CHAPTER 10: - Love or Hate?

Màu nền
Font chữ
Font size
Chiều cao dòng


Karishma: - yeh kya hai Madam Sir..... ap.. hume SHO.. par kyun? aur Senior Officer kyun aarhi hai phir...

Haseena: - ..... woh apko SHO banne ka mauqa milna chahiye na uske illawa aur koi wajah nahi hai, aur Senior Officer toh aayega magar mein ek clause add kiya kay agar uss officer kay baare mein aisa kuch pata chaley jo hamare thaane par bura asar laasakta hai us halat mein , Karishma Singh ko appoint kiya jaayega... as SHO..

Karishma: - par ap kyun nahi...

Haseena: - arey woh toh isliye kyunke hum mission pe honge na (avoiding eye contact) ab hume jaane diijiye,

Karishma:- nahi hum apko nahi jaane denge ap humse kuch chupa rahi hai...

While their conversing , the waiter comes in with food and their phones which was ordered by Haseena... and he saw both of them holding each other hands and thought they were a couple so he started apologizing, they couldn't understand until they saw their postion and realized,

Karishma:- Madam Sir matlab Hasu , ap jaiye hum inhe sambhalte hai,

Haseena:- (shukar hai, waiter ki timing ek dum acha hai ab hum sukoon mein nahaane jasakte hai), haan theek hai ,

Karishma: - ek minute,

Haseena: - (arey kahin isse shak toh nahi hogaya file kay baare mein)jee Karu,

Karishma: - aapne toh darwaaza lock kiya tha na, toh yeh topa waiter andar kaise aaye, yeh Billu toh hai nahi kay darwaaze ko unlock karde, chor ki tarah,

Haseena: - haan issi wajah se lock kiya , taake misunderstanding ki koi gunjaish na rahe magar hume lagta hai lock kharab hai... reception mein phone karke bulao na kisi ko theek karaane keliye (shukar hai, yeh file kay baare mein nahi poochi , hume ek pal keliye laga , ki usse sab pata chal gaya)

Karishma: - aur haan kaisa topa aadmi ho tum knock nahi karsakte ka,

Waiter: - sorry madam, hume ap dono ki privacy respect karni chahiye thi magar hum naye hai aur nervous bhi the, isliye darwaaza bina knock kare khol diya,

Karishma:- tum jaisa soch rahe ho waisa kuch bhi nahi hai...aur sab idhar rakhdo is box mein kya hai?

Waiter: - woh doosri madam ne jo 2 mobile phone mangwaya aur yeh khaana,

Karishma: - theek hai tum jao (looking at the food, Madam Sir ko kaise pata chala ki hume yeh sab pasand hai, kamaal ki hai woh... Madam Sir ka woh roop dekha hai, nahi Madam Sir nahi, Hasu , unka yeh roop hume bohot hi zyada pasand hai, par woh kuch toh chupa rahi hai)

After this the waiter leaves with a tip of 1000 rs and Karishma Singh, is wondering what Haseena is hiding , meanwhile Haseena comes out of the washroom but goes direct to her bed and sits down catching her head as if she is is in some severe pain, Karishma Singh notices this and asks her,

Karishma:- aaiye Hasu khaana khalete hai,

Haseena: - nahi Karu, woh humara khaana khaane ka dil nahi kar raha , ap khalijiye,

Karishma: - sab theek toh hai na, aur apka sar ko ka hua?

Haseena: - kuch nahi ap khalijiye hum sone jaarhe hai,

Karishma: - aisa kaise, idhar aaiye,

Haseena: - zidh mat kijiye aj Karishma Singh, hume sone dijiye,

Karishma: - agar ap nahi aarahi hum aajate hai,

Karishma goes towards Haseena and tells her to keep her head on the lap while she starts massaging her head,

Haseena: - aapko...kaise pata ki humara sar dard kar raha tha,

Karishma:- ...... kyunki apki zaban kuch aur kehraha tha aur apke haath kuch aur, ap kabse apna haath apne sar pe rakh rahi thi, isliye humko pata chal gaya,

Haseena:- hum apko pareshaan nahi karna chahte the...

