Chapter 9

Màu nền
Font chữ
Font size
Chiều cao dòng

Raghav got ready for his date with Siya, just then he saw two figures (Raghav and Siya from the past) on the bed again.

S~(shielding Raghav's face from sunlight) sote huay tum kitne achhay lagtay ho, bilkul masoom, ek chhote se bachay ki tarah, lekin jab jaagtay hain na, toh ek khunkhaar sher, jo ye bhi nahi dekhta ke jisay wo chot pohncha raha hai, wo us ka apna hai, main us ki apni hoon, kiun Raghav? Kiun itni chot pohnchai? Kal jo chot pairo'n par lagi, jo kaanch chubha, wo toh kuchh din mein theek ho jaye ga, lekin dil par lagi chot ka kaun marham karay ga? Kaun dil pe bhi aise marham patti karay ga? Kiun Raghav?

She cried.

R~(woke up, Siya startled and moved back) tchtchtchtxh, what an irony, main jisay poori dunia se bacha kar rakhta hoon, wo mujhe dhoop se bacha rahi hai. (doorbell rang) aray is time kaun agaya? (he looked outside the house by the camera's footage in his phone) sasu maa and papa

S~Raghav, main unhein mana kar deti hoon

R~jaan, tum jao freshen up ho jao jab tak main humare parents ko attend karta hoon, okay, (he began to leave) jaaan,

 He came back startling Siya and kissed her forehead and left.

The figures disappeared.

R~what's this? Main aisa kaise ho sakta hoon? Itni pyaari phool jaisi larki ko main kaise dara kar rakh sakta hoon? Nahi, wo main ho he nahi sakta, lekin ye sab bohat real lag raha tha, jaise sach mein hua ho. Main nani maa aur maa se poochhun ga

He went out of his room and then to Pallavi and saw Jignesh (his dad).

R~namaste papa

He touched his feet.

J~namaste mere chaand, kaisa chal raha hai tumhara restaurant?

R~perfect

J~waise itna dressed up ho kar ja kahan raha hai?

R~(blushing) date pe

J~oh, date pe? Wow, chal bata larki kaun hai?

R~us ka naam Siya hai

J~theek hai tu ja, enjoy kar

R~jee dad, (Jignesh left, he looked at Pallavi) nani maa, mujhe kuchh baat karni thi aap se?

P~toh bol na

R~nani maa, aaj phir wo ajeeb figures dikhay, ek main aur doosri Siya. Nani main kaise aisa ho sakta hoon? Agar main aisa bura hota, toh mujhe khud par se ghin aati, wo kya hai? Kaun hai? Kiun dikhta hai mujhe? Bilkul filmo'n mein jaise hota hai na ye bilkul waisa hai

P~beta filhaal tu ja enjoy kar date pe, Siya wait kar rahi ho gi

R~aap meri baat taal rahay ho? Bataiye na, aisa kiun hota hai?

P~beta wo... Siya aur tu...

"Dono ek doosre ke liye banay ho." Both looked at the entrance to see Risha.

Ri~maa yahi kehna chahti thi

R~nahi, itni ghabraat ke saath wo ye kehna nahi chahti thi

P~aaj nahi toh kal, Raghav ko sach toh batana ho ga na?

Ri~maa kaisi baatein kar rahay ho? Mauka dekhiye, dastoor dekhiye, ye samay in baato'n ka nahi hai, Raghav ko date par jaana hai, Raghav beta jao, Siya wait kar rahi ho gi

R~maa, please bataiye na?

Ri~batane layak kuchh nahi hai humare paas, see, beta jao apna time enjoy karo na kya faaltu baato'n mein par gaye ho

Raghav sighed.

R~abhi toh main ja raha hoon, lekin aap ziada wakt tak mere in sawaalo'n ko taal nahi saktay

He left, Risha and Pallavi looked at each other in distress.

P~kab tak taalengay hum us ke sawaalo'n ko? Wo nafrat karay ga mujh se, mujhe nani maa jo bolta hai na nahi bolay ga

Ri~wo aap se nahi apne aap se nafrat karay ga, isliye mujhe ziada dar lagta hai us ke sawaal ke jawab dene se

P~phir jab jawaab dengay toh kya ho ga? Wo toot jaye ga

Ri~hum apna man banate hain, usay batana ho ga, jalf batana ho ga

Pallavi nodded tearfully.

 

Raghav and Siya enjoyed on their date and had beer.


Hmmmm Hmmmmmm

Hmmmmmmm Hmmmmmmm

Jaan-e-Tamanna, Jaan-e-Ada Tujhe

Jaisa Hai Socha, Paaya Wohi

Sooraj Ki Kirno~n Sa Ek Chehra

Dekha Hai Tumsa Maine Nahi~n

Meri Mohabbat Ka Har Lamha

Tujhme Hi Gum Sa Gaya~aa

Na Main Hun Aashiq, Na Main Deewana

Kehdo Mujhe Jo Piyaa~~aa

Tera Mera Hai Pyar Amar

Tu Chaahe To Qadamo~n

Mein Sar Rakh Doon

Yeh Jeevan Kya Gar Maange Tu

Meri Jaan Nazar Kar Doon

Tera Mera Hai Pyaar Amarr~~r

R~Siya

S~haan

R~maine na tumhe kaheen aur bhi dekha hai

S~come on Raghav? You know it very well ke main famous singer hoon, tv par dekha ho ga

R~dekha hai, lekin tv ke ilawa bhi kaheen dekha hai, flashbacks mein

S~flashbacks mein kaise? Like wohi scene na ke main aap se first time aap ke restaurant mein mili, toh wo toh flashback hua not flashbacks

R~waise flashbacks nahi yaar, tum samajh nahi rahi, like you know filmo'n mein kaise dikhate hain ke ek insaan jis ki memory ja chuki ho, usay us ka past aankho'n ke saamne images mein nazar aata hai

S~images mein matlab aankhon ke saamne he? Jaise main abhi tumhare saamne hoon?

R~haan, mere kamre mein tum bhi thi aur main khud bhi apni aankho'n ke saamne tha

S~aur un images mein exactly hua kya?

R~main tumhare saath cruel tha, rude tha, tum dari sehmi thi

S~(chuckled) tum aur cruel? Shakal dekhi hai aaine mein kabhi apni? Baby jaisa face hai, aur main dari sehmi? Main toh sherni hoon Raghav

R~no Siya, wo kuchh aur he tha. Tum ne gana gaya tha na shayrana daur wala? Yaad hai? Exactly waisa

S~Oh, achha, toh tum ye keh rahay ho, ke hum dono kaheen na kaheen pehle se ek doosre se juray hain?

R~haan, past se juray hain

S~maybe it isn't past, it's past life

R~maybe, aur agar ye past life ka matter hai, toh zaroor past life bhi mere he ghar mein guzri ho gi?

S~haan, point to be noted, aur ho sakta hai udhar usi ghar mein suraag chhupay ho'n, jaise photos wagaira

R~hmm, toh phir toh mujhe dhoondna chahiye, kiun ke ye sab normal nahi hai, maa aur nani maa bhi theek se jawab nahi dete

S~hmm, waise mujhe bhi ajeeb awazein sunai di thi, aur haan Raghav, meri mumma na aksar ek family se milti rehti hain, wo family bhi mujje dekh kar extra emotional hoti hain, jaise koi khoya hua apna unhein mil gaya ho wapis

R~hmm, toh pakka kuchh garbar hai, tum un se pata karo, main apne ghar se pata karta hoon

S~done

Bạn đang đọc truyện trên: Truyen2U.Pro