Chapter - 42

Màu nền
Font chữ
Font size
Chiều cao dòng

Loud roaring breaks Anamika's sleep who sits up instantly only to find Vineet dragging Avantika towards the door and then pushing her out, slamming the door on her face. She was blank, she had just woken up to a very unexpected sight and was not able to proceed. Vineet when turned finds her staring at him and gets angry because he feels things that happened a moment ago are all because of her wrong decision and stubbornness. 

"Khush!? Bahut acha lag raha hoga na tumhe ye dekh ke ki aab sabko ye pata chal raha hai mujhe ye bacha nahi chahiye par tum mahaan mother india ban gayi aur had the baby. Sukoon mil raha hoga na ye dekh ke kaise meri behen mujh pe ghatia ilzaam laga rahi hai." He yelled over her. 

Anamika was confused, how is she related to the mess he just created. It was between him and his sister but he's dragging her for no reason. 

"Don't blame me!! Baat tum dono ke bich hhi toh apne tak rakho, mujhe mat ghasito inn sab mei!" She told him in a calm and composed tone as she doesn't want to disturb her child. 

"Really? Oh woww!! Aab tum innocent behave karo ki tumhe kuch pata hi nahi hai ya tumne kuch kiya hi nahi. But the reality is ye sab tumhare zid ki wajah se ho raha hai. Ye baat sirf hum dono ke bich hi reh jaati agar tumne abortion marwa liya hota toh. I know tumhe attachment ho gayi thi par practical hona bhi jaruri tha but then tumne suni kahan meri aur aab ye baat almost sabko pata hai agar pata nahi toh shaq toh hai hi, all thanks to you and your so called child jiski wajah se ye sab ho raha hai." Vineet accused her and her child for the chaos that he has created. 

"Shut up!! Just shut up!! Dare you speak against my child!! Ye jo bhi ho raha hai sab tumhare wajah se ho raha hai kyunki tumhe lagta hai iss poori duniya mei siwaye uss course ke aur kuch important hai hi nahi. Main tumhe samjha samjha ke thak chuki hoon ki agar wo course itna important hai toh main kuch time badh kar lungi par tumhe nahi manni thi ye baat, tumhare pass siwaye abortion ke aur koi option nahi tha kyunki tumhe koi dusra option chahiye hi nahi tha toh aab bhugto. Logon ki baatein toh uthengi hi kyunki logon ko dikh raha hai tumhara bartav ki tum kaise the aur kaise ho gaye ho. Kabhi piche piche ghoomte the aur aab ek saath rehne mei bhi chidh hai tumhe toh bhagte fir rahe ho, kyun?? Logon ka itna darr hai toh ya toh sach bata ke unka muh band kar doh ya fir mujhe divorce de ke azad karo iss bandhan se kyunki tumhara pata nahi par I'm done with this everyday drama of yours." Her words felt like a thunderbolt over him, she's asking for divorce, oh god, how can she even say that! 

"Thak chuki hoon main aab tumhe samjha samjha ke Vineet par tum samajhna nahi chahte toh aab main bhi nahi samjhaungi tumhe kyunki pathar pe sar maar ke kuch nahi hota itna samajh gayi hoon main. Tumhe bas apni padi hai, kabhi mere baare mei socha tum me ki tumhare aise decision se mujh pe kya beeti? Nahi!! Kyunki kissi ko koi fark nahi padta kissi ki kuch baat se mujh pe kya asar hoga sabko bas apne faishle mujh pe thopne hote hai, sabko!! Bas ek khilone ki tarah use kar ke phek diya jata hai mujhe as if...as if main koi khilona hoon. Tumse kuch umeed thi par tum bhi waise hi nikle, bade bade sapne dikhaye, pyar jataya, waade kiye, aasman pe bitha diya aur phir jhat se niche gira diya. Aisa hi karna tha toh pyar ka dikhawa kyun kiya?? Main aab aur nahi seh sakti ye sab...aab tak lag raha tha ki shayad bache ke hone ke badh tum samajh jaaoge par nahi, tum kabhi nahi samjhoge toh aab main ye umeed bhi nahi lagaungi. Mujhe aab bas jana hai yahan se, sab se dur, tum se dur!!” Anamika divulges, tears rolling down her cheeks, she looks disconsolate such that Vineet couldn't stand and face her, he ran out of room not able to sight her crying her heart out because of HIM. 

