1~Opposites

Màu nền
Font chữ
Font size
Chiều cao dòng

A woman in her mid 40s entered a room, she could see the bedsheet crumbled along with the duvet, clothes were lying on the bed, jewelry was scattered on dressing table and shower sound could be heard from the washroom.

"Hey Bhagwan, ye larki bhi na, bas is ka ek he khwab hai ke business mein sab se aagay nikalna hai, aray shahdi ho gi kal ko toh ghar bhi sambhaalna ho ga, aur yahan dekho, sara kamra bikhra para hai, na jaane ghar kaise sambhaale gi. Kaash ke aisay aadmi sach mein hotay jo ke aurto'n ko job karne detay hotay aur khud ghar sambhaalte, aur kaash meri Manmeet ko koi aisa he mil jaaye jo isay ye khwaab poora karne de."

She sighed and cleaned her room and laid her clothes neatly on the bed along with accessories. She heard the washroom door open and turned to see a girl in her late 20s in shirt and jeans with slightly wet hair. Her gaze went on the tidy room and she smiled in relief.

"Thanks maa, mera saamaan sametne ke liye, maine jaldi jaldi mein sab idhar udhar bikher diya tha."

"Haan beta lekin pehle uth kar kamra theek kiya karo phir doosre kaam kiya karo."

Mn~aray maa, aap jaante ho na mujhe ye sab bilkul nahi pasand, I hate household chores, mujhe business mein sab se aagay nikalna hai, successful ban'na hai, this is definitely not my cup of tea to take care of household chores. So please, abhi main waise he late ho rahi hoon maa.

"Akshara!"

Ak~aa rahi hoon... Breakfast kar ke jaana

She left.

______________________________________

A man could be seen making tea and breakfast in the kitchen and as it was ready, he got out and served it to his parents.

"Jeeta reh beta, roz mujhe mehnat na ho isliye Rajkumar sab khud kar leta hai, ja naha le, phir tu bhi breakfast kar lena."

"Gopi, tum isay na ye aurto'n walay kaamo'n mein mat lagao, please. Yaar ye beta hai humara, beti nahi hai ke isay ghar ke kaamo'n mein laga rahi ho. Ye business sambhaale ga bas, maine keh diya so keh diya."

Rajkumar grew dull.

G~kya aap bhi Ahem jee? Aray achha hai ghar ke kaam seekh le ga, kal ko shahdi ho gi toh biwi ka haath batta de ga, mera husband aisa nahi, kam se kam main apne betay ko toh aisa banaun na ke jo doosri larkiyo'n ka dream boy ho. Aaj kal ki larkiyaan job karna pasand karti hain, main bhi job karti hoon come on, aaj jaise mere kaam mein madad karta hai, kal apni biwi ki madad karay ga na yaar.

A~oh please Gopi, mera beta ye sab nahi karay ga, Rajkumar tu bas naam ka rajkumar na reh ja, asli ka rajkumar ban. Dekhna mere saath kaam karay ga sab seekhe ga naam kamaaye ga, meri ye baat maane ga na tu Rajkumar, toh mujhe bhi ye baat manzoor hai, ke tu ghar ke kaam kar, dono side by side kar, done?

R~okay papa, (Ahem smiled, Gopi held her head) agar aap is se khush ho gay, toh mujhe manzoor hai

A~ye hui na baat, kal ready reh tu, kal se shuru karengay okay? Aaj toh tough rahay ga, ja naha le

Rajkumar left rolling his eyes.

He said in his mind: kaash mujhe koi aisi milay jo khud job karay aur main ghar sambhaal sakoon, 21st century magar phir bhi aadmi aurat mein itna bhed bhaav. Khaatay peetay aadmi bhi hain lekin ghar ka kaam bas sirf aurtein sambhaalein, why man?

_______________________________________

Later at night, Manmeet arrived at her house and sat in the hall holding her head. Her parents came and sat with her.

Ak~kya hua Manmeet? Sab theek toh hai na?

Mn~maa dekho na, main itni koshish karti hoon successful honay ki, aagay badhne ki, magar humesha mujhse aagay koi na koi hota hai.

"Dekho bachay, business mein utaar charaav hotay hain, 2nd position is also valued a lot."

Mn~papa, lekin 2nd walo'n par nazar hardly jaati hai, sab ki nazar first walay pe hoti hai

"Happiness is a state of mind. Dekho, tum toh school ho ya college, har jagah tum ne top kiya, positions li, har baar tum 1st par thi? Nahi na? Hum har baar khush huay, tum kiun nahi? Kabhi kabhaar doosro'n ko bhi mauka dena chahiye."

Ak~aap bilkul theek keh rahay hain Naitik... (she sat beside Manmeet and wrapped her arm around her shoulders) Lekin kya hua aaj agar koi aur first pe tha? Kya pata kal tum first pe ho? Koshish kartay raho, himmat mat haaro.

Mn~You're right maa. Lekin office mein kya main ek akeli larki hoon? Log kiun hum larkiyo'n ko nahi chahtay ke hum agay barhein? Humari dunia kitchen he thori na hai. Kab ho ga khatam ye bhed bhaav? Maa papa, promise me, aap kabhi meri shahdi ka socho gay bhi nahi? Main nahi chahti mere saare dreams shatter ho jaaein shahdi ke dabaav mein. Ghar ka kaam and all, no maa, abhi se keh rahi hoon in case you think of it in future.

N~kya matlab? Tum kabhi shahdi nahi karo gi? Akshara bhi shahdi se pehle job karti thi, us ne shahdi ke baad jo chhora apni marzi se chhora, aaj bhi agar woh kahay toh main usay job karne doon? Hai na Akshara, (she nodded) see, kya pata tumhe bhi koi mere jaisa mil jaaye jo tumhe tumhare is dream mein tumhare saath ho tumhe support karay?