Karishma:- jab ap aisi baatein karti hai hume ghussa aata hai, agar ap ko theek nahi laghraha toh hume boldeti na ap kya hota usse, hum apki madad karte,

Haseena: - acha na, ap phele khaana khaiye phir humara sar dabana,

Karishma:- ( patanahi kyun par Madam Sir ka dard humse dekha nahi jaata, hum unko khaana khiladete hai , waise bhi woh bhi thaki hui hogi, hume laga humse zyada thaka hua koi aur nahi yahan ne bhi Madam Sir ne hume maat dediya.... )

Haseena: - yeh ap kya kar rahi hai, aur kis soch mein doob gayi?

Karishma: - apko khaana khila rahe hai, sar kay saath saath apka ankhein bhi dard kar raha hai ka? aur ap humare soch ko chodiye, yeh batiye, ap toh theek thi na, phir achanak ka hua?

Haseena: - ..... jaaiye hum nahi kharahe khaana, ap khud khalijiye,

Karishma:- acha na, Hasu , maaf kardijeye hume.. ap jaanti hai humare dil mein jo aata hai hum wahi karte hai aur wohi bolte hai, waise apne jawab nahi diya,

Haseena:- jee kyunki sar dard bolke nahi aata , aur sab hume jazbaati bolte hai,

Karishma: - woh isliye kyunki ap sab kay jajhbaat samajhti hai magar hum sirf apne samajh sakte hai jab tak koi doosra hume samjha na de hume samajh nahi aata magar ap patanahi kaise sab samajh jati hai,

Haseena: - Karishma Singh.....aur tahreef....woh bhi humare liye.....

While they were conversing with each other, Karishma started feeding Haseena without Haseena realizing and when she does, guess it's too late, she's already done with her dinner,

Karishma: - tahreef nahi , haqeeqat ko byaan karahe hai aur dekhiye baatein karte karte humne apko khaana khila bhi diya aur apko pata bhi nahi chala,

Haseena: - .............. ( aaj tak toh ammi bhi humare dhyaan ko bhatka kay khaana nahi khila sakhi magar Karishma Singh ne aisa kar diya aur kehdiya jaise koi gudhe gudhi ka khel ho, aur usse andaza bhi nahi hai kitna bara kaam kardiya usne) ap... hume aapse baat nahi kanri...

Karishma: - ....... chaliye apka sar dabate hai,

Haseena: - nahi hum sone jaarahe hai , goodnight

Karishma:- hume zabadasti karna aata hai, (hum Madam Sir ko sar ki maalish karte rahe aur woh smile karti rahi , roka bhi nahi, thodi der baad Madam Sir sone gayi aur sirf hum aur humara andhera tha waise achi baat hai kay ek bed hai atleast hume phir se sone ka mauqa milega, warna us din kay baad hume laga hum theek hogaye magar, ghar jaate hi, raat kay andhera nay hume apna humsafar phir se banaliya, neendh hi nahi aati, ab hum sukoon se so sakte hai unke saat)

With this both sleep in each others arms , cuddling each other, in solace and peace, as if all they needed were each other...

In the morning

Karishma Singh was the first to wake up, and notice that she has been cuddling with Madam Sir. and Madam Sir had a peaceful expression on her face. Karishma Singh then goes to freshen up but Haseena grabs her hand in her sleep and was whispering something which was not audible to Karishma Singh, she decided to go close and before she could comprehend anything Haseena opened her eyes and saw herself holding Karishma Singh's hand which she left abruptly....

Haseena: - maaf kijiye hum andaza nahi hua kab humne apka haath pakad liya...waqt kya hua hai Karishma Singh?

Karishma: - sirf 7 baje hai,

Haseena: - kyaaa, Karishma Singh nashta hum 6 baje karte... room service mangwaiye

Karishma: - kya khaana hai... hum apne liye pancakes aur chai mangwaarahe hai,

Haseena: - hum green tea piyenge ,aur hum nashte mein kuch khaate nahi hai,

Karishma: - kaaa, apki ammi kuch kehti nahi hai ka apko?

