4~Escape And Realization

Màu nền
Font chữ
Font size
Chiều cao dòng

Prarthna was done making the painting of magical mirror and also Raghuveer's statue that looked exactly like him.

Pr: lo ho gaya ye chitra aur putla tayaar, abhi mayavi parbat ja kar mujhe is chitra ko wahan rakhna ho ga, aur ye putla bepahiyon kee gaaree mein daalna ho ga aur us gaaree ko jaagrit karna ho ga, jab tak pariyaan iss nakli Raghuveer ko pakrein gi, main asli Raghuveer ko chhura doon gi, aur kar doon gi uss sunehre dil ke rakshas ko ek baar phir aazaad

She heard someone coming and then quickly hid the painting and the statue. The caretakers of pari lok came there.

Pr: aray dooba dooba, tum sab?

Dd1: rajpari, hum ne aap ke liye jhoot kaha, uss ke liye aap ne ab tak hum ko heen cream nahi di

Pr: haww tum log ki heen cream? Woh toh main bhool gayi, (they all became sad and looked down, she chuckled and she forwarded her hand and a huge tub of ice cream appeared in her hand) aisa kabhi ho sakta hai ke rajpari apnay sevako'n ki seva ke badlay unhein koi inaam na de? (they all lit up and looked up) ye lo tum sab ki heen cream, jee bhar ke khao, aur ek baar aur dhaneywaad tum sab ka, mere liye jhoot bolne ka.

They smiled and took the tub from her.

Dd2: waise rajpari, aap ne vaada toh ye bhi kiya tha ke aap humein sab bataein gi

Pr: main ne tum sab ko jhoot bolne ko isliye kaha, kiun ke main ne us rakshas ki achhai dekhi, un bacho'n ka apharan honay se bachaya us ne, un ki buri yaadein mitaai theek us tarha jis tarha hum pariyaan karti hain. Haan tum sab ko ye lagay ga ke woh ek saazish ho sakti hai, lekin main jaanti hoon woh koi saazish nahi, woh koi dhong nahi, sach tha. Aur agar tum sab ye bhi kaho ke ye sab bas mujhe dikhaane ke liye kiya gaya toh nahi, us se pehle us ki nazar mujh pe pari bhi nahi thi, main toh kaafi samay baad us ki nazro'n ke saamne aayi. Us ne khud sweekaara ke us ne bohat si pariyo'n ka khoon peeya hai shakti shaali honay ke liye, magar main aisi pehli pari hoon ke jisay us ne baksh diya. Tum sab he batao woh kaise bura hua? Woh rakshas ban'ne ke nahi balkay farishta ban'ne ke laayak hai. Woh insaano'n ka aur janwaro'n ka shikaar nahi karta. Isliye main ne usay aazad kiya tha, usay bediyo'n se chhuraya, lekin tum sab ko vaada karna ho ga, ke tum sab kuchh nahi batao gey.

Dd3: rajpari, sabhi pariyo'n ki tarha hum aap ke bhi wafadaar hain, haan lekin pariyaan jhoot nahi bolti, agar pari maa ko pata laga ke aap ne itna bara chhal kiya hai, toh aap ko karri saza ho sakti hai, aur un ka kitna dil dukhay ga ye jaan kar ke un he ki putri hai in sab ke peechhe.

Pr: jaanti hoon dooba dooba, bas sirf aaj ek aakhri baar meri madad kar do, sirf ek baar, bas phir main khud ja kar saara sach keh doon gi

Dd4: lekin rajpari, pari maa bohat naraaz hongi, humein darr hai ke aap ko yahan se nirvasit kiya jaaye ga

Prarthana became sad.

Pr: main kuchh galat nahi kar rahi dooba dooba, is sahi ke liye agar jhoot keh rahi hoon toh us jhoot mein bhalaai hai, jaanti hoon kattar dushmani rahi hai pariyo'n aur rakshaso'n ke beech, magar woh bas naam ka rakshas hai, rakshas ke shareer mein farishta hai, main kisi achhai ke prateek ka vinaash nahi honay de sakti. Agar tum log ko mujh pe sandeh hai toh koi baat nahi, tum log meri madad nahi karo gay na? Koi nahi, mat karo, jo saza ho gi sirf mujhe ho gi, bhalaai isi mein hai tum sab peechhe hat jao, aur kabhi apna munh mat kholo ke tum sab ne mera saath diya tha, ekaant.