Unfortunately when he ran out, he found his family waiting for him in the hall. It seems Avantika has disclosed the truth, his mother was glaring at him, his father seemed ashamed. While Sachin, he was raged. 

"How dare you Vineet?? Tune aisa kiya bhi kaise?" Sachin shouted, his eyes bloodshot. 

"Main.. Main kissi ko koi safai nahi dena chahta!" Vineet replied, he was too shattered to argue at the moment. 

"Safai nahi dena chahta se kya matlab hai tera?? Ye koi khel nahi hai Vineet!! Tum uss bachi ki aur saath hi apne bache dono ki life barbad karne pe tule ho aur kehte ho safai nahi dena chahta, what does that mean??" Anupam yelled, he had too much of his son's carelessness. The guy had been moody all his life but now he needs to take his responsibilities instead of making insensible demands. 

"Dad please!! Main abhi koi baat nahi karna chahta!!" He tried to convince his father but he was not in mood to take his pleas after all what he's been doing is not acceptable. 

"Abhi nahi toh kab?? Itne waqt se toh chup hi baithe hai, sab dekh ke bhi anjaan ban rahe the hum, aur kitna chup rahe? Tujhe har baar apni manmaani hi kyun karni hoti hai? Kabhi toh kissi aur ka socha kar!!" His mother jerks him. 

Vineet, though doesn't want to speak but his family words seem provoking to him and he couldn't hold on. 

"Aisa bhi kya mang liya meine Maa?? Main toh uske liye hi wo course ka bol raha hoon. Ye course mera sapna raha hai aap sab bahut ache se jaante hai ye par sirf aur sirf uske liye meine apna sapna dav pe laga diya, main nahi gaya kyunki wo upset ho gayi thi mere jaane ki news se. Usne mujhe roka nahi par bahut roi thi wo jab meine usse jaane ki baat kahi thi, main samajh gaya tha wo nahi reh paayegi issliye i drop it taki wo khush rahe. Main toh bas itna chahta tha ki mera wo adhura sapna wo pura kare, jo meine uske liye drop kiya usse wo pura kare toh ismei kya galat hai?? Kyun sab mujhe aise treat kar rahe hai jaise jaane meine kya keh diya ho? Itna bada bhi kuch nahi manga tha meine!!!" Vineet justified himself, but then who's going to sympathize with him when his demand was never valid. 

"Acha!! Hum bhi toh sune aisa kya manga tumne jo wo de na pai!!" Shakshi demanded to know to which Vineet turned silent. 

"Abortion!! Ye chahta tha Anamika abortion karwa le air course ke liye jaaye, jab wo nahi maani toh bade aaram se uss se muh mod liya!" It's Rajat who revealed the truth, shocking the entire family except Kokila and Parag, well they just don't care about it. 

"Abortion!!" Shakshi was beyond shocked, she gazed at Vineet who was though uncomfortable but chose to speak his part. 

"I just wanted these things to be done after the course, meine ye uss se kaha bhi. It's not like we are never gonna have child, main bas abhi nahi chahta tha par usse ye samajh nahi aaya and I know aab aap logon ko bhi main hi galat lag raha hoon par I have valid reasons for that. Maa, aap khud ka hi example le lo na. Lahan toh aap top ki advocate thi par after having us aapko sab chodna pada, aapka career kharab ho gaya, sab kuch kho diya aapne. Main nahi chahta tha aisa ho par see aab aisa hi hoga. I just don't understand har chij ko itna emotionalize karne ki kya jarurat hai? Abortion karwane mein kya dikkat ho sakti hai? Bache toh kabhi bhi ho sakte par jo opportunity chut gayi aab wo kabhi wapas nahi aayegi par ye koi samjhega hi nahi, sabko bas mahaan banna hai!!" Vineet verbalized in a sarcastic manner and in the next moment felt a hard slap on his cheek from his mother, Vineet was left horrified by the act of his mother. 

