Sone Sone Pal - SS By AngelAshu (Part-3)

Màu nền
Font chữ
Font size
Chiều cao dòng

Hello Everyone..
My dear Readers..
Kaise ho..?
Dekhaa na..
swara ki bachpan kaise thi..
Aur kuch bachpan ke bare mein
Padh lena.. iss part mein..
Kyu ki bahut jald
Swara Ka Hero Aanewala hai..
Chalo.. chalo..

***

RECAP - SWARA'S FAMILY AND CHILDHOOD SITUATIONS..

So, Let's Start Part-3 Of #SoneSonePal

Palak - jaan.. bolo na.. bolo bolo.. please...

Aditi - nhi matlab bilkul nahi..

Next Day..

Palak Starts Reading..

***BOOK OPENED***


Pata hai.. mujhe aur ragini ko papa se bahut dar hai..

Unko toh humse na jaane kya problem thi..

Har waqt koi na koi topic par daantta hi rehta tha..

Meri ghar mein.. Daatna, Chillana, Jhagada karna Common things and Regular Things hai..

Meri maa mujhe aur ragini ko bitakar samjhaati thi ki hum papa se nafrat na kare.. situations aisi hai.. galti papa ki nahi hai..

Papa se pyaar bhi hai dar bhi..

kehte hai na log.. ki ye donon ek saath nahi rehti.. par rehti hai..

main khud guzari hu aise Pal.. bhale aaj meri life tab se bahut different hai.. par kuch baate hum marte damm tak nahi bhulte hai..

Mujhe school time mein achi education nahi mili..

haan Ragini ko bhi.. but Ragini bahut samajhdaar ladki hai.. aur main buddu..

Huhhh.. itna bhi buddu nahi hoon.. mujh mein bhi kuch talents the..
Kitaab open bahut rare karti thi..

Agar kia toh bahut fast seekh jaati thi..
Log aise shock hote the.. omg.. pucho mat..

Aur kehte the..

Tumko bahut talent hai pagal.. use kia karo.. Topper ban jaogi..

Pata hai main kya kehti thi..

Meri ghar mein already topper hai na Ragini..

Mujhe ab topper banne ki interest nahi.. kuch aur banke dikhaaungi..

Tab mujhe un baaton ka matlab bhi maloom nahi thi..

settle hona.. job karna.. aim.. goal..
In sab words use karna aati hai magar matlab nahi pata..

Khair.. ab toh life ne bahut kuch sikhaai hai..

Life guzar jaati hai.. bahut kuch hote hai ache ho ya bura.. un mein se kuch baate.. kuch situations bahut strong bait jaati hai man mein..

tab main 6th class mein thi shayad..
Ragini mujh se 4 saal badi hai..

Main aur ragini ek baar chachi k ghar gaye the..

Pinky aur Pinto se hum bahut pyaar karte hai..

Bahut zyada.. Ragini aur main sochte the ki badon ka jhagda badon tak hi hai.. chote unse door hi rehna hai..

Chachi ne do bade bade (samjho nowadays dairymilk silk) chocolates laakar mujhe aur ragini ko dia aur boli khaa lo..

Ragini aur main.. samjho dancing inside..

Uss time mein chocolate humare liye koi Amrit Se kamm nhi thi..

Main choti hu na.. thoda over exited type ki bhi hoon.. foran open kat rahi thi..

@@@

Ragini- nhi swara.. ghar jane ke baad khayenge..

Swara - nhi mujhe abhi khana hai..

Urvashi - haan abhi khalo.. yaha hi khalo.. ghe mein tumhare papa honge na.. chocolate khane se daategaa..

Swara and ragini about to eat..

Pinky - Didi mujhe bhi dena..

Urvashi - chuupp pinky.. ye tu nhi khayegi.. teri liye alag hai.. andar aao dungi..

Pinky went inside and brought chocolate..

Pinto bahut chota tha.. gond me rehne wala bachha..

Urvashi - tum dono yaha hi complete kar do.. ghar mat lekar jao..

Parvati Dadi - kyu.. le jaane de..

Urvashi - nahi sasuma.. wo kya hai na.. iss chocolate ki date zyada nhi rahi.. ghar le jaye toh jijaji inko khane nhi denge.. costly chocolate hai na.. yuhi kaise fenk le.. waise bhi kuch nhi hota hai.. achi company ka hai..

Parvati Dadi - okk..

Ragini swara completed chocolate..

Swara kept raper in her pocket..

Evening...

Maya Mayank came to Umesh house..

Maya - aree.. ragini.. swara tum dono yaha?

Ragini - bua.. woh hum pinto ko dekhne aaye hai..

Maya - acha

Maya brought many gifts for Pinky and Pinto..

Swaragini Waiting for their chance...

@@@

Bua aayi thi wahan.. humare liye koi festival se kam nhi thi..

Pinky and Pinto ke liye bahut saare khiloune.. hair bands, Bangles bahut gifts aayi thi..

Ragini aur main wait kar rahe the.. excitedly dekh rahe the..