They left from there. She got the statue and painting out of there and disappeared. She appeared in the vehicle storage of pari lok and got out the sleigh. She settled the statue and then closed her eyes.

Pr: bepahiyo'n ki gaaree ko ye aadesh hai ke woh is putlay ko urra le jaaye, jao, pariyo'n ki nazro'n ke saamne se urra le jao

The sleigh activated and began to fly. Then she flew off to the mayavi parbat and rushed inside in front of the magical mirror. Raghuveer sensed her presence.

Pr: tumhara hubahu putla bepahiyo'n ki gaaree mein urr raha hai, jald he pariyaan yahan aati hongi, isliye ye chitra is aainay ke aagay rahay ga, bas thora andhera ho jaaye ga, lekin phir tumhe azadi milay gi, yojana ka pehla paraav paar ho gaya Raghuveer, badhaai ho

He smiled, she sat the painting in front of the magical mirror and hid under the giant leaves waiting for the arrival of fairies for them to acknowledge the fake magical mirror which was actually a painting and for them to get betrayed that Raghuveer escaped.

On the other side:

The fairies saw Raghuveer (statue) flying away in sleigh.

Ar: ye kaise sambhav hai? Uss jadui aainay ko bhi torr kar bahar agaya woh rakshas? Pariyo'n jao ja kar dekho us jadui aainay ko

The fairies flew off to the mayavi parbat and rushed to the magical mirror and got shocked on not being able to see Raghuveer.

Fairy 1: ye toh bhaag gaya, woh bhi aaina toray bagair

Fairy 2: ye asambhav hai, (she tapped her temple for telepathy to talk to Arshiya) pari maa, woh rakshash Raghuveer bhaag chuka hai, lekin woh bhi aaina toray bagair bhaaga hai maa pari

Ar: jitna socha tha us se bhi kayi ziada shakti shaali hai woh rakshas, hum abhi usay roktay hain

Fairy 2: jee pari maa

She tapped her temple and disconnected.

Fairy 1: chaliye, humein bhi un ki madad karni ho gi us rakshas ko rokne mein

They left. Prarthna smiled and came out of the hideout looked at her magic wand. She aimed it at her painting and destroyed it. She eyed Raghuveer who was looking at her desperately.

Pr: doosra paraav bhi paar ho gaya, (he smiled) ab teesra aur aakhri paraav bhi paar ho jaaye ga.

She smiled at him.


Meanwhile, the fairies all attacked on the sleigh and the sleigh fell down along with the statue. They all rushed forward and held the statue turning it and were shell shocked.

Ar: ye toh keval ek putla hai, is ka matlab humaray saath chhal hua hai, ke nakli Raghuveer humein yahan bhaagta hua dikhaya gaya, aur udhar us ki sena chali gayi ho gi usay bachanay, matlab woh ab tak kaid hai, humein ek baar ja kar dekhna ho ga, woh yahan se bach kar nahi jaaye ga, chaliye aap sab

They nodded. All flew off. Meanwhile Prarthana began to do her last step.

Pr: hey jadui aainay, toot ja, nasht ho ja, aazad kar is kaidi ko, main rajpari tujhe aadesh deti hoon

The mirror broke and Raghuveer got freed. Quickly, she broke the giant leaf and gave it to him, he hid inside and left. Even she broke one of it and she also left. The fairies appeared there. They rushed to the magical mirror and got shocked to see it broken.

Fairy 1: pari maa, sach mein ye aaina saabut tha jab hum yahan aaye toh

Ar: is ka matlab phir ek chhal hua hai, uss ne khud ko gayab kiya, aur phir saari shakti laga kar aaina torr kar bahar aa gaya, lekin woh hubahu putla, woh kaise aya? Kis ne bheja usay? Ye gutthi toh sulajhne ke bajaaye ulajhti ja rahi hai, rakshaso'n ke paas koi raasta nahi pari lok tak aanay ka, kiun ke woh urr nahi saktay, us ki sena toh chahtay huay bhi us ki madad nahi kar paai ho gi. Koi bahar wala aya nahi, koi rakshas nahi, na koi buri pari kiun ke is samay koi buri pari jeevit nahi. Matlab koi pari lok se he hai jo ke us dusht rakshas ki madad kar raha hai, aur woh jo koi bhi hai, usay ek rakshas ki madad karne ke liye aur dusht se dusht'ta se kaam na lenay ke liye karri se karri saza ho gi, hum bohat jald pata laga lengay ke woh pari ya woh sevak kaun hai

Meanwhile, Prarthana and Raghuveer were in Raghu's room in the house he had on earth. They were laughing and had a high five.

