Chapter 10

Màu nền
Font chữ
Font size
Chiều cao dòng

Raghav searched for clues in his house but all the photos were hidden.

R~kahan hongay clues?

He looked everywhere and came outside the room. His gaze went at a cupboard and he went to it and unlocked it searching inside but found nothing. He began to leave but suddenly his foot slipped and his back hit the cupboard moving it away, he stood straight as he saw a door behind the cupboard.

R~ye kya? Kya ho sakta hai is darwaze ke peechhe?

He tried to open it but it was jam, he gathered all his strength and pushed it finally opening it and gasped seeing stairs leading to the basement.

R~ye basement? Lekin aisa kya hai yahan jo isay chhupaya gaya? Kya hai aakhir is basement ka raaz? Main pata laga kar rahoon ga

He descended the stairs.

R~kitni jaani pehchani si lag rahi hai ye jagah? Jaise yahan mera kaafi aana jaana tha

He saw a locked gate.

R~ek aur locked darwaza? Ye ghar hai ke raazo'n ka kabrastaan

Once again, he gathered all his strength and slid open the door and got shocked to see chains.

R~kya hai ye sab? Aisa lagta hai jaise kisi ne kisi ko yahan kaid kiya ho, lekin kis ne?

He stepped back and collided with a cupboard, he turned and looked at it and opened it with difficulty. And he was shocked to see photos with dust on it. He picked one of them and cleaned it.


R~ye toh main aur Siya hain, ye mangalsutra bhi hai is ka matlab hum pati patni thay, lekin phir humari life mein hua kya? Kya sach mein main bohat bara wala pagal tha ke is masoom si larki ko torture karta tha? Aur... (he looked at the chains) aur kya maine isi ko yahan apni bandi bana rakha tha? (he cleaned all the photographs and confirmed that it was both of them, he carried them outside) aaj koi mujhe mere sawaalo'n ke jawaab pa lene se rok nahi sakta, koi nahi

He went out, climbed upstairs and went to Risha and Pallavi and placed the photographs in front of them, they looked on in a shock.

R~maa, nani maa, aaj aap ko har ek sawaal ka jawab dena ho ga, aap dono ko meri kasam. Kya hai ye sab? Siya aur meri shahdi hui thi? Aur maine kisay basement mein bandi bana rakha tha? Aur ye sari baatein kab ki hain?

Pallavi teared up, Risha sighed and looked at him.

Ri~Raghav, kuchh sach agar na pata chalein, toh usi mein bhalaai hoti hai beta, please jao, aur haan tumhe Siya pasand hai na? Hum tumhe bilkul nahi rokne walay us se shahdi karne mein...

R~ye meri baat ka jawaab nahi hai maa, mujhe bas itna bataiye ke ye sab is life se jura hai?

Ri~nahi jura, past life se jura hai

R~past life ki poori baat bataiye.

P~nahi Risha mat batana

Ri~kab tak maa? Kab tak chhupa sakte hain hum ye saari baatein? Ek baar isay sach ka pata lagay ga toh ye aap se nafrat nahi karay ga

R~aur aisa kiun lagta hai aap ko nani maa ke main aap se nafrat karoon ga?

Ri~ye sab tumhari past life ki baatein hain Raghav, lekin hum wohi life jee rahay hain, tumhare aur Siya ke siwa sab wohi life jee rahay hain. Tum sach sun'na chahte ho na? Toh suno, tum apni nani maa ke betay thay aur mere bhai thay, (Raghav got shocked) maa ko tumhare papa torture kartey thay jis ke kaaran wo unhein chhor gayi aur tumhe bhi, jis ka in ko aaj tak afsos hai, lekin wo apna wohi time tumhare saath jeena chahti hain, jo pehle nahi kiya ab karna chahti hain, aur kiya bhi hai. Main mumma ki second marriage se hui, tumhari sauteli behen, tum ne mujhe kaheen aur kaid kiya, aur maa ko basement mein, (it was as if a bomb fell on Raghav) khair, tum apne papa ke saath baray huay, lekin jald wo chal basay, tum gaming company ke maalik banay, games ke zariye tum apne subscribers ki privacy chheen'ne lagay, waheen se tum ko Siya mili, tum ne usay apne jaal mein phasaya aur shahdi ki. Lekin wo shahdi nahi barbaadi thi, lekin tumhare liye wo aabadi thi

Raghav stumbled.

P~bas chup ho ja Risha, kuchh mat bol

Ri~bolne dijiye, sach ko hazaar pardo'n mein bhi chhupao wo nahi chhupay ga. Pyaar ke naam par tum usay har chhoti baat par rulaate, torture kartay thay, wo sehti thi bas. (Raghav teared up) ek din us ki bardaasht ki hadh paar hui, us ne awaz uthai, usi din wo pregnant bhi ho chuki thi. Jis ke kaaran tum ne vaada bhi kiya khud ko badalne ka.

P~lekin nahi badla tum ne khud ko. Tumhare ghar Khushi rehne ayi, Siya maasi thi Khushi ki. Us ke kaaran Siya ki himmat barhee, Siya ne talaak lene ka socha, tum ne us par domestic violence ka ilzaam laga kar jail bhijwaya usay, tabhi us ke papa ki death hui aur sadme se us ka miscarriage ho gaya.

Slowly Raghav recalled.

R~aur us ne apne dost Viraj ke zariye mera kidnap karaya, eventually mujhe jab pata laga toh maine Viraj ki beti Khushi ko zariya banaya badle ka, main toh Siya ko bhi maarne wala tha aur... aur...

P~maine, Siya ki maa ne, us ki dadi ne self defense mein tumhari jaan...

She burst into tears along with Raghav and Risha.

R~itna bura tha main ke aap ko meri jaan leni pari?

P~main majboor thi, mujhe maaf kar de, main sach mein afsos karti hoon ke tu jo rakshas bana us ki zimedaar main bhi thi, ke maine tujhe pyaar nahi diya, tera bachpan jalaya.

R~of course, kiun ke main pehle bura tha, ab nahi hoon, (he wiped his tears) ek beta apni maa se khafa ho gaya aur usay bandi tak bana liya, lekin ab aap meri maa aur nani dono ho, aur ab in rishto'n ka mazaak nahi banaya jaaye ga, m sorry, really sorry

He left feeling guilty.

Raghav met Siya and showed her the photograohs and told her everything leaving her shocked. She got to recall the moments she spend with Raghav's soul after his death.

S~aap ne maafi maangi thi Raghav, aap se phir mera reunion hua tha, ab hum ne punar janam liya ek doosre ke liye Raghav

R~and I promise, jo pehle hua, ab nahi ho ga, sorry Siya

S~sorry mat kaho, bas huggie karo, aur phir apne ghar walo'n ko aur mere ghar walo'n ko shahdi ke liye manao

He smiled and they shared a hug. 

Bạn đang đọc truyện trên: Truyen2U.Pro