Bua humare liye kya laayi hogi..

@@@

Maya - (bahana way) ohohoh kya hai na.. me and phuphaji went shopping.. bahut kuch laaya.. tum donon ke liye ek packet.. in donon kr liye one packet bana lia.. yahan aaye toh bas inke packet laayi hoon..  jab tumhari ghar aaungi na.. tum logon ki packet laaungi..

Swaragini - (happily) okk bua..

Aftet some time they went to their house..

Swara - maa do u know.. aaj chachi ne mujhe aur ragini ko chocolate dia.. wahi khane ke liye boli.. bahut tasty hai..

Shomi - kyaa.. aaj tak aisa kabhi nhi hua.. aaj achanak teri chachi ko itna pyaar kaise tim donon par..

Ragini - maa.. chachi ne boli.. ghar mat le jao.. papa daantege.. aur date etc kuch bol rahi thi..

Shomi - Date..

Swara - haan maa.. pinky ko alag se chocolate dia.. chachi ke paas bahut hai... Badi badi chocolates..  Ruko meri paas raper bhi hai..

Shomi - iss chocolate ki toh expire date ho chuki hai.. aisi chocolates ko khana nahi chachiye.. kyu khaayi ho tum donon..

Ragini - humko kya maloom maa.. chachi ne pyaar se dia.. hum khaa lia..

Shomi - (catching her forehead) oh my god.. ye teri chachi ki pyaar nahi hai bachhoo..

Kaash tere papa responsble hota toh koi humko aise nahi dekh te ( one drop came from her eyes)

khair.. chote log jaisa humko dekhna adad hi toh hai.. un logon ko..

Swara - maa.. pata hai wahan bua bhi aayi thi..

Shomi - maya bua.. aaj..?

Ragini - haan maa.. pinky aur pinto ke liye bahut gifts laayi thi..

Swara - aur boli.. jab wo yaha aayegi tab humari liye laayegi..

Shomi - ( hugs swaragini) kitne innocent ho tum dono.. teri bua tum logon ke liye kuch nhi laayegi..

Swara - nahi maa.. bua ne boli thi.. pakka layegi..

Shomi - dekhte hai.. acha haath dho kar aao.. khana khaake.. sojana.. papa aane ki time hogayi hai..

@@@

Pata hai.. humari ek choti si shop hai.. shaam ko 6 ya 7 baje shop band kar deta tha papa.. ghar aate the 11 baje.. 12 baje.. koi unse kuch bhi nhi puchna chahiye.. agar puche toh samjho toofaan aajayegi uss din ghar mein..

Mere papa jaisa bolta tha unke bare mein.. waisa sach mein hai toh humare wo past ek aur type ki hoti thi..

Papa bahut acha hai.. responsble nhi tha bass...

Holiday ya koi special day aati hai toh Har maa baap apne bachon ko bahar le jaate hai na..

Park ho.. restaurant ho.. movie ho.. ya phir kabhi ghoomne..

Par mere aur Ragini ki kismat mein aise kuch Nahi thi..

Holiday mein hum ghar me rehte hai bass..

Aur kuch nhi..

Aise lagte the ki aaj Holiday kyu hai..

Maa hi hai jo humare liye kuch sochti hai..

Festival aaye toh naye kapde lena hai, chote chote jewellery lena hai.. saste mein hi sahi..

Abhi toh lagti hai Maa bhi nhi hoti hamare khyaal rakhne ke liye toh na jaane Ragini aur mujhe kya hota hoga..

Main aur Ragini bachpan se hi.. Terrace mein baitke.. road pe aane jaane wale logon ko dekhte dekhte rehte the..

Sab apne mummy papa se saath ghoomne jaate the..

Magar humare life mein aise kabhi nhi hui thi..

Hum donon ko dekhkar Maa bhi bahut sad hoti thi..

Sochti rehti thi ki main meri bacchon ke liye kuch nahi kar paa rahi hoon..

Par Humko maloom hai.. maa ne kya kuch kia humare liye..

Maa ki Mayke wale Sasuraal Wale sab Ragini aur mujh par bahut Mazak utaaya karte the..

Ki unke bacche English Medium, high class School mein padte hai.. aur hum choti si Government School mein padte hai..

Maa un se bahut strongly bol deti thi.. ki Mere Betiyaan Jahan Bhi Pade.. Life Mein Aage Zaroor Badhenge.. Bahut Ache Future Honge..

Maa bilkul sahi thi.. Jitna Bhi Badi School Mein Pade.. Royal Type Ki Rahe.. Ragini aur Mujhe Hi Zyada marks milte the.. haha.. sach mein unke chehre dekhne laayak thi..

Maa ka bharosa.. unko god par vishwaas kabhi adhoora nhi gaya.. Main aur Ragini aaj Itne ache Life jee rahe hai.. ye sirf meri Maa ki Prayers hi hai.. Meri Maa.. World Ki Sab Se Best Best Best Wali Maa..

Bua aayi thi kuch din baad..

@@@

Swara - bua.. meri packet laayi ho..? Dikhaao na..