Haseena: - woh hume zabardasti khilati hai , heavy breakfast woh bhi,

Karishma: - achi baat hai, hum bhi wahi karte,

Haseena: - haan ap lijiye ammi ki tarafdaari hi kijeye, hume zyada khaana pasand hi nahi,

Karishma: - hume kuch nahi pata, hum ap keliye sandwiches mangwaate hai,

Haseena:- nahi hum.... actually.. sandwiches chalega,

Kareena: - hum freshen up hone jaarhe hai,

Haseena: - phele hum, ap tab tak order kijiye na,

Karishma: - har baar hum kaahe kare, is baar ap kijiye,

Haseena:- theek hai hum karte hai.. ( issi bahane hum woh file dsp sir ko bhijwadenge, I'm sure yahan services offer hongi, while I order all the food it takes half an hour and within that time Karishma Singh comes out which is not good for me, ab hum kya karenge is file ko waise bhi bhijwaana hai aur inhe already is file ko leke shak hai, ek kaam karte hai, hum ise apne pillow ke neeche chupa deti hai ) suno hum abhi aate hai,

Karishma: - (ab hum dekhenge sukoon se, kay akhir mein aisa kya likha hai Madam sir ne kay woh hume batana hi nahi chahiti, hum file parhte hi hairan rehgaye.... agar clause aisa hai toh hume SHO nahi banna hume sirf Madam sir chahiye.... yeh hum ka boldiye, hum Madam sir se itne jude kaise kay unko kho jaane ka darr se aisa mehsoos hota hai jaise hamara dil bhi dhadakna bhool jaye... amma bhak.. yeh sab baad mein, hume Madam sir se baat karni hi hogi, woh apne ap ko samajhti ka hai, SHO hai toh apni jaan ki kadar nahi hai kya kay yeh clause add kardiya, hum isse change karwadenge Madam sir ko bol kar, kay unhe zinda wapis aana hoga unke pass aur koi raasta nahi hai, aur hum aur koi raasta chodenge bhi nahi)

While Haseena was taking shower Karishma was restlessly moving here to there, she was feeling anxious enough to break down the door but somehow she controlled, after 15 minutes she was going to knock when Haseena came out and clashed with Karishma which lead her to fall and Karishma catching her before she could fall both were involved in an intense eyelock....before Karishma realized that she had to speak to Haseena..

Karishma: - Madam sir, hume apse baat karni hai mera matlab Hasu,

Haseena: - haan toh boliye na Karu kya baat hai...

Karishma: - ( hume itna ghussa aaraha hai ki ka bataye... ghusse mein humne unko file dikhaya)yeh kya harqat hai?

Haseena:- .......... (hum gaye) yeh kya badtameezi hai, apko tameez nahi hai, apne senior ki personal cheezein ko bina humse pooche parha, hamari personal diary hoti toh kya woh bhi parhdalti kya,

Karishma: - apki personal diary bhi hai (ek din parhna parega humko bhi aisa kya likhti hai) amma bhak, ap hamara dhyaan bhang mat kijiye, hume bataiye, yeh kya bakaiti hai,

Haseena:- isse apka koi vaasta nahi, aur hum apko jawaab dena zaroori nahi samajhte... ( hum inse jhoot bol nahi paiyenge, ankhein bhi nhi mila paarehe)

Karishma: - baat hamare baare mein hai, toh humara haq bhi hai aur who ap humse nahi cheen sakti samjhi ap?? hum keh rahe hai, apko zinda waapis aana parega.... samjhe? warna ap kya poora Lucknow aur woh gang Karishma Singh ka asli bhaukaal dekhega aur bol parenge Daroga ji dekhe toh bohot magar tumsa kahin nahi dekha....samjhi ap?

Haseena: - ek toh hume samajh nahi aata ki ap hamari chinta mein yeh sab kahe jaarahi hai, ya gusse mein... dekhiye Karishma Singh, iss mission ki gambhirta samajhiye...

Karishma: - hume kuch nahi samajhna , apko waapis aana parega,

Haseena: - kyun, desh keliye apna jaan bhi qurbaan....

Karishma: - nahi, apko samajh nahi ata, amma, tumhari amma, thaana aur thaane walon ko aur khaas karke hum.....hum sab ka kya hoga, *spoke in a rush without realizing*

Haseena: - sab ka samajh aata hai par apko hamari fiqar hai jaan kay khushi hui,

Karishma: - woh... aisa...mera matlab..

