5.Curiousity begins to increase...

Màu nền
Font chữ
Font size
Chiều cao dòng

Usne Saif ko Call ki
'Assalam o Alaikum'
Saif ne call uthate hi Salam kiya our uski awaaz ahista si thi our us main ishara tha k wo jo chahti hai wo nahi ho ga matlab 'sula'
'Walaikum assallam...kia pohunch gaye ho?'
'Nahi raste main hi hoon abhi...tum batao call kiu ki hai'
Yeh sun kr usne ankhen japkin khair usko itna toh pata tha k wo pohunch gaya hai
'kia matlab?...ab main kisi wajah se hi call kron gi tumhe ...haan?...tum ne samaj kia liya hai mujhe, jo aise baat kr rahe ho..Main bhi Maya Uzair hoon Saif Jawaid ....meri tarah se baarh main jao tum sab log.'
Akhir main nami aa gayi thi uski awaaz main our uski ankhun main bhi. Usne jatke se mobile band kr diya our wo puri ankhen khool kr mobile ko dekh raha tha
'What the Hell...'
Use maya pr gussa aya tha our dusri taraf Maya phuot phout kr rone lagi thi
'zalil log'
Use gussa aya tha k Saif ka gussa 4 gante baad call krne pr bhi nahi utra tha our upper se aisa pehli bar huwa tha k wo use poch raha tha k kis liye call ki hai...kiu k Maya jab bhi use call krti thi wo zarur us se baat krta tha our use uska maqsad batane ka moqa hi nahi deta tha
Maya ko apni zindagi main bohut si tabdili hoti mehsos ho rahi thi sab k rawayie.... ,us pr rok tok.... khair itni bhi nahi bs use sab ab samjate the k ab wo bari ho gayi hai our kiya kiya use nahi krna chahiye. Uska dil band hota ja raha tha our use sab se dr lag raha tha yeh uski zingadi ki achanak se tabdili ki wajah se tha ,use Aaj apni Maa ki kafi arse baad shidat se yaad ayi thi our yaad aya k wo apni zindagi k akhiri pl main bhi use zindagi samja rahi thi .Maa toh chahti hi yeh hai k use jitni mohlat mile wo apne bache ko wo sab sikha jaye jo zindagi ki masibatun se nikalne main madad kre...
'Maya apne deen se jure rehna jitna us se jur sakti ho jur jao'
Usne apne baba se pocha k iska kiya matlab huwa toh us waqt jab wo Biwi our bahi k mar jane k gam main the tab bhi yeh baat sun kr eik muskurahat unke labun pr ayi thi our unhone Maya ka matha chuma.
'Mere bache tumhari Maa ne tumhe wo samjaya tha jo usne sikha tha our bohut deir se sikha tha'
Use is baat ki kabhi samaj na ayi our us waqt wo is halat main nahi thi k kuch our sawal krti our baad main kabhi aisa moqa use mila hi nahi.
Usko apne baap ki baat toh samaj main nahi ayi thi magr Maa ka kaha kuch samaj aa gaya tha magr wajah baap ki baat main thi jo use samaj na ayi
'Deen se jurna'
Wo sargoshi krte huwe muskura di use apne deen k bare main jan'na acha lagta tha
Wo sara din kamre main hi rahi jab tk Zainab na aa gayi
Zainab ayi our wo kamre se nikli . Wo lounge main gayi toh Zainab k sath Azib bahi bhi the,uske kadam wahin ruk gaye magr Azib bahi ki nazr uspr pr chuki thi
'Ao Maya'
Wo palatne lagi thi k unhone use bula liya.Unhe hairat hui k abhi toh wo sirf sanjida hi huwe the our wo dr kr wapis ja rahi thi
Wo aa kr Zainab k sath beth gayi jo naraz nazr aa rahi thi
'Assallam o alaikum'
Dono ne uske salam ka jawab diya our phir hamoshi jo Azib nahi ne tori
'Maya main chachu ko toh nahi bata raha tumhari is harqat ka wrna wo pareshan ho jaye gain magr tum ab aisa kuch krne ka bhi nahi socho gi wrna saza main khud dun ga tumhe.'
Wo intahayi sanjidgi se bol rahe the k Maya ka halq hushk ho gaya tha
'Our Zainab jab yeh aisi zidden kren toh tum mujhe batana.'
Wo us se bhi sanjidgi se muhatib huwe the
'G'
Zainab itna hi boli
'Bahi aap naraz hain?'
