CHAPTER 9, PART 2: - Planned OR Fate

Màu nền
Font chữ
Font size
Chiều cao dòng


Karishma: - amaa, inki maiya ki sasumaiya... yeh kya chooranbaazi hai....ek hi bistar pe hum dono kaise soyenge, yeh toh couple bed hai,

Haseena:- hume toh dikha hi nahi Karishma Singh, ap ne humari ankhein kholdi,

Karishma was gazing at Haseena from sideways thinking if Haseena was genuinely clueless or was it to taunt her...

Karishma:- ap hume taane derahi hai ya sach mein itni belbudhi hai?

Haseena:- ........ hum apke senio...

Karishma:- haan haan pata  hai ap hamari senior hai audhe se bhi , umar se bhi aur toh aur kadh se bhi.... tajurba bhi lage haath ap add karlijeye,

Haseena: - ap har waqt hume taane kyun maarti rehti hai, shukar maniye hum jaisi SHO mili hai warna koi aur hota na toh apke haath mein suspension letter hota samjhi?

Karishma:- kya Madam Sir , ab ap humko suspension letter se dhamka rahi hai?........ ap apne kiye ko humpe kaahe thop rahi hai, sunaati ap humko hai aur bolti hai ke hum sunaate hai apko... 

Haseena: - ap se behes karna apna sir deewar pe maarne jaisa hai Karishma Singh... chaliye ab andar, darwaaze par hi behes shuru kardi.. na waqt dekhi hai na jagah 

Karishma:- behes humne nahi apne shuru kiya hai Madam Sir... aur ap andar jaiyenge toh hum, andar jasakenge na...

Haseena: - waise toh apki zabaan kenchi ki tarah chal jaata hai magar idhar ap keh nahi sakti kay Haseena zara side pe hojaiye...

Karishma:- yeh bhi hum hi bole..aur ek minute hum apko....Haseena kyun bulaiye,

Madam sir: - toh kya, din bhar Madam Sir Madam Sir karti rehengi??

Karishma: - Konsa ap kal din bhar rukhne wali hai? apko toh mission pe jaana hai na (yeh hum itne senti kaahe horahe hai?Amaa, yeh ho kya raha hai humko, kahin Madam Sir jaadu tona toh nahi karahi ...Pushpa Ji kehti hai insab ka asar bohot hota hai agar sach mein Madam Sir aisa kuch karrahi toh hum ka karenge)

Karishma being Karishma starting circling Haseena who was shocked with Karishma's behaviour, Haseena being puzzled started questioning Karishma,

Madam Sir: - yeh ap gol gol kyun ghoom rahi hai Karishma Singh,

Karishma Singh: - woh Madam hum dekh rahe the kay...

Madam Sir: - Sharam nahi aati, ap ek officer hoke hume chedh rahi hai, 

Karishma Singh: - ek minute, yeh ap kya kehrahi hai, ap humko galat samajh rahi hai Madam Sir,

Madam Sir: - abhi jaake toh hum apko samajhne lage hai, hume apse yeh ummeed nahi thi.... 

Karishma Singh : - arey .... hume laga ap koi Jaadu tona karrahi hogi tabhi hum gol gol ghoom kay apko dekh rahe the, Madam Sir, ap baat ko kahan se kahan legayi,

Madam Sir: - ...kya..oh sorry, ek minute toh phele bolna tha na, apne meri energy waste kardi faltu mein,

Karishma Singh: - ap ne humko bolne kahan diye, khud hi bolte gayi , bolte gayi...

Madam Sir: - acha acha theek hai, par ap Jaadu tona kyun kar rahi thi, waisi bhi yeh sab sach mein thodi na hota hai, 

Karishma : - arey hum bhi nahi maante magar Pushpa Ji ne kahan tha na aisa hota toh hume laga ki...

Haseena: - kya laga? ki hum koi tantrik baba bethe hai kya? ki hum apko apne varsh mein karlenge wagheira wagheira yeh sab bakwas baatein hoti hai ,karishma Singh...

Karishma: - ..... (hum kaise bataye... yeh hamare saath ho ka raha hai...Pushpa Ji se jaaldi baat karni paregi... )  ........ theek hai, madam sir...

Haseena:- *uhm uhm*

Karishma:- mera matlab hai hasu..... hum yeh haseena nahi bula sakte apko, humko apka naam lene mein ajeeb lagta hai, ( amaa bhak, yeh kya bol diiya Haseena ko.... jabbhi hamare aas pass hoti hai, hum khud pe niyantran nahi rakh pate, waise toh jajhbaati hi hai par unke case mein zyada hi jajhbaati hojaate hai)

Haseena: - kyun tum humare niqah mein ho ke tumhare hamara naam lene se tum sharmajao?

