Chapter 4

Màu nền
Font chữ
Font size
Chiều cao dòng

He thought:sorry Shalini, sach toh maine bola aur bolna bhi chaha, lekin galat timing pe Yamini aa gayi

Yamini entered inside.

Y~mil gaya jawab? (Shalini startled and looked back at her) tum kal ki aai hui larki ho, tumhe kya pata hum dono ka pyaar? Nurse ho bas nurse bani raho, ziada is ghar ke maamlaat mein taang mat araao. Aur Bhavesh?

Bh~jee.. Jee Yamini di

Y~tujhe kuchh bhi chahiye ho toh awaz laga dena

Bh~jee

She left. Shalini looked at Bhavesh who looked down avoiding meeting gaze with her.

 

Sh~kya.. Kya tha ye Bhavesh? (tears formed in his eyes, she moved closer to him on the bed) kya tha ye bolo na? Kyun kiya aisa tum ne? Bhavesh main kuchh poochh rahi hoon jawab do mujhe. Bhavesh.... (she saw tears escaping his eyes) hey, don't cry. (she saw a tissue box in his room and puleld out a tissue wiping his tears) Bhavesh, dekho, (she cupped his face making him look at her) tum mein himmat hai, you're strong, just abhi abhi tum ne ye baat prove ki hai, tum bhalay he aakhir mein mukkar gaye, lekin tum ne mujh se sach bola. Bola na? Ho na tum strong? Ho na? (he nodded) bas phir, daro mat. You know what? (she whispered) maine sab record kar liya hai, (he looked at her shockingly, she whispered) aray daro mat, main sab sambhaal loon gi

Bh~(in low voice) lekin Shalini, jo maine aakhri mein kaha, us ka kya?

Sh~(in a whisper) main edit kar doon gi

Bh~phir Yamini kya karay gi? Kya wo Pratham bhai ko phir se behka toh nahi de gi?

Sh~ye video proof hai that you have been abused, aur... (she looked at the doorway and lowered her voice again) aur ye ke ye bruises tumhari body par kahan se aye, ye bhi pata lag jaaye ga.

He looked on hopefully and they shared a hug.

Devlekha's parents, Naitik and Akshara were having a talk with Yuvraj, the guy with who they had fixed her marriage.

N~beta hum tumhara kis munh se shukriya kahein? Tum bawajood is ke ke humari beti Devlekha bol nahi sakti tum us se shahdi karne ko tayaar ho

Yu~bol nahi sakti toh kya hua? Har jagah us ki zabaan main ban jaun ga, us ki aawaz ban kar goonjun ga, aur shukriya ki kya baat? Ghar ka hone wala damaad bete se kam nahi hota na uncle, aap ne mujhe beta kaha hai, toh bas shukriya ki toh koi baat he nahi

Ak~bilkul, tum humare bete he ho, Devlekha bohat khush rahay gi tumhare saath. Bhagwan ne meri bachi ke sahi jagah naseeb chamkaaye hain

"Chamkaaye toh bakhoobi hain maa jee, lekin is 3 2 1 Pillai ke saath nahi, mere saath," the trio looked at the entrance to see Pratham enter with Devlekha.

Ak~tum kaun?

Pr~namaste, main Pratham, Devlekha ka boyfriend, jis se Devlekha bohat pyaar karti hai, aur jis se main bhi bohat pyaar karta hoon

Naitik and Akshara looked at each other and then at Yuvraj.

N~beta lekin...