'Haan hun main naraz '
Maya k ansu toh tayar the nikalne k liye
'Razi ho jaon ga jaldi'
Wo use dilasa dete forun se uth khare huwe our bagh gaye wrna jahan wo naraz the wahan unhe razi krne wala ban'na prna tha.
Zainab halka sa muskura di
'Am sorry Zainab'
'Kis liye?'
'Main bagair bataye hi chali gayi magr tum bhi toh...'
Wo bolti bolti ruki kiu k Zainab ne uske labun pr ungali rakh di thi Maya ne use nasamjhi se dekha toh uski ankhen nam thin
'kia huwa?'
Zainab ne use gale laga liya
'Tumhe kiu samaj nahi ati k aise bahir nikalna behtr nahi hota...jab ghar se call ayi thi Kamran bahi ki toh pata hai main kitna dr gayi thi'
'Am sorry...Zainab ainda aisa nahi hoga'
'Hona bhi nahi chahiye'
Flashback.....
Jab Maya lawn se ho kr pichli gali main gayi thi wo camera main aa gayi thi Kamran bahi ne use dekh liya tha our unhone forun se Azib ko call ki our tab Zainab bhi sath thi. Unhone forun se Saif ko call ki kiu k wo ghar hi tha us waqt.
'Bahi yeh kiya keh rahe hain aap?'
Uske toh hosh ur gaye the yeh sun kr our wo jldi se wahan pohuncha toh usne Maya ko niqab main pehchan liya tha.Usne uski nazre kisi our pr kis tarah jami thin,yeh usne dekha tha our use kisi cheez ka hadsha huwa tha kiu k wo wahi toh tha jis se Maya takrayi thi Saif ko Maya ka kisi ko aise dekhna pasand na aya tha wajah yeh nahi k use us se muhabat thi wajah yeh thi k use koi bhi larki kisi larke ko aise dekhte huwe pasand na ati kiu k hayadar larkiyan aisa nahi krtin magr kon jane k wo larki us wajiha se shakhs se zahir ko nahi batin ko dekh rahi thi.
Wo Maya ki harkat pr bhi us se gussa tha is liye usne use thora drana chaha tha our iska matlab yeh nahi tha k wo us se razi tha....
Wo usko le kr palta hi tha k Aaid ka platna use mehsos ho gaya tha is liye wo Maya ko le kr jaldi se wahan se nikl gaya .Use is admi k sath bar bar itifaq pasand nahi the ae.
Phir jab wo ghar pohunche.Wo tab bhi us se razi nahi tha huwa,wo chahta tha k wo sabaq sikhe,janta jo tha uski narazgi use zayada deir k liye pasand nahi aye gi
Our jab wo Uzair sahib k office k raste main tha, Maya ki call ayi toh use laga manane k liye ayi hai toh socha thora sa tang kr liya jaye,is liye usne us se rukhe andaaz main baat ki thi k wo manaye gi ab.
Magr wo ulta use suna gayi thi .Use gussa aya our usne bhi gusse se mobile side pr rakh diya tha.
Zainab bohut gusse main thi our pershan bhi mgr Azib bahi ne uski pareshani dour kr di our gussa bhi our us se sari baat pochi toh usne bataya k wo zid kr rahi thi unhone use samajya k agr wo ainda aisa kre toh wo use batye wo Maya ko khud sambhal lein gain
......................................................
Present...
Fozia baji bhi naraz hui thi magr jald man gayin.
Fozia baji k bache bi aa gaye the.Maya ko wo dono hi bohut pasand the wo unke sath sham ko lawn main khel rahi thi our bohut deir tk khel kr thak har k wo log ghass pr beth gaye
'Acha bachun ab andr chalo khane ka waqt ho raha hai'
Wo uthti hui boli our bache bhi uth kahre huwe our andr dour gaye wo hans di our unke piche andr chali gayi
Dinner k baad usne namaz parhi our Zainab our Fozia baji k paas lounge main a gayi.
"Zainab tumhara trip ja raha hai na?"
Maya ko yaad tha k Zainab ne abhi tk nahi bataya k uska trip ja raha hai.
"oh haan!"
Jaise use abhi yaad aya ho
"main bhool gayi thi batana...Magr eik mint ruko tumhe kaise pata?"
Usko achnaba huwa k Maya ko kaise pata chala.