Karishma: - (yeh kya baat pakad kar beth gayi madam sir) aisa bhi kuch nahi hai...dekhiye chaliye andar ab....humko neendh arhi hai...

They went inside the room, Haseena went in after Karishma before entering she locked the door which caused Karishma to turn behind and give her a bewildered expression,

Karishma:- yeh aapne darwaaza lock kyun kiya,

Haseena: - toh kya aisi hi band karde? bina lock kay, kaise sawaal poochti hai ap Karishma Singh...

Karishma: - karu bulaiye hume us din baat toh hui thi na.... aur hum thake hai, hum sone jaarhe hai.....

Haseena : - theek, hum zameen pe soyenge,

Karishma: - kyun?? ap bhi bed pe hi sojaaye? waisi bhi jab hum apke ghar aaye tab bhi toh ap hamare saath hi soyi thi na,

Haseena: - par hamara toh insaniyat ka rishta haina, apne aisa hi kuch kahan tha na?

Karishma: - yeh ap hume baar baar tans maarna band kijiye, aur soiye chup chaap,

Haseena was secretly happy, that Karishma took the initiative this time rather than she just trying...

Karishma:- yeh daanth phaad kar itna kaahe muskura rahi hai ap Hasu?

Haseena: - kuch nahi... acha suno, naha kay aau, hum baahir se aaye hai, aur situation ko tum jaanti ho, aur phir night suit mein change karna,

Karishma: - par hum bohot thak gaye hai...

Haseena:- ek minute , hum tumhare kapde nikaalte hai, aur yeh raha towel, jau na Karu..

Karishma:- hum thak gaye hai Hasu,

Haseena: - theek hai hum apko utha ke le chalte hai,

Haseena carried Karishma in her arms making Karishma blush which made Haseena smile too

Haseena: - aur haan jaldi kijiye hume bhi nahana hai....

While Haseena was removing her clothes she thought of calling but then realized her phone was broken so she called the reception to get phones one for her an the other for Karishma.... to which they agreed.... and she ordered dinner as well , room service for her and Karishma...and after that she takes out the clothes from the bag and starts completing her file work...

Karishma: - ( I come out of the washroom to notice Madam Sir working on some files, Madam Sir ko idhar bhi kaam hi sujhta hai) Madam Sir yeh ap kya pakad kay baithi hai, aaj ka din toh insab ko chordo,

Haseena: - hum thaane ki SHO hai Karishma Singh, ap kya jaane kitni zimidaariyan hoti hai... waise bhi hum chahte hai ki kal jaane se phele hum sab sort karke jaaye (taake apki naukri pe koi khatra na aaye, humne Karishma Singh ko samjha toh diya, ki hum zinda waapis aaye, magar humne itni zindagi dekhi hai kay Tajurba kehta hai humara, maut bolke nahi aati bus ajaati hai, isliye tayaari toh puri karni hogi)

Karishma: - matlab ka hai apka... ki hume zimadaari ka ehsaas nahi,

Haseena: - nahi Karishma Singh, ap har baar hume galat samajhti hai, dekhiye... hum SHO hai thaane ki, agar thaane mein kuch bhi ho toh uska jawaab humse maangte hai, kyun ke hum is thaane ki SHO hai, humari duty hai ki thaane aur inki sadisyon ko hum sambhaale... ap Senior Inspector (SI) hai aapse agar gusse mein galti hoti hai uska jawaab hume dena  hota hai, woh bhi soch samajh kay, isliye humne shayad apko bataya nahi magar humare jaane kay baad ek senior inspector ayegi, woh sab handle karengi aur ap unke under kaam karengi..

Karishma: -........... yeh kya bakaiti hai ... hume pata tha ap hume lead karne nahi dengi koi bhi case.... ap kahe aisa karti..

Haseena: - ek minute Karishma Singh, ap hume bolne dengi.... suniye, yeh mera faisla nahi tha , DSP sir ka tha aur jaise hum apke senior hai woh hum sab kay senior hai, aur har koi ap ki tarah rule nahi todh sakta na ab...

Karishma:- ek minute...yeh hume baar baar taane kyun deti hai , jaise ap case jajhbaat se solve karti hai hum mukha aur laat se solve karte hai cases,

Haseena:- jajhbaat nahi jazbaat Karishma Singh...