Pr~rukawat ke liye khed hai uncle, jaanta hoon aap ne meri Devlekha ki shahdi is 3 2 1 Pillai ke saath fix karwa di hai, lekin kya aap ne ek baar bhi apni beti se jaan'ne ki koshish ki hai? Ke ye jo meetha meetha bana hua hai aap ke agay, in meethi meethi baato'n ke peechhe kaisi baatein chhupi hain? Ke is ne aap ki beti se akele mein kya kaha hai? Is ne kaha hai, ke ye bas sirf aur sirf aap ke retired judge ke ohaday ka istemaal kar ke 1st young judge ban'na chahta hai, aur ye ke shahdi ke baad Devlekha us par bas sirf bhoj ban kar reh jaaye gi, (he took out Devlekha's written letter and gave it to him) pehchaante hain na apni beti ki likhaai? Parhiye isay, is mein saaf saaf sab likha hai, bataiye kya aap sach mein usay apni beti dena chahengay jis ke liye wo sirf bhoj hai, ya usay dena chahengay jo usay rani bana kar rakhay ga?

Naitik and Akshara read the letter and got shocked.

N~(to Yuvraj) tum ne meri beti ko aisa kaha? Aisa kaha ke wo ek bhoj ban kar reh jaaye gi? Aray meri beti koi kachra nahi hai, phenk dene ki nahi hai wo koi, ek he humari aulaad hai jisay hum ne baray naazo'n se paala hai aur tumhare andar itna saahas hai ke tum ne usay bhoj kaha?

Ak~beta maana tumhe, itna maan diya, aur tum mere pati ke ohaday ka galat istemaal karo gay? Itna bara dhoka?

Yu~aray kya saboot hai ke ye Devlekha ne he likha hai aur us se jaan bhooj kar likhwaya nahi gaya? Ho sakta hai is larkay ne us se zabardasti likhwa diya ho

Naitik came to Naira and held her firmly by her elbow and made her stand in front of Yuvraj.

N~meri beti ki aankho'n mein dekho, dekho wo tumhari wajah se ro rahi hai. Agar in baato'n mein thora sa bhi jhoot hota na, wo mujhe turant ishaaro'n mein batati, par wo aisa kuchh nahi kar rahi

Ak~aur meri beti ki he likhaai hai ye, (she stood beside Naira) hum isay samajh nahi paaye jabhi isay Pratham ki zaroorat pari hum tak baat pohnchaane ke liye. Tum jao, aur kabhi wapis mat aana, ye rishta humein manzoor nahi hai, na he humari beti ko manzoor hai

Yuvraj went from there.

N~sorry beta, hum tujhe samajh nahi paaye, thanks Pratham, tum ne humari beti ki baat hum tak pohnchai

Ak~Devlekha , tujhe jis se shahdi karni hai kar, tu ne jisay pasand kiya, wohi tere liye best hai

Naitik and Akshara hugged Devlekha. Pratham and Devlekha also shared a hug.

Zorawar saw Mannat working in kitchen, he came to her.

Z~Mannu, kaam mat karo na, aray ab se sara kaam main karoon ga, tum bas baithi raho gi koi kaam nahi karo gi

Mn~achha? Aray main pregnant hoon, koi patient nahi hoon

Z~aray phir bhi

Mn~dekho last time na mujhe yaad hai jab tum ne kaam kiya tha toh mujhe double mehnat lagi thi, toh ek dafa mein na sab mujhe kar lene do, balkay agar tumhe kuchh karna he hai toh meri help kara do kitchen mein

Z~okay

They worked together in kitchen.

Z~waise baat suno Mannu, wo wali feeling aa rahi hai nq? Yahan pe sab shanti shanti?

She giggled.

Mn~haan, aa toh rahi hai waise, wo ashaanti phailaane wali Avneet jo nahi hai

They had a laugh.

Khushi sat with Janvi.

Kh~mumma, aap kabhi papa ke baare mein baat nahi karti, aise kiun?

Janvi became dull. Viraj entered the ward.

V~Khushi, kabhi kabhaar hai na past painful hota hai, kuchh log us ke baare mein baat karna prefer kartay hain aur kuchh log prefer nahi kartay, past is a good place to visit, not to stay

Kh~achha? Lekin mumma prefer karti hain ya nahi?

