Chapter 5

Màu nền
Font chữ
Font size
Chiều cao dòng

Shalini came to Pratham.

Sh~Pratham bhai, (he looked at her) mujhe aap ko kuchh dikhana tha

Pr~kya dikhana hai? Dikhao

She showed him the video of Bhavesh confessing about Yamini's torture.

Sh~ Tumhe kaun aise hurt kar raha hai? Kaun tumhe bruises de raha hai? Sach batao, wo Yamini he hai na? (he became speechless) hmm ab jo maine dekh liya aur jisay tum ne mazaak ka naam de diya, ab usay accept karne mein darr kiun rahay ho? Yahan koi nahi hai bas sirf main aur tum ho

 

Bh~kiun jaan'na chahti ho ye sab? Kya karo gi jaan kar?

 

Sh~tumhe us se chhutkaara doon gi, tumhe insaaf dilaun gi, phir koi tumhe aise torture nahi karay ga

 

Bh~jo ke impossible si baat hai, tum ne dekha na bhai ne meri baat ka yakeen nahi kiya

 

Sh~kiun ke mere paas koi saboot nahi tha apni baat ko saabit karne ka, aur wo saboot tum khud ho gay, bol do Bhavesh please, main sab theek kar doon gi

 

Bh~sach bolne se darr lagta hai. (she looked at him pitifully) wo insaan jisay mujh se pyaar karna chahiye wo mere saath abusive hai. Mujhe khaana bhi nahi deti, bohat tang karti hai, aur jab Pratham bhai saamne hote hain toh aisa react karti hai jaise mujh se bohat pyaar karti ho aur akele mein kuchh aur he hoti hai, maarti hai, emotionally abuse karti hai, us ne meri life ko narak bana kar rakha hai.

Video ended. Multiple emotions could be seen on Pratham's face; regret, sadness, anger, frustration, guilt, pity as he recalled Bhavesh getting tensed in the hospital.

Pr~mere bhai ke saath itna kuchh ho raha tha aur us se itna close hotay huay main bekhabar tha? Aur Yamini aise kaise kar sakti hai? Nahi, ab aur nahi hone doon ga ye sab main

He went to Yamini and showed her the video shocking jer.

Pr~kya hai ye sab? Tu aisa kaise kar sakti hai? Wo bas mera he nahi balkay tera bhi bhai hai, how could you Yamini? Wo saare zakhm tu ne diye usay? Teri wajah se us ne suicide karne ki koshish ki? Aaj wo is haalat mein teri wajah se hai, hai na? Bol na?

Y~tum kis pe yakeen kar rahay ho Pratham? Tumhe is Shalini par yakeen hai mujh par nahi? Aray ye pata nahi kya dushmani nikaal rahi hai isi ko pata

Pr~agar ye jhooti hai, toh ye video kya hai Yamini? Ye bhi jhooti hai kya?

Y~bilkul jhooti hai, tum ye edited video nahi balkay ye asli video dekho

Sh~Kaun tumhe bruises de raha hai? Sach batao, wo Yamini he hai na? (he became speechless) hmm ab jo maine dekh liya aur jisay tum ne mazaak ka naam de diya, ab usay accept karne mein darr kiun rahay ho? Yahan koi nahi hai bas sirf main aur tum ho

 

Bh~kiun jaan'na chahti ho ye sab? Kya karo gi jaan kar?

 

Sh~tumhe us se chhutkaara doon gi, tumhe insaaf dilaun gi, phir koi tumhe aise torture nahi karay ga

 

Bh~jo ke impossible si baat hai, tum ne dekha na bhai ne meri baat ka yakeen nahi kiya

 

Sh~kiun ke mere paas koi saboot nahi tha apni baat ko saabit karne ka, aur wo saboot tum khud ho gay, bol do Bhavesh please, main sab theek kar doon gi

 

