5~Cursed

Màu nền
Font chữ
Font size
Chiều cao dòng

Prarthana had begun to meet Raghuveer frequently, she used to not be there in pari lok for longer periods, Raghuveer was missing for the people of Pari Lok, there were scrolls hidden in Prarthana's chamber under her bed. She used to make different excuses for visiting earth frequently but Arshiya had begun to doubt her.

Ar: pariyo'n, jo humara jadui aaina kharab hua tha, theek hua kya?

V.p: theek ho chuka pari maa

Arshiya lifted her magic wand and hit it slightly near it to see all the recent happenings to see what actually happened and how did Raghuveer actually escape. She was shocked to see Prarthana helping Raghuveer again and again.

Ar: ye kya? Rajpari? Woh humari putri hotay huay aisa kaisay kar sakti hai? Vijhdaar pari? Ye kaheen poori tarha kharab toh nahi ho gaya? Natkhat pari? Pari lok ke sabhi yantro'n ki zimmedaari aap ki hai, jaanch kijiye is ki

N.p: jee... Jee pari maa

She aimed her magic wand at the magical water but it was fine.

N.p: ye toh bilkul theek hai pari maa

Arshiya became angry.

V.p: kya sach mein Rajpari ne uss rakshas ki madad ki bhaagne mein?

N.p: haan, kya jaadu kar diya us ne humari Rajpari par?

Ar: veeraam pariyo'n! (they got quiet and she looked at the magical water and aimed her magic wand at it to see where is Prarthana at the moment and saw her with Raghuveer enjoying ice cream) ye kya shadyantra racha gaya hai humari naak ke neechay? Humari putri Prarthana aisa kaise kar sakti hai? Uss rakshas ke saath kaise gul mil sakti hai? Pariyo'n! Uss rakshas ko kaid kar ke yahan laaya jaaye aur Prarthana ko bhi yahan us ke saath he laaya jaaye

The fairies flew off, Arshiya couldn't take the shock. The fairies came back as they captured Raghu again and Prarthana also was there but she wasn't captured. Arshiya barged to Prarthana.

Ar: ye hum ne kya dekha Prarthana? Aisa kaise kar sakti hain aap? Hum ne kya sikhaya hai aap ko? Ke rakshas narak mein jalne ke he laayak hain, aur Prarthana aap? Aap iss rakshas ke saath gulchharay uraati hain? Iss se? Pariyo'n ke aur pari lok ke kattar dushman se? Aap toh jaanti hain na ke ye pariyo'n ka khoon pi pi kar itna shakti shaali hua hai? Ye rakshas hai rakshas. Dhoka, fareb, chhal kapat toh is ki fitrat hai, woh peeth peechhe waar karna jaanta hai, kyun kiya aap ne aisa? Itni baar aap ne is ki bhaagne mein madad ki, kiun? Jawab dijiye humein!

Prarthana got scared and fiddled with her fingers nervously as Arshiya never talked to her angrily before. She sighed and gathered courage to speak.

Pr: maa aap ne sab dekha lekin woh kahani ka bas ek pehlu hai, har kahani ke 2 pehlu hotay hain, doosra pehlu ab tak chhupa hai aap se. Ye rakshas, ye Raghuveer bura nahi hai, haan ye pariyo'n ka khoon peeta hai, lekin is ke haathon kisi masoom ka khoon nahi hua, maa is ne un bacho'n ko bachaya tha, main kaise maan loon ye bura hai? (she folded her hands before her) Maa main aap ke aagay haath jorrti hoon, aazad kar dijiye isay, chhor dijiye jaane dijiye isay, ye achha hai, us din is ne mujhe koi chot nahi pohnchayi thi maa, ye toh rakshas ban kar jeena bhi nahi chahta.

Ar: is ne kaha aur aap ne maan liya? Ye rakshas ban kar nahi jeena chahta na? Theek hai, Raghuveer, (she freed her) jao apnay lok aur tyaag do apni shaktiyaan, ek sadharan insaan ban jao, achhay ban kar jeeyo, tabhi meri beti ki dosti ke laayak ho gay tum, kal ko tumhe taakat ki laalach aa gayi, toh kaheen tum meri beti ka khoon na pi jao, hum apni beti par ek kharoch tak bhi nahi aanay de saktay.

R: bilkul Rani Pari, main aisa he karoon ga, lekin us ke liye mujhe pehle dharti lok jaana ho ga. Mujhe aaghya dijiye

Arshiya nodded and aimed her magic wand at him and he disappeared from there.