Mn~aap ne kaha ke kya pata mil jaaye, mila nahi hai papa. Jab milay tab baat karna. Mil gaya na toh turant is shahdi ke liye haan kar doon gi, sachi.

She left to her room. Akshara came and sat near Naitik.

Ak~aap ko kya lagta hai? Koshish kar ke dekhein?

N~anokhe sapne hain is ke Akshara, tum he batao kahan milay ga aisa larka jo ghar ke kaam karay aur humari madam Manmeet office sambhaale? Seriously? Dono saath mein bhi office sambhaal saktay hain aur ghar bhi.

Akshara chuckled.

Ak~sapne toh anokhe hain, kaash usay bhi koi us jaisa anokha mil jaaye

N~I hope so.

_______________________________________

Next morning, Manmeet left for office, but on the other side where Rajkumar had agreed to learn business, he was struggling with his tie. Gopi came and helped him.

G~looking smart

R~thanks mom, I hope mera mind bhi smartly work karay, aur papa jaisa chahte hain waisa ho jaaye

G~do you really want to do this?

R~no, lekin bas papa ki khushi. Jahan school mein mujhe arts chahiye tha wahan maine commerce liya just for papa ki khushi. Meri marzi chalti kahan hai, agar mujhe ye sab aajaye toh main kar loon maa no problem, lekin nahi aya phir papa... Niraash hongay.

G~kya pata phir convince bhi ho jaaye ke tu wohi karay jo tujhe pasand hai

R~jis din ye ho ga, us din suraj kisi aur he disha se ugay ga maa

They chuckled and left the room. Ahem smiled seeing his new attire and hugged him.

A~smart... Aisay dress up kiya kar na, ab lag raha hai tu mera beta Rajkumar, aaja baith.

The duo sat and after having breakfast, they left off.

Like this, for some days Rajkumar kept trying to learn but couldn't. Back home:

A~itna time enough tha learn karne ke liye Rajkumar... Tujhe kya bas aurto'n ki tarha choolha choki pasand hai? Interest develop kar thora. Ye nahi toh banking kar. Look I want you to do a job, ye sab nahi ke poora din bas kitchen mein laga rahay

R~dad, I promise I tried, lekin mujhe nahi karna tha dad, only for your happiness... Apna farz samajh ke seekhne ki koshish ki but m sorry dad maine aap ko disappoint kiya. I guess main kitchen tak he theek tha.

A~oh ho ho! Great! Ab Rajkumar Yadav chef ban'na chahta hai? Great! Bhy toh phir larka kiun paida hua? Dhaabay pe baith ja ab.

G~Ahem jee, enough! Beta hai woh humara, aray tumhe toh khush hona chahiye ke woh kuchh different karna chahta hai, support him man, baap ho tum us ke.

A~Gopi, tum kaisi maa ho? Tumhe us ka future nazar nahi aata? Aray ghar ke kaam karne wali biwi mil sakti hai lekin usay bhi toh kamaane wala pati chahiye, why don't you understand?

G~office mein kaam karne wali biwi dhoondengay, (Ahem looked on shockingly) haan, yahi karengay, bas? Khush? Go beta, main sambhaal loon gi

Rajkumar left feeling guilty.

A~tum pagal ho? Tum usay samjhaane ke bajaaye...

G~pleeease, tumhe us ka future dekhna hai I understand, lekin saath mein us ka dil bhi dekhna hai please. Us ka dil nahi torna hai, hum parents hain hum he agar usay discourage karengay toh kaam kaise chalay ga? Us ne tumhari khushi ke liye try kiya, ye enough nahi? Usay school mein arts chahiye tha usne tumhare kehne se commerce liya chahay us ke liye usay baar baar supplementary deni pari us ne kiya, ye bari baat nahi? Ab bas Ahem jee, no more discouragements from now onwards. Bohat larkiyan job karna chahti hain, agar job karne wali larki mili toh woh khush he ho gi ke ghar ka kaam nahi karna paray ga usay

A~yeah right... Socho bahu ke baare mein jo ke abhi haal filhaal hai bhi nahi, lekin kal ko jab wohi job karne wali larki ghar aaye gi, Rajkumar usay dekh kar disappoint ho ga, log baatein banaein gay ke pati khud nahi kamata patni ki kamaai khata hai. Aray bhalay woh biwi ki help bhi karay doesn't matter, biwi bhi bhalay job karne wali milay I appreciate, lekin Rajkumar bhi job karay na, job bhi us ke saath karay. Dono same grounds pe rahein, main galat keh raha hoon?

Gopi shook her head.

G~aap galat nahi hain, par kiun na woh koi aisi job karay jis mein usay interest hai Ahem jee?

A~bilkul karay, I would be more than happy... I just want him to earn. That's it. Woh khud ke pairo'n pe khara ho bas.

Gopi nodded.

Rajkumar heard all of it and sighed.

R~maa papa kitna pyaar kartay hain, itna sochtay hain, main kiun un ko khush nahi kar paata? Main bas itna chahta hoon ke papa mere sarr pe rakh ke kahein I am proud of you beta, lekin kabhi woh din aaye ga?

A tear fell from his eyes.

_______________________________________

Somedays later, after trying a lot, Rajkumar failed to find job and again got disappointed. Meanwhile Akshara and Naitik tried to find alliance for Manmeet and came across one alliance of Rajkumar.

Bạn đang đọc truyện trên: Truyen2U.Pro