2~Alliances

Màu nền
Font chữ
Font size
Chiều cao dòng

Manmeet sat with Naitik and Akshara.

Mn~kya hua maa papa? Aisay bulaya? Koi baat hai?

Ak~khushkhabri hai beta, samajh tera sapna poora ho gaya

Mn~main samjhee nahi

N~arayyy ek aisa rishta mila hai na, ke woh larka ghar sambhaalne ko ready hai. Soch zara, tu jo chahti hai woh ho ga, ghar ke kaamo'n ki no tension, tu bas mast ho kar apne office walay dream ko poora karna

Mn~really? Mazaak kar rahay hain kya mere saath?

Ak~mazaak nahi, sach hai, larkay ka naam bhi achha hai, Rajkumar, bilkul tere sapno'n ka rajkumar hai woh, aur naam se he nahi balkay dikhne mein bhi achha hai, you two will make a wonderful couple, dekh

She showed Rajkumar's photo to Manmeet and she felt attracted to him, he really was the way she wanted her husband to be, the one who would take care of household chores, handsome, charming, he had it all. A smile formed on her lips and she looked down.

Mn~ye toh... Sach mein kisi rajkumar se kam nahi

N~abhi toh shahdi bhi nahi hui, shahdi toh door alliance fix tak nahi hui, Rajkumar ne isay dekha bhi nahi aur madam sharmaane lagi, dekho toh zara isay, (he held Manmeet's face and teased her) tamatar jaisi laal ho gayi, (Akshara smiled) kuchh din pehle tak toh keh rahi thi hum is ki shahdi ka sochein bhi nahi, aur ab muskura rahi hai

N~aisa he hota hai, jab Mr Right mil jaata hai toh, main bhi kahan shahdi karna chahti thi, jahan shahdi honi hoti hai na wahan log andhay ho jaatay hain

N~ lo bhy, mera sab saamne tha, mujh mein aisa kuchh defect nahi tha ke jisay tumhe andekha karna para ho, Manmeet, apni maa ki baatein suno bas, bina sarr pair ki baat thi ye toh

Ak~ohhh, aray Manmeet, tumhare paida honay ke baad tumhare papa nakcharray nahi rahay, pehle toh bas naak pe he gussa hota tha. Yoon itna gussa bhi nahi, lekin chirrtay bohat thay bas.

Mn~abhi toh aap dono boyfriend girlfriend ki tarha jhaggad rahay ho, mere maa papa toh lag he nahi rahay, shahdi meri kar rahay hain aur khud aisi acting jaise aap dono ki shahdi ho rahi ho

N~yahi toh hoti hai arrange cum love marriage, jo ke main tere liye chahta tha, shayad woh mil gaya tujhe

Ak~bas bhi kijiye, agar aaj he sara ka sara sharma le gi toh shahdi walay din bhi toh sharmana hai na

Naitik and Akshara laughed. Manmeet looked at Rajkumar's photo and smiled.

_______________________________________

Gopi and Ahem sat together and she showed him Manmeet's photo.

G~ye hai woh larki jis ka proposal hai. Ye he chahti thi ke is ka husband waisa ho jaisa humara Rajkumar hai, yakeen nahi ho raha na?

A~nahi, lekin agar aisa hai toh ye toh khushi ki baat hai, lekin Rajkumar low feel na karay phir baad mein aur complex ka shikaar na ho jaaye, mujhe bas itni fikar hai

G~pehle us se ye baat toh karein, woh tasveer toh dekhay, abhi toh tasveer bhi nahi dekhi na, (Rajkumar passed from there) aray Rajkumar, ruk, idhar aa, (he stopped and came there but didn't meet his gaze with Ahem) tere liye ek rishta hai, dekh ye hai larki

She showed him the photo but he looked here and there avoiding to see it.

R~jaisi bhi larki ho maa, lekin mere laayak nahi ho gi koi bhi. Main toh koi kaam bhi nahi karta, woh mujhe dekhte he reject kar de gi. Papa humesha kehte hain ke shakal se nahi balkay kirdaar se pyaar hona chahiye, dil se aur rooh se pyaar hona chahiye, meri shakal laakh achhi ho, sab ye dekhengay ke main koi kaam karta hoon ya nahi.

A~you're right beta, lekin ek baar dekh toh lo, kya pata woh haan kar de, kya pata usay tumhari ghar sambhaalne wali baat se koi problem na ho.

R~ye aap keh rahay hain papa? Are you sure papa?

He took Rajkumar's hand and made him sit.

A~I am sure, dekh jo bhi hai, jo bhi maine pehle kaha, I know tu hurt hua, tujhe bura laga, tu disappoint hua bilkul meri tarha, balkay mujh se bhi ziada tu disappoint hua. Lekin I think ek baar ye rishta dekhna chahiye. Haan past mein is baat se tujhe... 3 larkiyo'n ne reject kiya tha na? Its okay, its their bad, toh kya hua? Mera beta croro'n mein ek hai, hai na? (Rajkumar nodded) kya pata ye larki, yahi ho teri kismat, who knows? Humein kya pata kismat mein kya hai? At least we can hope for the best na?

G~papa bilkul theek keh rahay hain, ek baar toh dekhna banta hai, kya pata ye khud'daar ho, un larkiyo'n jaisi na ho, yahi ho teri Mrs Right, you are ready na?

R~I am, but only for both of yours happiness

He began to leave.

A~humari khushi ke liye nahi teri khushi ke liye dekh, (Rajkumar stopped and looked at him) chhor humari khushi ko, bohat kar liya humari khushi ke liye, larki ke saath life tujhe guzaarni hai, hum ko nahi

R~dekh loon ga papa, mil loon ga, mujhe as it is accept karne wali larki ko main bhi accept kar he loon ga

G~Haan lekin ek baar bol de na that this is all for your happiness, is baar tu apni khushi ke liye kar raha hai jo bhi kar raha hai, bol na, teri khushi sab se pehle honi chahiye, sometimes its okay to be selfish

R~yes, its all for my happiness

A~ye hui na baat mere champ, I am sorry again, come give me a hug, (Rajkumar walked to him as he stood up and they shared a hug) I already accepted you the way you are, papa jo kehte hain agar woh hurt bhi kar jaaye toh saamne keh do, its okay, lekin jo kaha teri bhalaai ke liye kaha, lekin main tujhe pressurize nahi karoon ga bilkul, jo ban'na hai ban, tujhe kya karna hai tu mujhe bol

R~pata nahi papa, (they released the hug) main bas khush rehna chahta hoon, bas ek baar aap mere sarr pe haath rakh ke keh do ke beta I am proud of you, bas itna chahta hoon, aur kuchh nahi

Ahem smiled and placed his hand on his head ruffling his hair.

A~beta I am proud of you, always was, always will. (Rajkumar smiled, even Gopi smiled tearfully) isliye kiun ke aaj tu jo kar raha hai apni khushi ke liye kar raha hai, and I hope ye rishta fix ho jaaye, tujhe woh khushi mil jaaye

R~thanks papa, I love you

A~I love you too

He again ruffled his hair.

R~papa

A~haan?

R~baal mat kharaab karo

Ahem and Gopi laughed.

A~achha achha

They had a family hug.

Bạn đang đọc truyện trên: Truyen2U.Pro