Pr: maa, agar woh insaan ban gaya, toh kya aap sach mein mujhe us se dosti ko jaaree rakhne ki aaghya dengi?

Ar: pehle woh apna vaada poora toh karay. Humein nahi lagta aisa kuchh ho ga.

Prarthana grew dull.

************************************

Raghuveer appeared in rakshas lok before his dad Balwant who was the head of all the rakshas.

R: pranam baba

B: pranam, toh aakhir kaar tujhe apnay rakshas lok ki yaad aa he gayi?

R: jee baba, lekin ye aap ki aur meri antim mulakaat hai baba

B: pagal aisa kiun keh raha hai?

Raghuveer sighed.

R: maine rakshas lok ke niyam ka paalan nahi kiya baba, aap toh jaante he hain ke main logo'n ki jaanein bachata aaya hoon, pariyo'n ka khoon zaroor peeta hoon, lekin un ki hatya nahi karta. Lekin ab bas, main ye shaapit zindagi nahi jee sakta, main sadharan insaan ban kar rehna chahta hoon baba, jo peene ko pani peeye aur khaane ko kuchh bhi kha sakay, jo kisi ka khoon na peeye, aisay jeena chahta hoon main.

Balwant got angry.

B: pagal ho gaya hai? Humein shaktiyaan mili hain, aisi asaadharan shaktiyaan jo humari kattar dushman pariyo'n ke paas bhi nahi, aisi zindagi chhorna chahta hai tu? Sadharan sa kamzor sa insaan ban kar jeeye ga tu?

R: jee baba, chheen lijiye ye saari shaktiyaan mujh se, (he got onto his knees) main nahi kar paata kisi ka shikaar, nahi le paata kisi ki jaan, aakhir kya soch kar mujhe ek rakshas banaya gaya? Ek rakshas janam diya gaya? Jab ke main ye sab karna he nahi chahta.

B: nahi chahta ka kya matlab? Tu ek galat misaal rakh raha hai sab rakshaso'n ke aagay, jab ke tu rakshaso'n ka rajkumar hai, mere baad sardar tujhe he ban'na hai

R: nahi baba, mujhe nirvasit hona hai, insaan ban'na hai, insaani zindagi jeeni hai, aap jaante hain na ke hum rakshas, hum khoon ke bagair jeevit nahi reh saktay, maas khaaye bagair bhook nahi mita saktay, aisi zindagi kiun chahte hain aap mere liye? Aap jaante hain na ke rakshas Valaka, mere dada jee kya kaha kartay thay? Woh kehte thay ke kabhi kisi masoom ka shikaar mat karo, kisi ka khoon mat peeyo, sadharan zindagi jeeyo, aap ke 2 bhai aur mere Ashwat chachu aur Pratham chachu bhi un ki ye baat maana kartay thay, insaani zindagi jeete thay, apni shaktiyo'n ka achhay maksad se prayog kartay thay, aaj jab aap ka beta ye rakshaso'n ka rajkumar jab apnay dada aur chachao'n ke naksh e kadam par chalna chahta hai toh aap kiun rok rahay hain mujhe?

B: ye zindagi humein kudrat ne di hai, Ashwat, Pratham aur tera dada sadharan insaan ban kar jeeye toh kya hua un ke saath? Amartva paane ke bajaye mar gaye na? Tera dada apni maut aap mar gaye aur woh tere Ashwat chacha aur Pratham chacha pyaar kar ke mar baithay, main apne bete ko nahi kho sakta, nahi tu nahi chhor sakta ye lok

He made him stand up.

R: toh theek hai baba, aaj ya toh main insaan banoon ga ya toh phir main rahoon ga he nahi, hum rakshas tab tak nahi martay jab tak khud na marna chahein aur khud he khud ko na maar dein, toh aaj aap ka ye beta mar jaaye ga

He forwarded his hand and a knife appeared in his hand, he was about to stab himself but Balwant snatched the knife and threw it away.

B: tujhe insaani zindagi jeeni hai na? Jee le, (he took away all of Raghuveer's powers) ja jee le apni zindagi, chal le apne dada aur chachao'n ke naksh e kadam par, aaj se tu rakshaso'n ka rajkumar nahi balkay ek sadharan insaan hai, magar haan, aaj tu ne apnay baap ko apni is harkat se bohat thais pohnchayi hai isliye mera shraapt hai tujhe, haan ek baap aaj apne betay ko shraapt deta hai, ke tu insaan ban kar bhi khoon ka pyaasa rahay ga, jaaa!