R: maan'na paray ga rajpari, kamaal ki yojanaein banati hain aap. Waise ek rakshas ko bachane wali pehli pari hain aap.

Pr: aur ek pari se bach jaane walay pehle rakshas hain aap

They chuckled.

R: magar aap ko toh is samay wahan hona chahiye tha na? Aap mere saath kiun aa gayi? Kisi ko khabar ho gayi toh aap ko is baat ka dand milay ga

Pr: Raghuveer, achhay kaam ka kaisa dand

R: achhaai aap ne meri dekhi, koi or kabhi ye nahi samajhta, lekin mujhe bachatay bachatay aap ko kaafi khatray ho saktay hain, kal ko aap ko agar wahan se nirvasit kar diya gaya, phir? Ye pari ban'ne ka adikaar aap se chheen liya jaaye, phir? Aap rajpari hain, raj paath aaye ga aap ke hissay, kiun aap usay mere liye daav pe laga rahi hain? Koi nahi maanay ga meri achhai ko

Pr: aap ko bhi ek pari se dosti kar lenay par rakshaso'n ki sena se nirvasit kiya ja sakta hai, rajkumar honay ka adikaar chheena ja sakta hai, aap ki shaktiyaan cheen li ja sakti hain, aap ke hissay bhi raj paath hai, aap bhi usay daav pe laga rahay hain

R: Prarthana, agar mujh se woh raj paath aur rajkumar honay ka adikaar chheen bhi liya jaaye na, toh koi baat nahi, main rakshas ban kar nahi reh sakta. Rakshas ki khauraak hai peenay ko khoon na ke pani, aur khaanay ko maas na ke insaano'n ki khauraak. Jaanti ho jab khoon na milay toh hum kamzor par saktay hain, aur khaane ko maas na milay toh aur bhi kamzor. Aap he sochein, aisi khauraak jo kisi aur ki jaan le kar milay, aisi khauraak se achha main bhooka reh loon, agar mujhe insaan ban kar rehna paray na, toh bhi main tayaar hoon, haan aap dost hain meri, aisay dosto'n ke liye log martay hain, mujhe toh yoon he ek sachi aur achhi dost mil gayi, (she smiled at him) toh kya hua agar is sachi dost ke liye ye rakshaso'n wali zindagi na jeeni paray? Ye waise he ek shraapt jaisi zindagi hai, aisi zindagi nahi jeeni, insaani zindagi chahiye. Magar aap Prarthana, please mere liye apni vardaani zindagi daav pe mat lagao. Na apna milnay wala raj paath, na agli pari maa honay ka adikaar. Mat khona tum apnay pari vansh ko mere liye.

Pr: haan lekin... Woh sab ye baat kabhi nahi maanengay ke aap rakshas hotay huay bhi achhay hain, tab toh saza milay gi he aap ko chhuranay ki, manzoor hai woh saza mujhe, main ne kuchh galat nahi kiya, achha he kiya, chalo ab main chalti hoon, aakhri baar toh aisay kaha tha ke woh pehli aur aakhri mulakaat rahay gi, magar us ke baad bhi 3 baar mulakaat hui, isliye ab yahi kahoon gi ke phir milengay.

R: apna khayal rakhna

She smiled and nodded.

Pr: aap bhi Raghuveer, aap bhi. Dhyaan rahay is baar koi kaid na karne paaye, woh jadui patta sambhaal lena

R: theek hai, jaldi milengay na?

Pr: zaroor

She climbed the window, flapped her wings and flew off in the sky and turned to him as he watched her leaving, she waved at him and he waved back. She disappeared in the sky. Slowly a smile spread across his lips.

Bạn đang đọc truyện trên: Truyen2U.Pro