get it and then came back giving it to him, he grabbed it unsealing it. She gave him a spoon and he began to have it and then gave it back to her.

Bh~tum bhi kha lo thori

She also had it.

Bh~Shalini, (she looked at him) tum ne wohi spoon use kar liya

Sh~oh, its okay yaar, dosti mein na chalta hai, you knoe pyaar barhta hai

Bh~matlab aap ko mujh se pyaar hai?

She got quiet and blushed, he looked on.

Sh~umm Bhavesh wo massage ka time ho gaya, main bas abhi aai

She went and came back with the oil and sat to massage his feet. He watched her as she massaged his feet.

Bh~jawab diya kiun nahi?

Sh~jawab hota toh zaroor deti, jawab hai he nahi mere paas toh. Lekin tumhare paas zaroor hain.

Bh~kis baat ka jawab? Pyaar walay sawaal ka?

Sh~nahi, is sawaal ka ke tumhe kaun aise hurt kar raha hai? Kaun tumhe bruises de raha hai? Sach batao, wo Yamini he hai na? (he became speechless) hmm ab jo maine dekh liya aur jisay tum ne mazaak ka naam de diya, ab usay accept karne mein darr kiun rahay ho? Yahan koi nahi hai bas sirf main aur tum ho

Bh~kiun jaan'na chahti ho ye sab? Kya karo gi jaan kar?

Sh~tumhe us se chhutkaara doon gi, tumhe insaaf dilaun gi, phir koi tumhe aise torture nahi karay ga

Bh~jo ke impossible si baat hai, tum ne dekha na bhai ne meri baat ka yakeen nahi kiya

Sh~kiun ke mere paas koi saboot nahi tha apni baat ko saabit karne ka, aur wo saboot tum khud ho gay, bol do Bhavesh please, main sab theek kar doon gi

Bh~sach bolne se darr lagta hai. (she looked at him pitifully) wo insaan jisay mujh se pyaar karna chahiye wo mere saath abusive hai. Mujhe khaana bhi nahi deti, bohat tang karti hai, aur jab Pratham bhai saamne hote hain toh aisa react karti hai jaise mujh se bohat pyaar karti ho aur akele mein kuchh aur he hoti hai, maarti hai, emotionally abuse karti hai, us ne meri life ko narak bana kar rakha hai. (then he saw Yamini at the doorstep and got scared and looked away) tum yahi chahti thi na ke main yoon kahoon? (Shalini got shocked) lo keh diya. (he folded his hands before her) haath jorta hoon tumhare aagay, wo sach mein mere saath bas sirf aur sirf mazaak kar rahi thi, bhai behen ka rishta aisa he hota hai Shalini, shayad tumhara koi bhai behen nahi isliye tum nahi samjho gi. Shalini tumhe bohat kam time hua hai ke tum Yamini di ko jaanti ho, aur main unhein saalo'n se jaanta hoon. Wo toh mujh se itna pyaar karti hain ke na toh tum ne aisa pyaar kaheen dekha ho ga na aise pyaar ke baare mein suna ho ga. Us jaisi behen Bhagwan kisi ko na de.

She gasped.

He thought:sorry Shalini, sach toh maine bola aur bolna bhi chaha, lekin galat timing pe Yamini aa gayi

Yamini entered inside.

Y~mil gaya jawab? (Shalini startled and looked back at her) tum kal ki aai hui larki ho, tumhe kya pata hum dono ka pyaar? Nurse ho bas nurse bani raho, ziada is ghar ke maamlaat mein taang mat araao. Aur Bhavesh?

Bh~jee.. Jee Yamini di

Y~tujhe kuchh bhi chahiye ho toh awaz laga dena

Bh~jee

She left. Shalini looked at Bhavesh who looked down avoiding meeting gaze with her.

 

 

 

 

Bạn đang đọc truyện trên: Truyen2U.Pro