Karishma: - haan toh hum wohi bole , jajhbaat....

Haseena: - ..... chordijeye ap, dekhiye yeh hamare kaabu mein nahi hai, isliye humne mana nahi kiya woh humare senior hai... aur hum naye transfer hai toh zyada kuchkehna munasib nahi rahega aur unke saath kaam karte hue itna time huaa hi nahi...

Karishma: - ........ theek hai , magar hume woh offficer kay details chahiye.... ajeeb bakaiti lagarakhi hai... unki ideology bhi phele se bata dijeye ke woh jajhbaat se ladti hai yah mukalaat se,

Haseena: - apko jaan kay khushi hogi..kay woh bilkul jajhbaat....mera matlab jazbaat se case solve karti hai... 

Karishma: - apko ab tak nahi sambhaal sake woh doosri jajhbaat ko kaise sambhaalenge?

Haseena:- woh ap hi dekhlijiye ga, aur kya matlab hai, hum jaisa koi nahi karishma singh, woh bhi nahi acha unka naam Mishri Pandey hai, humne suna hai woh bohot hi kum waqt mein bohot badhe gang ka parda fash kiya hai jiski wajah se unhe senior post kay ranking pe kardiya,

Karishma: - toh hum unke under kaam kaahe kareinge,

Haseena: - ussi par hum aarahe the, ap hume complete karne de tab na.... suniye.... yeh uska, kaise samjhaye haan, yeh yahan 2 months keliye rehege , thaane ko sambhalengi aur inko monitor kiya jayega.... DSP sir kisi ko appoint karenge ya toh phir woh khud thaane mein tashreef layenge...

Karishma: - ohhh, aisa arahi thi ap... acha ap jaiye, nahane hamara hogaya baaton baaton mein itne vyast hogaye ki dhyaan hi nahi gaya hamara,

Haseena: - acha theek hai, humne hum dono keliye room service karwaya hai and kuch mangwaya bhi hai aate hi receive karlena.

Karishma:- jee, Madam sir,

Haseena: - Haseena ya Hasu boliye ap, jab kaam ka waqt ho tabhi Madam Sir boliye kitni bhar samjhaana parega apko,

Karishma: - woh aadat hai na apko Madam Sir Madam Sir bolne ki isliye zabaan se phisal gaya

Haseena: - theek hai hum jaarahe hai....

She goes to keep the files but Karishma Singh takes it from her and pushes her in the washroom and tells her to change she'll keep the files, to which Haseena complies but when she is in the washroom , dressed in a bathrobe, she realized the weight of her decision and goes outside abruptly snatches the file, before Karishma Singh could comprehend she gazed at Haseena and looked at her intensely to which Haseena blushes realizing that she came out in the bathrobe...

Haseena: - woh...woh darasal...

Karishma: - ap hume gaadi mein ched rahi thi na ab dekhiye kaise khud laal tamatar ki tarah lagrahi hai...aur ek minute iss file mein aisa kya hai ke itni jaldi ap aise hi bahar agayi?

Haseena: - woh, woh... kuch nahi..hai ap zyada soch rahi hai ( agar karishma Singh ne dekh liya apna bhaukal machadengi, isme toh woh letter hai )

Karishma: - ap kuch toh chupa rahi hai...dekhaiye hume...

She goes to snatch the file but due to the floor being slippery falls and Haseena realized that she is going to get hurt so she rushes to catch Haseena but both fall on the bed together , Haseena is on top while Karishma is beneath both are in an eyelock when Karishma realizes she has the chance to see what's there in the file she snatches it and shocks Haseena,

Haseena: - Karishma Singh, its an order , hume woh file dijiye warna...

Karishma: - warna warna kuch nahi hum nahi denge aur apka order bhi follow nahi karenge,

Haseena: - tum itni ziddi kyun ho, ap hume deti hai ya nahi,

Karishma: - nahi denge, kya karlengi ap?

She starts opening the file when Haseena rushes towards her but Karishma dodges and somehow reads the subject of the letter which shocks her...

/////////////////////////////////////////////////////////////////////////////////////////////////////////////

so finally done with this chapter, hope y'all like it , and I hope y'all are safe.

so I might or might not update tomorrow or the comingweek since my exams will start, I hope y'all wil be patient with me, I will try updating early though but If I don't know that I can't :( .

As always , Thankyou for showering so much of love, it means alot :)

Do Read , Comment and Vote!!

Enjoy Reading!!!

LOVE ^R^

Bạn đang đọc truyện trên: Truyen2U.Pro