"Maa!!" He mumbled.

"Bas!! Kuch nahi sunna chahti main!! Tujhe ye itni choti baat lagti hai?? Tune socha bhi kaise abortion ka?? Tujhe pata bhi hai maa banne ka ehsas kaisa hota hai? Kai log issi sukh ko paane ke liye barso intezaar karte hai tujhe ye khushi mili toh tu usse thukra raha hai? Kyun?? Uss course ke liye? Kitna important hai wo course? Uss course ko kiye bagair kya zindagi nahi chal sakti? Haan?? Aur kisne kaha mera career bache hone ke badh khatam ho gaya?? Tune khud sab soch liya?? Tujhe sach ka pata bhi hai? Mera career sirf aur sirf teri wajah se khatam hua na ki bache hone ki wajah se. Kyunki tujhe kahin rehna pasand nahi, kahin jana pasand nahi na hi ghar mei akele ya kissi aur ke saath rehna pasand tha aur na hi hai. Just because you were not comfortable with others I had to leave everything. Avi toh nanny ke saath bhi reh leti thi, usse koi ghanto bhi apne pass rakhe toh bhi koi problem nahi thi par tu kahin das minute tak nahi rehta tha, kitni hi baar courtroom se bhag bhag ke aai hoon main kyunki Tu yahan hungama macha deta tha. So the problem is not a child, the problem is an uncooperative child like you jisse har chij apne hisab se chahiye." Shakshi burst out her anger, she had never expressed it before because it was never needed, she was okay with the way her child was and had no problem in giving him her attention, she happily sacrificed her work for her son and that son had taken the whole thing in such a wrong perspective. 

"I adjusted with it Vineet!! Teri jar zid ke aage jhuk gayi main, apna kaam, apne friends, apna mayka tak chor diya meine kyunki you were not comfortable anywhere. Tere liye toh tere Dad ne bhi kya nahi kiya par bas uss course ke liye tu apne bimar dad ko chor ke jaane ki zid pe tha. Aur aaj bhi uss chij ke liye tu baki rishtey dav pe laga raha hai, are you for real? Meine apna sab sacrifice kiya it doesn't mean Anamika bhi teri zid ke aage jhuke, wo bhi apni khushi sacrifice kare kyunki you are not comfortable!!" And with that anger throwing up Shakshi slapped him again, she just can't digest that her son can ask something like that. 

The family was shattered with the revelation, Vineet was shocked to learn the truth of his mother, all this while Kokila was a silent spectator but now chose to speak. 

"Aap log khamakha iss baat ko itna khich rahe hai." As the word escaped her mouth, all the gazes shifted to her immediately, none had expected that from her, a mother whose daughter had been denied to have her child. 

"Aap log mujhe aise kyun dekh rahe hain? Main sahi keh rahi hoon, iss baat ko itna khichne ki koi jarurat nahi hai, waise bhi ye miya biwi ke aapas ki baat hai toh wahi suljhaye toh acha hai. Rahi baat Anamika ki, toh maaf kijiye main kabhi kehna nahi chahti par wo ladki hai hi manhus, jahan jaati hai apna kala saya leke jaati hai. Uske hote hi inka (Parag) business thap ho gaya, Sachin ka pair toot gaya aur naa jaane kya kya hua. Aur aab uske bache ke aate hi aapke ghar mei ye ladai. Shakshi ji ne jis bete ke kiye itna kuch tyag diya aaj ussi bete ke khilaf ho gayi. Huhh, maa toh maa, bacha bhi ussi ki tarah manhus nikla!!" Kokila exclaimed followed by loud thunderous shout of Vineet and others but Kokila's preceding words not only left him ashamed but gripped him in guilt. 

... 

To be continued...... 

Bạn đang đọc truyện trên: Truyen2U.Pro