Haseena: - ap badi cute hai Karishma Singh, sirf apne ap ko kadak dikhaati hai warna dil se ap abhi bhi bachi ki tarah saaf dil aur masoom hai...

Karishma:- ....... hum koi bachi nahi hai , itne bade hai,

Haseena:- chodiye ap nahi samjhengi, acha theek hai hum waada karte hai, poori kosish karenge zinda lautne ki,

Karishma: - koshish nahi, apko waqai mein lautna hai, magar woh case ko DSP sir ne hume appoint kyun nahi kiya

Haseena: - yeh baat toh hume bhi samajh nahi aarahi, hume bhi nahi pata, ab chaliye thaane keliye nikalna bhi toh hai, warna sab pareshaan honge, aur haan Karishma Singh, ek SHO ke tor par , ap ek achi, naik, immandar, aur bahadur officer hai, bus apne ghusse ko thora niyantran mein rakho, aur dimaag aur dil dono se socho, aur agar na ho, toh hume phone kardo.... aur Hasu apne Karu ko bohot miss karegI, hum jaante hai, humara rishta bohot hi ajeeb hai, kabhi shehaid ki tarah meetha aur kabhi karele ki tarah kadwa, magar yehi khaasiyat hai humare rishte ki... humare rishte ki koi naam toh nahi abhi tak, par har rishte ka naam bhi nahi hota, hum dua karenge ki ap humesha sahi salamat rahe , khush aur abaad rahe..

Haseena goes to hug Karishma goodbye but Karishma takes a step back saying...

Karishma: - senti baatein nahi karo, ap waapis ayengi toh hume hug kijiye, aur goodbye toh katai nahi bolo, waise bhi apki ab aadat hogayi hai.....aur ab ap hume chod kar nahi jaasakti hum jaane nahi denge, humara rishta hi kuch aisa hai, door apse jaa nahi sakte aur pass apke aana nahi chahte.... magar phir bhi... ap mein kuch toh baat hai, jasie is sheher ko apna liya waise hi mahila police thaana ko apna maana hai apne... wapis aake hum jayenge ice cream khaane okay?

Haseena: - aaj sooraj kahan se ooga hai Karishma Singh, ap hume ice cream date pe lejayengi hai??

Karishma: - woh...aisa..matlab,

Haseena: - tum badi cute ho, Karu, haan hum chalenge apke saath, issi baat pe selfie hojaye?

Karishma: - hume yeh sab nahi pasand....

Haseena:- aaiye na (and she clicks a goofy picture of both of them for remembrance)..

Karishma: -.......

Haseena:- kya hua??

Karishma: - hume bhi send kijiye...

Haseena: - karlenge itni kya jaldi hai... chaliye nikalte hai..

They check out and their bike gets fixed as well so, Karu rides meanwhile Hasu is looking at Karu, might be for the last time, who knows, Karu notices Hasu staring at her which makes Karu blush... but when Haseena notices , she takes full advantage and gets close to Karishma by holding onto her waist...

Karishma: - Madam sir yeh ap kya karrhi hai, log kya samjhenge ( blushing)

Haseena:- apko logon ki fiqar kabse hone lagi Karishma Singh? aur woh ap bike itna tez chala rahi hai safar chota horaha hai magar tez agar hum gir gaye toh, support chahiye hoga na...yehi log samjhenge..

Karishma: - ap bhi na...

Both eventually reached the station in one piece without breaking each other's faces which made everyone happy

"In the thana"

so while they reached in, they noticed everyone was surprisingly attentive and quiet as if waiting for her arrival, but she only told two people so the question is how did it get to the entire Thaana knowing this? or is it something else maybe bothering the members of the thaana, perhaps .

//////////////////////////////////////////////////////////////////////////////////////////////////////////////

Okay so finally I'm done with the chap, I tried doing justice, do let me know how is it?

Did you enjoy reading this if so do vote and comment !

As always thankyou so much for all the love, it's amazing to hear your feebacks!

Free to DM me if you need to talk anything out always here for you amazing people :)

Hope y'all are safe and sound!!!

GOODNIGHT !!

LOVE ^R^

Bạn đang đọc truyện trên: Truyen2U.Pro