Maya - ohhh.. beta.. ohh.. teri phuphaji na bahut jaldbaazi mein leke aagaya.. mujhe dhyan nahi thi.. agli baar pakka laaungi.. teek hai..

Swara - okk bua.. no problem..
(Dekhna main bulakkad nahi hu.. mujhe sab yaad rehti hai - Swara)

@@@

Bua ko 2 bete hai

Sajat And Rajat

Ragini aur main hum 4 bahut ache khete rehte  the..

Haan humko maloom hai.. pinky ke born ke baad ye donon humesha Urvashi Chachi ke ghar me rehte the.. pinky ke saath hi khela karte the..
Aur pinto ke born ke baad..

Hum 4 bahut rarely milte the..
Aur jab hum bade bhi hone lage hai..
Studies ki pressure.. chote chote responsiblities bhi the..

Ye donon Pinky Pinto ke saath hi khelne lage..

Toh hum 4 door hogaye ek doosre se..
Wo 4 hi ab team hai.. (Sajat Rajat Pinky Pinto)

Swaragini ek team hai..

Future kisne dekha tha ki Hum aaj aise rahenge.. bachpan ke woh din.. aaj bhi yaad hai.. (weeping)

Khair... Hum donon ko toh kisi ne insaan ki jaise bhi dekhte the ki nhi.. mujhe nahi pata

Kuch din baad bua aayi thi..

@@@

Swara - bua meri packet..

Maya - beta.. main packet laane hi wali thi.. jaise packet open kia.. usme chain and all thoda color change hone lagi.. tabhi main samajhgai ki achi stock nhi thi.. mai teri phuphaji ke saath wapas bhej dia.. unhone bola achi stock aane se humko inform karenge..

Swara - okk bua.. achi stock se hi laana..

@@@

Doston.. maloom hai..

15 saal beet chuki hai..

Ab bhi mujhe bua se packet nhi mili..

Kyu.. hasi aarahi hai na...?

Main kaise reacht hou batao..

Bua ke liye Ragini aur mujhse zyada Pinky Pinto Hi Important hai.. reason toh mujhe aaj tak maloom nahi..

donon bua ki sage bhai hai na.. unmein itna farq kyu..

Sach bolu toh papa hi bua ko zyada dete hai.. chacha toh kaam karwaata hai bas.. aur kuch nhi.. phir bhi na jaane kyu..

Sajat Rajat Ragini teenon ek hi class mein padte the..

Sajat itna bhi acha student nhi tha.. normal marks.. kabhi kabhi fail..

Rajat toh acha marks laata tha..

Ragini toh ek dum Rajat ki competition..

*** BOOK CLOSED ***

Palak - (mind) Meri Relatives se kuch kamm nahi ye log..

Palak calls to Aditi

Palak - Jaan.. ye kaise relatives hai yaar.m mujhe toh lag rahe hai ki mere relatives ki category wale hai..

Aditi - haha.. swetie.. relatives hote hi haise..

Palak - but ye log kuch zyada hi.. see yaar Swaragini kitne ache hai.. specially uske Maa.. Shomi maa.. she is really great..

Aditi - yeah.. agree.. she is only Support for them.. pata hai.. ye log hai na Umesh Maya Pinky and all.. #AngelAshu ki ek Story hai #WorthyOfRelations naam ke.. wahan bhi the..  uss story mein #AngelAshu ne unko DIAMONDS bolti thi..

Palak - really..? Diamonds se kamm nhi hai.. bahut Valuable Diamonds hai..

Aditi - haan..

Palak - kya Shomi Maa ki bharosa sach hua..?

Aditi - Swaragini ki Future ke bare mein..?

Palak - Haan..

Aditi - haan hoti hai.. thoda time hai.. bahut kuch sehte aate hai.. par Swaragini haar nahi maante.. Shomi Ko Bahut Proud Feel Karwaate Hai..

Palak - Sajat and Rajat bhi kya kamaal hai jaam.. ek dum se party change kar dia..

Aditi - Jaise maa baap waise bacche..

Palak - Maya par hi gaye honge..

Aditi - acha suno.. laddoo wala scene hogayi..?

Palak - laddoo wali..?

Aditi - matlab nahi hua.. kahan Tak aayi phir..

Palak - Mahaan Urvashi Chachi ki dia hua chocolate.. Maya bua ki gifts..

Aditi - toh tum bahut near aagayi ho..

Palak - bolo na jaan.. kya laddoo.. kaisi laddoo..

Aditi - tum pado na.. jaan jaaogi..

Palak - okk baba padhti hoon..

Episode Ends..

Precap - Sanskaar.... ( Aur kuch nahi bataungi main...)

***
So, Friends...

Kaise hai Part - 3
Kitne ache Relatives hai na
Swara ki..
Kaisi award dena chahiye..?
Soch ke batana..
Chalti hoon..
Love U Yaarooooooo...
Leave your comments..


#AngelAshu

Bạn đang đọc truyện trên: Truyen2U.Pro