Aakhir Mei, Sirf Hum Reh Gaye

Màu nền
Font chữ
Font size
Chiều cao dòng

Dosti hi thi,
jo ek rishta sahi tha.
Aaj tumne usko bhi naapaak bana diya.
Saare maholle mei nanga kar diya,
jaha apni dosti ki misaale di thi.
Ek baar bhi nahi lehaaz kiya?
Meri taraf se sachchi dosti thi,
tumhara jhoot to kehar, saamne aa hi gaya.

Yeh masoom dil kaha jaanta tha,
uss chall ko jo tumne apni nakli hasi mei dabaya tha.
Kaam hua tab wah-wahi,
aur piche se chura ghop diya!

Dhooke to khaye the kayi,
par tumhe to sacha saathi maana tha.
Saare rishto se upar,
apni dosti ka parcham lehraana tha.
Par asli rang kuch jaldi nhi dikha diye?
Thodha aur fayda utha lete na!

"Zindagi bhar ka saath hai,
hum hai humesha ke liye,
darne ki kya baat hai."
Khokhle vaadein to kiye the kayi,
vo list abhi bhi adhoori, sharamsaar hai.
Kitaab ke aakhri panne pr vo abhi bhi intezaar mei,
par use puri karne wale to kahi gumnam hai.

Tumhari takleefo ko apna samjha,
mere mushkil samaye mei,
dhue ki tarah tumhe kahi door udhta dekha.
Pehle to iss dosti ki patti bandi thi aakho par,
ab nirasha ki aag jal rahi hai dil mei.

Ek hi baar chahe,
par meri takleef sunn lete.
Madad to mene kabhi maangi hi nahi!
Dil halka karne ko bhi na diya kandha,
shayad meri haalat dekhke,
moo chipake kahi hass rahe!

Dekhbaal aur haal-chaal ki,
kabhi aadat hi nhi thi.
Na kabhi tumne khud jatan kiya.
Tumhari harr beemari mei,
mei bhi jagi.
Par mere harr marz ko bhula diya!
Arey,
ek baar phone hi karlete!
Iss sharmindagi mei,
magar baat kese karte!

Ab jab ehsaas hua hai,
dil upar tak bhar aaya.
Aakhoo mei se aason,
to sookh kabke chuke,
bas vo meri taraf se sachi dosti ne,
haath jakdha hai.
Abhi tak to ek laafa deke,
kabki bhaag gayi hoti.

Jinse kabhi baat na ki,
unmei bhi aaj apna-pan sa dikh rha hai.
Jiske saath jeene-marne ki kasmei khaayi,
usne ab vafaa na dikhayi!
"Aakhir mere saath hi kyu?"
Yeh sawaal phir dastak de rha hai.

Apni ehmiyat samjhi hai ab,
kisi ke liye ab khaali samye nhi.
Dosti ek dhokha hai,
mann mei bitha liya hai.
Yeh dil bechaara to abhi bhi udaas hai.
Ab bas dalile aur safaaiya na mangi jaye,
jo tumko deni chahiye thi, bahut rooz pehle.

Kaayi aaye, aur kaayi gaye.
Par aakhir mei,
sirf hum reh gaye.

Bạn đang đọc truyện trên: Truyen2U.Pro