Bh~sach bolne se darr lagta hai. (she looked at him pitifully) wo insaan jisay mujh se pyaar karna chahiye wo mere saath abusive hai. Mujhe khaana bhi nahi deti, bohat tang karti hai, aur jab Pratham bhai saamne hote hain toh aisa react karti hai jaise mujh se bohat pyaar karti ho aur akele mein kuchh aur he hoti hai, maarti hai, emotionally abuse karti hai, us ne meri life ko narak bana kar rakha hai. (then he saw Yamini at the doorstep and got scared and looked away) tum yahi chahti thi na ke main yoon kahoon? (Shalini got shocked) lo keh diya. (he folded his hands before her) haath jorta hoon tumhare aagay, wo sach mein mere saath bas sirf aur sirf mazaak kar rahi thi, bhai behen ka rishta aisa he hota hai Shalini, shayad tumhara koi bhai behen nahi isliye tum nahi samjho gi. Shalini tumhe bohat kam time hua hai ke tum Yamini di ko jaanti ho, aur main unhein saalo'n se jaanta hoon. Wo toh mujh se itna pyaar karti hain ke na toh tum ne aisa pyaar kaheen dekha ho ga na aise pyaar ke baare mein suna ho ga. Us jaisi behen Bhagwan kisi ko na de.

Pratham looked at Shalini.

Pr~ye sab kya hai Shalini?

Sh~Pratham bhai, maanti hoon maine video edit kiya, lekin sach ek he hai dono mein, even is Yamini ki banai video mein bhi aap ne dekha ke jo Bhavesh ne baad mein bola sab majboori mein bola, us ne end mein ye bhi kaha na ke Bhagwan Yamini jaisi behen kisi ko na de, didn't you notice?

Pratham thought: samajh nahi aa raha kis pe yakeen karoon, aisa kiun lag raha hai ke Shalini sach bol rahi hai? Wo tph Devlekha ko bhi sweekar nahi kar rahi kiun ke wo bol nahi sakti

He left. Yamini smirked at Shalini.

Y~tch tch tch, tumhari mehnat toh bekaar gayi Shalini, Pratham tum pe yakeen nahi karta, dekh liya na?

Sh~mujh par yakeen karay na karay apne bhai par wo yakeen zaroor karengay, aap dekhte jao, and mark my words, aap ko aap ke kiye ki saza zaroor milay gi, jis dard se Bhavesh guzar raha hai us se bhi ziada dard se aap guzrengi

She also left leaving a hint of fear on her face.

Shalini came to Bhavesh.

Sh~Bhavesh, maine wo video Pratham bhai ko dikha di

Bh~aur wo kya bolay?

Sh~kuchh nahi bolay, lekin un ke chehre par jazbaat zaahir ho gaye

Bh~kaise jazbaat?

Sh~bohat saare jazbaat, gussa, udaasi, afsos, sab kuchh. Unho ne Yamini ko confront bhi kiya lekin Yamini ne baaki ka scene dikha diya jab tum mukkar gaye thay, lekin Pratham bhai bilkul khaamosh thay

Bh~toh wo kuchh karengay bhi ya nahi?

Sh~pata nahi, lekin wo kaafi determined lag rahay thay, mujhe aisa lagta hai ke un ko yakeen aa raha hai un baato'n par, aur ab ziada fikr karne ki zaroorat bhi nahi hai, kiun ek se bhalay do, hum dono saath hain tumhare, sab theek ho ga

Bhavesh nodded hopefully. Shalini got a video call. She picked it.

Sh~haan Devlekha bol

Devlekha signed her and smiled.

Sh~achha? Tera rishta tay ho gaya? Kis ke saath?

She showed Pratham's photo surprising Shalini.

Sh~is ka naam Pratham hai na? (Devlekha nodded with a questioning gaze) aray Bhavesh isi ka toh bhai hai jis ke liye main home nurse hire hui hoon, main tere aur mumma papa ke saath thi he nahi jab rishta tay hua, khair baad mein toh houn gi he, (Devlekha waved and disconnected the call) Bhavesh, tumhe pata hai Pratham bhai ki girlfriend meri behen hai

Bh~(surprised) sach?

Sh~haan, un dono ka toh rishta bhi tay ho gaya

Bh~is ka matlab hum samdhi ban jaaein gay?

Sh~(chuckled) haan

Bh~lekin Pratham bhai ne ye baat bataai kiun nahi kabhi?