The next moment, Raghuveer was on earth and was a normal human being. He felt weak.

R: Prarthana... Prarthana!

************************************

Prarthana heard Raghuveer calling her.

Pr: maa, Raghuveer mujhe pukaar raha hai, main abhi usay yahan le kar aai

Arshiya nodded and Prarthana disappeared and appeared on earth, she saw Raghuveer on the floor with his eyes barely open. Prarthana grew worried.

Pr: Raghuveer?

R: mera vaada poora hua Prarthana, main ek sadharan insaan ban gaya, lekin aaj mere he baba ka shraapt laga hai mujhe, ke insaan ban kar bhi main... Khoon ka pyaasa rahoon ga

Pr: kya? Nahi, tum chalo pari lok, is ka koi na koi upaaye mil jaaye ga, chalo

She made him stand, held his hand and flew with him to pari lok and landed before the fairies, he went on his knees.

R: main ab insaan ban gaya hoon pari maa, lekin main ab bhi khoon ka pyaasa hoon, mujhe apnay baba ka shraapt laga hai, kya is ka koi upaaye hai?

Ar: tum ab tak khoon ke pyaase ho is ka matlab tum ab bhi hum sab ke liye ek khatra ho

R: lekin ye shraapt hai, kuchh upaaye bataiye na

Ar: dekh lijiye Prarthana, aisay he hotay hain rakshas

Pr: toh yahi sahi, aaj itehaas mein pehli baar ek rakshas ne apna lok chhora ek pari ke liye aur woh shaapit bhi hua lekin humein bad'dua dene ke bajaaye woh humari madad maang raha hai, kar dijiye na us ki madad

Ar: aap ko ye lok chhorna hai Prarthana? Kya aap ko bhi apni shaktiyaan tyaagni hain? Toh theek hai Prarthana, aap ek rakshas ki tarafdaari kar rahi hain jo ke aap ke liye insaan bana lekin hai toh khoon ka pyaasa ab tak, lekin hum aap se aap ki shaktiyaan nahi chheenein gay, haan magar itna zaroor kahein gay ke aaj ke baad agar aap ne apni shaktiyo'n ka prayog karne ki koshish ki, toh aap ko bohat dard ho ga, jaiye rahiye ab is khoon ke pyaase insaan ke saath

Pr: theek hai maa

She held Raghuveer's hand and they flew off to the earth. They eyed each other painfully.

R: maaf kar do Prarthana, aaj tumhe bhi nirvasit hona para

Pr: tum bhi toh mere liye nirvasit huay na? Toh main kiun nahi ho sakti?

R: tumhare haatho'n se woh shaan o shaukat ki zindagi chali gayi, raaj paath chala gaya, sab meri wajah se, aaj tum apnay pari lok aur pariyo'n se juda ho gayi

Pr: Raghuveer, tum ne jab itni bari kurbaani di toh itna toh main kar he sakti hoon, is baat ka afsos mat karo Raghuveer. Humein toh khush hona chahiye, phir ye udaasi kiun?

R: Prarthana, aaj maine bhi apnay baba ko khoya, main un ko thais nahi pohnchana chahta tha, main toh bas apnay dada aur chachao'n ke naksh e kadam par chalna chahta hoon

Pr: toh kiun na ye zindagi hum saath jeeyein Raghu? Jab hum ne apni purani zindagi chhor di, toh kiun na aaj ek nayi shuruwaat karein? Kya tumhare dil mein mere liye sirf dosti ki bhavna hai?

R: nahi Prarthana, ek sadharan si dosti itni bari kurbaani kabhi na dilwati mujh se, ye pyaar hai Prarthana, main tum se beyhadh beintehaa mohabbat karta hoon, haan ye pyaar he hai jo kurbaani dena sikhata hai, isliye tum batao, tumhare dil mein kya hai?

Pr: mere dil mein bhi pyaar hai Raghuveer

R: mujh se shahdi karo gi?

Pr: haan Raghu, main tum se shahdi karoon gi, banoon gi tumhari patni, tumhari dukh sukh ki saathi, tumhari jeevan saathi

They smiled and shared a hug.

R: toh chalo, der kis baat ki, aaj toh Bhagwan bhi ek rakshas ki kurbaani se khush ho ga, aaj he hum mandir mein shahdi kartay hain, aur zindagi mein ek doosre ke saath aagay badhtay hain

Pr: haan, aaj agni ko sakshi maan kar hum 7 pheray lengay aur ek doosre ke ho jaayengay

Bạn đang đọc truyện trên: Truyen2U.Pro