Maya ne apna khushk hota hlk ko tr kiya our jaldi se koi jawab banane lagi kiu k Fozia baji bhi wahin bethin thin our unhe is baat ka pata nahi chalna chahiye tha k wo kisi se baat krti hai wrna wo tayi jan ko bata sakti thi our jo baat hai nahi thi wo ban sakti thi akhir duniya hr baat ka ulta matlab hi samajti hai our galat bhi...
"Aliza ne bataya tha.Wo bhi toh isi uni main admission lene wali hai. Use kisi ne bataya tha"
"Acha? Tum ne zikr nahi kiya k tumhari kisi dost ne tumhe contact kiya hai..ab toh khush hona?"
Zainab ko pata tha k wo apni doston pr kitna gussa thi jo eik toh use chor kr pata ni kahan chali gayin thin our dusra contact krna bhi zaruri nahi samaja.
"haan"
Wo itna hi bool payi thi kiu k jhooth bol rahi thi.
"Ali our Zara kidr hain?"
Use nazr nahi aa rahe the toh usne poch liya.
"Wo ab sone chale gaye hain. Ammi k ghar bhi bachun se khelte rahe hain, kafi thake huwe aye phir tumhara sath bhi itni deir khelte rahe hain"
"Ahan! Unke cousins?"
Usko jahan tk yaad prta hai unke mamu kisi dusre shehr main rehte hain our eik behn hai uska use kuch nahi pata
"Inki khala k bachen hain
"Baji apki behn shadi shuda hai"
Fozia baji ki behn usi ki umer ki thi jis ki wajah se use hairat ka shaded jatka laga.
"Haan.kiu?"
"Apne kabhi bataya nahi"
"kabhi yeh baat hi nahi hui shayad isi liye...wese ab wo kuch arsa idr hi rahe gi Ammi k paas hi toh shayad idr bhi aye."
"Sab hairiyat hai na baji?"
Zainab ne zra fikrmandi se pucha.
"Hun. Sab hairiyat hi hai wo jin k ghar kaam krti hai na unke ghar shayd koi masla huwa tha toh us k shohr our baba ne kaha k kuch deir tum apni Ammi k ghar hi thehr jao"
"Matlab unhe apki behn se koi masla toh nahi"
"Nahi aisa ni hai wo koi family nahi hai shayd eik hi admi hai Daniya aksr uska srsari sa zikr kr deti hai"
"toh usko kiya masla huwa?"
Maya ne laprwahi se pocha
"Meri daniya se baat ni hui itni abhi.Mujhe nahi pata Magr suna hai bara hi sakht kisam ka insan hai wo."
"oh! Wese kiu?"
"Maya ab kiya wo uski P.H.D kiye bethi hain? jo tum puchti ja rahi ho."
Zainab hanste huwe boli.
"Acha thk hai. Maine toh wese hi pocha tha."
"Main ab chalti hun bache jag na jaye kahin."
Wo uthte huwe bolin.
"Kamran bahi ko bol dein k ab gate band kr den."
"Hun"
Phir wo chali gayi our wo bhi kamre main aa gayin.
"Maya wese Aliza hai kidr thi itne dino se?"
Maya ki bestfriends main se eik thi wo is liye Zainab bhi use ache se janti thi our uska bahi Azib ka bohut acha dost bhi hai tha.
"Zainab mujhe kiya pata ho.Usne ne mujhe contact kiya ho toh na."
Zainab ne mur kr use nasamjhi se dekha.
"Wo usne nahi bataya tha ,balke Aaid ne bataya tha"
Maya uski nazrun ka matlab samj kr boli
"Kon Aaid?"
Wo takreben chichi thi kiu k use waqai main Aaid yaad nahi tha our na Maya ne bataya tha k usdin jis ke sath wo takrayi thi wo Aaid tha our na hi aaj subha wale itifaq ka bataya tha.
"Ahista bolo."
Wo gurte huwe boli.
"Wahi Aaid jis se maine baat ki thi .Usi ne bataya."
"Magr tum ne toh kaha tha k wo koi business man hai."
Wo zara mayus hui thi kisi baat pr yeh Maya ne gour kiya tha.
"Haan usko uske kisi cousin ne bataya tha shayad."
"Toh tum us se waqai main baat krti ho?"
"haan."
"Magr kiu koi our nahi mila?"
"kia matlab?"
Maya ne use nasamji se dekha.
"Use uske kisi cousin ne nahi uske apne aap ne bataya tha."
Zainab ko yaad aa gaya k us businessman ka naam bhi Aaid hi tha class main uski baatein ho rahi thi jo zara bhi achi nahi lagi thi use isliye use phikr hui.