J~nahi karti bacha

Khushi became quiet. Viraj did Janvi's check up. Mannat entered the ward.

V~you're all okay, ab aap ko discharge mil sakta hai

She smiled.

Mn~thank God, ab di ghar pe hongi aur hum sab saath mein rahengay

Kh~sachi?

Mn~muchi

Khushi hugged Mannat. Viraj left from there and somewhat became sad as he came out of the ward. He rang up Shalini.

Sh~hi Viraj

V~hi Shalini, aaj Janvi discharge ho rahi hai, ek taraf khushi ho rahi hai aur ek taraf dukh. Main kaise miloon ga usay dobara?

Sh~aray relax, koi bhi us ka aisa family member ho sakta hai jis se tum bond bana lo aur us ke through Janvi tak pohncho

V~hai na, us ki beti Khushi

Sh~hmm, toh Khushi ke close raho, khud bakhud Janvi se close ho jao gay

V~achha tum batao, wahan sab kaisa hai?

Sh~theek hai bas. Finally Bhavesh ne himmat jutaai hai sach bolne ki, aur mere paas proof bhi hai, ab jaise he Pratham bhai aayengay, main un ko proof dikha kar apraadi ko jail ki salaakho'n ke peechhe daal doon gi

V~good move Shalini, keep it up. I hope tum successful raho

Sh~wo toh main houn gi he, saboot mere paas jo hai

Call disconnected. Khushi came out and approached Viraj.

Kh~doctor uncle, aap kuchh sad se lag rahay ho, wahan mumma bhi sad lagi mujhe

V~(chuckled) wo isliye bacha ke aap chalay jao gay na isliye, I will miss you

Kh~sirf mujhe? Ya mumma ko bhi?

V~mumma ko kiun?

Kh~aap ko mumma pasand hai na?

V~aisa kiun poochh rahay ho?

Kh~main ne dekha aap kitne concerned thay mumma ke liye jab mumma gayab hui

V~concerned toh main aap ke liye bhi tha jab aap gayab huay toh. Main doctor hoon aur mera toh kaam hai patient ke liye achha sochna

Kh~hmm aur mumma ke liye specially achha sochna aap ko achha lagta hai, hai na?

V~specially kiun?

Kh~come on, mujhe samajh aata hai sab

V~abhi toh aap bachay ho, aap ko kahan samajh aye ga?

Kh~bachi hoon toh kya hua? Bewakoof thori na hoon

Mannat came outside.

Mn~kya ho gaya Khushi? Kya baatein kar rahi ho doctor ke saath?

Kh~maasi, aap ko kabhi feel nahi hua kya, ke doctor uncle ko mumma pasand hai?

Mannat looked at Viraj and then at Khushi and chuckled.

Mn~kaisi baat kar rahay ho beta?

Kh~maasi main sach bol rahi hoon. Waise maasi, agar mere papa hongay na, toh wo bilkul doctor uncle jaise hongay

Mannat looked at Viraj who looked away trying to hide his emotions.

Mn~Khushi, aap ke papa...

V~Mannat jee, kuchh bhi batane se pehle soch lijiye, bachi hai wo

Mn~aap kya jaante hain Khushi ke papa ke baare mein?

V~kuchh bhi nahi, lekin Janvi jee ko dekh kar lagta hai jaise bohat kuchh bura hua ho ga past mein, isliye Khushi ko batana theek hai bhi ke nahi, itna zaroor sochna

Mn~Khushi, aap jao mumma ke paas raho, (Khushi went inside) Khushi abhi bachi hai, us ne aap ke baare mein jo kaha, bas bachpanay mein kaha

V~Khushi is actually right, mujhe aap ki behen pasand hai, lekin sirf mere pasand karne se kya ho ga? Kuchh bhi nahi. Anyways, main chalta hoon.

He left leaving Mannat lost in thoughts.

 

 

 

 

Bạn đang đọc truyện trên: Truyen2U.Pro