Sh~ye toh mujhe nahi pata, shayad Yamini ko bataya ho ga aur us ne reject kiya ho ga phir batana he bhool gaye hongay

Bh~haan possible hai

Sh~waise jab miaan biwi ho raazi toh kya karay ga qazi? Un dono ko toh main aapas mein mila kar rahoon gi, aur Yamini ko bhi saza dila kar rahoon gi

Bhavesh nodded emotionally.

Later Pratham brought hidden cameras and went to Bbavesh's room, he found both him and Shalini asleep, him on bed and her on couch. He took it as a chance and closed the door locking it. He set up hidden cameras everywhere he could, he turned to Bhavesh and sat by his side caressing his hair.

Pr~Bhavesh, ab tu dekhna main kaise tujhe insaaf dilaata hoon, jo insaan mere saath achha hai lekin tere saath bura hai, usay main khone ko tayaar hoon par tujhe nahi kho sakta, mere haath bas saboot lagne ki der hai, us ke baad sab theek ho ga

He stood up and left.

Zorawar came home after work, Mannat smiled seeing him.

Mn~aap aa gaye Zoro

Z~nahi, ye toh mera bhoot hai, (they had a laugh) achha ye lo tumhare liye ye bhoot tumhare favorite flowers laaya hai

Mn~aww thanks Zoro, waise aap na mujhe ye phoolo'n ki aadat kara rahay hain, jis din aap phool nahi laaein gay us din main kya karoon gi?

Z~hmm, (she took the flowers from him) sochne ki baat hai, yahan baitho, (she sat in front of the mirror, he surprised her making her wear a necklace) jis din phool nahi laaun ga, us din zevar la kar de doon ga


Mn~mere liye sab jewelry se badh kar aap ho, ye toh paiso'n se aa jatay hain, lekin agar main poori dunia ki daulat bhi ikhatti kar loon na toh bhi aap jaisa doosra koi nahi milay ga

Zorawar smiled and they shared a hug.

Janvi had got discharged and was sitting with Khushi.

Kh~mumma, mujhe doctor Viraj se milna hai

J~kiun?

Kh~kiun ke wo bohat achhay hain

J~aap ki mumma se bhi ziada achhay hain? (Khushi shook her head) toh bas phir, wo aap ke papa nahi hain beta jo aap un se itne attached ho gaye ho, aisa kya hua jo itne se din mein itna lagaav ho gaya?

Kh~un mein wohi baat hai jo main apne papa mein chahti hoon

J~ye tum kya keh rahi ho? Papa nahi hain wo aap ke

Kh~toh bana do na mumma

J~ye possible nahi hai beta

Kh~kiun mumma?

J~kiun ke stepfathers achhay nahi hotay bilkul usi tarah jis tarah stepmother achhi nahi hoti, sab humari tarah achhay nahi hotay, Khushi main aisi mumma nahi hoon jo aap ko fairytale stories suna kar gumraah karoon gi, main bas aap ko sach bataun gi

Kh~kaisa sach mumma?

J~aap ke papa matlab ke aap ke biological father, aap ko us wakt chhor kar chalay gaye jab aap bohat chhote thay, jab aap ko papa ki bohat zaroorat thi, wo aap ko aur mujhe dono ko chhor kar gaye, phir maine kabhi dobara shahdi nahi ki, sirf aap ke liye kiun ke abhi bataya maine ke stepfathers bhi achhay nahi hotay, aur is se achha ke sautela baap aaye aur un ke aane se aap ki life kharaab ho jaaye, us se better hai ke main poori life aap ke aas paas guzaar loon, apni Khushi ke saath

She said caressing her emotionally, they shared a hug.

Kh~mumma, wo zinda hain kya?

J~main nahi jaanti, na jaan'na chahti hoon, main akeli hoon lekin khush hoon kiun ke aap mere saath ho, aap ki mumma aur aap ke papa dono main hoon, bas sirf main

Khushi didn't say anything and just hugged her back feeling sad.

 

 

 

 

 

Bạn đang đọc truyện trên: Truyen2U.Pro