Maya ne use nasamji se dekha
"Wohi toh hai wo banda .Yar Maya wo thk insan nahi our tumhe kiya zarurat ayi hai us se baat krne ki .kisi dost se rabta kro shayad utha lein phone."
"Zainab kia matlab wo acha insa nahi hai?"
Maya ka jaise sans atak gaya ho use forun jawab chahiye tha. Wo shakhs uske liye our zayada pechida ho gaya tha our Maya ka tajasus our barh gaya tha.
"Maine suna hai wo kafi high standard se belong krta hai our hr koi uski hi baatei krta hai aise log aksr ache nahi hote."
"Our tumhe pata hai ade se zayda shehr ki larkiya hi nahi larke bhi uske diwane hain."
Zara moun bana kr boli k akhir is main itna khas kiya hai.
Bilashouba wo log uski shaksiyat k diwane,uski ankhun k diwane the jise dekhne ki koi tab ni la sakta our agr dekh le toh faisla nahi kr sakta k yeh jo intaha unhone sahi thi uski ankhun main jank kr wo grmi ki thi ya thand ki.
"Kia?"
Maya ka moun khula ka khula reh gaya.
"Hmm...wese mujhe samj nahi aa rahi eik baat ki .Maine suna k wo kisi ko bhi moun nahi lagata matlab wo aisa shaks hai jo tanhayi pasand hai mere hayal se phir wo tum se baat?"
Zainab pursoch nazrun se diwar ko dekhti boli use samaj nahi aa raha tha kuch our Maya ko laga uska dimag goum jaye ga .Akhir yeh kaisa insan hai use samaj nahi aa rahi thi eik taraf jab wo use dekhti toh najane kiu uspr tars ane lagta jaise sadiyun se kisi takleef se gujr raha ho .Uska bechain sa wajud uski nazrun k samne aya our eik taraf wo zalim sa dikhta hai our kabhi mazlum our jab wo us se baat krti hai toh wo eik narm dil ka shaks lagta hai.
Maya ko yeh bhi nahi samj aya k usne jhooth kiu bola k use uske cousin ne bataya tha.
"Ya mere Allah yeh kia cheez hai akhir?"
Jab wo kafi deir uske bare main sochti rahi our use samaj na aya k akhir wo kis kism ki bala hai toh wo yeh kehte uth bethi uski neendh toh ur chuki thi is Aaid nami bla ka naam yaad krte huwe.
......................................................................................................
Assalam o Alaikum.........beautiful people😀
I hope you all are enjoying your blessings.🙈
Agr apko yeh chapter pasand aya toh vote kr dijiyega konsa fine ho jaiga our muje bhi pata chal jaye ga k main kitna acha likh rahi hun.🙈
Aur agr chapter chota laga tih bhi bata dijiye ga
Aur Happy new year...eik naya saal mubarik ho aap sab ko. Humain eik our moqa mila hai apnea mal ko sudarne ka toh isko zayan nahi krna chahiye na toh apni islah ki niyat abhi se kr lein gain toh Allah our saal apki madad frmaye ga
One more thing for you
Allah ka Arshad hai:
"Ps harabi hai aise namaziun k liye jo apni namaz ( ki adaigi) se gafil hain."
Iska hr eik k liye alag hi matlab hai uske amal k mutabik. Jo Namaz ada krte hain magr usmain kuch sochte bhi hain unke liye warning hai k agr wo aisa krte rahe gein toh nuksan uthayen gein toh unhe chahiye k apne nafs ko sambhalen k unhe namaz main koi hayal na aye " be shak koshish krne wale ki Allah madad frmata hai".
Our jo log Namaz parhte hi nahi unke liye warning hai k agr wo baaz na aye toh nuksan uthaye gein. Our Qayamat k din toh sab se pehla sawal hi namaz ka hoga our pehle sawal pr hi jab hr jao get oh Jannat kaise mile gi.Insan jab namaz shuru krta hai na our usko sahi krne ki musalsal koshosh main rehta hai toh Allah uski tamam buri adaat ko badl deta hai yeh meri zindagi ka ek bohut hi khubsurat experience hai. Our jis ne namaz chor di Allah us se sakht naraz hota hai maine bhi eik bar chour di thi mayus ho kr kisi cheez ki wajah se phir himat kr k parh li toh samj aya k namaz parhne se sab kuch thk ho jata hai apke our Allah k drmayan.

Bạn đang đọc truyện trên: Truyen2U.Pro