Chapter 8

Màu nền
Font chữ
Font size
Chiều cao dòng

Raghav woke up from his slumber and to his shock, he saw Siya sleeping near him. He got shocked and got up from the bed. Then he saw a figure coming in the room with a trolley and got shocked to see it was him only. It came near Siya and caressed her hair.

"Jaaan."

Siya (from the past) smiled in her sleep and opened her eyes, he sat near her and she sat up.

"Did you sleep well?"

She smiled and nodded.

Then he stopped hearing their voices and just that they hugged each other happily. Just as he stepped forward to touch those figures, they disappeared and he stumbled backwards.


R~kya tha ye? Ye meri imagination thi kya? Lekin bohat real laga ye mujhe. (Pallavi came to his room) Nani maa, aap ko pata hai mujhe yahan 2 figures dikhay, ek main tha aur doosri Siya, aur hum bohat he ziada happy couple lag rahay thay, ye meri imagination thi ya real tha?

Pallavi got shocked but put up a happy face.

P~beta ab kya hai ke wo Siya tumhare dimag mein chha chuki hai toh har jagah bas wohi nazar aa rahi hai tujhe

R~oh yes, maybe

P~ja fresh ho ja, aur phir naashta kar le, phir kaam par bhi toh jaana hai na?

R~jee

He went to freshen up.

P~ab Raghav ko purani yaadein nazar aane lagi hain, yaad aane laga hai sab, jab sab yaad aye ga toh wo kaise react karay ga? Mujhe Risha ko batana ho ga

She went from there and while leaving, she collided with Risha.

Ri~kya hua maa aap itne ghabraaye huay kiun ho?

P~baat he kuchh aisi hai, chal yahan se

She grabbed her wrist dragging her away.

Ri~aray hua kya?

P~chal na batati hoon

They went to her room, she closed the door and turned to Risha.

P~Risha, Raghav ko us ki ek purani yaad dikhi hai aaj, bohat jald usay sab yaad aa jaye ga toh kya ho ga? Wo mujh se door ho jaaye ga kya? Main ye nahi keh rahi ke wo Siya se door rahay, lekin usay yaad aa jaye ga ke maine usay us ke pichhle janam mein jaan se maar daala tha toh kya ho ga

Ri~usay agar yaad aaye ga toh ye bhi yaad aaye ga ke wo khud kaisa tha

P~kya bol rahi hai?

Ri~of course maa, sab yaad aaye ga toh us ke khud ke baare mein bhi yaad aye ga he na? Jab apne baare mein yaad aye ga na toh koi sawal he nahi uthay ga us ki nafrat ka

P~Risha, us ki life mein sab kharab meri wajah se hua tha, (Risha shook her head) main he us sab ki wajah thi, main jab us ke baap se door bhaagi toh usay bhi saath le jana chahiye tha lekin us ke baap ne usay mere baare mein jhoot bol diya tha, wo bacha tha wo maan gaya

Ri~galti toh equally us aadmi ki bhi hai, wo narak mein he ho ga beshak

P~wo bacha tha main toh bari thi na? Meri wajah se us ka bachpan jal gaya, maine us ka bachpan jala daala, tu mere saath rahi aur wo itna door.

Ri~ab agaya na paas, ab mat roiye at least, main usay dunia mein wapis le aai na? Mil gaya na aap ko aap ka beta wapis? Ab jab mil gaya hai toh kijiye na khoob saara pyaar usay, jo pehle nahi kar paai, ab kar lijiye

Pallavi nodded.

Raghav came out of the washroom and once again saw those two figures of Raghav and Siya from the past.

"Humein tumse pyar kitna, ye hum nahi jaante, magar jee nahi saktay tumhare bina. Jaaan."



Siya woke up from sleep.

"Raghav, mumma papa sab aane walay hain na lunch pe, mujhe lunch banana hai."

"Jaaan, tumhare ghar walay na dopeher ke 2 bajay aane walay thay, abhi raat ke 2 baj rahay hain, wo aye, lunch kiya, aur phir gaye."

"Magar Raghav aap ne kaha tha ke..."

"Maine kab kaha tha ke tum un ke saath lunch kar sakti ho?"

He held her neck pulling her in sitting position.

"Kabhi mera pain nahi samajhti tum, mere dil mein bas sirf tum ho, aur tumhare dil mein? Mumma papa Tusshar Rashmi dadi, kitni bheed hai yaar, aur Raghav Jindal ko bheed mein rehne ki aadat nahi hai."

Siya teared up.

"Raghav wo meri family hai."

"Aur main kaun hoon? Tumhara husband, aray shahdi se pehle tak kar toh liya jitna pyaar unhein karna tha, ab main bhi toh hoon, mujhe pyaar karo na ab, sara pyaar bas sirf mujhe do na?"

"Raghav aap mujhe galat samajh rahay hain."

"Aray tum kabhi mera pain nahi samajhti yaar, main khud ko kisi ke saath share karta hoon kya? Nahi na? Poora ka poora tumhara ho gaya, aur tum, khud ko itne logo'n se share karti ho, mumma, papa, tusshar... aray main kuchh hoon ke nahi? Mujh se pyaar vyaar hai ke nahi?"

"Bohat pyaar hai, lekin wo sab toh meri family hain na? Main kaise un ko khud se door karoon?"

"Tum na bas un ki ho, meri nahi, hai na?"

She shook her head.

"Nahi kab hoti ho tum meri? Har wakt bas wo sab chahiye aray kya kami chhori hai yahan tumhare liye? Sab toh diya, bhool nahi sakti un ko? Kiun nahi samajhti mera pain? Haan, I have an idea to make you feel my pain."

"Raghav no, nahi please."

He grabbed her hand dragging her off the bed while she looked at him fearfully and they went out of the room.

Raghav followed them but didn't see them anywhere.

R~ye kya hai? Kiun dikh raha hai ye sab mujhe? Aur ye kaisa coincidence hai ke wo aadmi mere he jaisa dikhta hai, us ka naam bhi Raghav hai, aur wo larki bhi wohi larki hai, Siya. Nahi, jaise nani maa ne kaha, ye sab pyaar ke aasaar nahi, baat kuchh aur he hai

He went outside and descended the stairs and once again saw two figures from the past. Raghav was cooking in the kitchen and Siya was sitting on the slab watching him.

"Humein tumse pyar kitna, ye hum nahi jaante, magar jee nahi saktay tumhare bina."

The two of them walked to the dining table and made each other eat and danced together.

Raghav walked forward and they disappeared. He stumbled backwards and sat on the sofa holding his head. He had breakfast and left to his restaurant. A waiter came to him.

W~sir, ek bohat he VIP guest ayi hai, bohat he famous singer hai wo, aur aap se milna chahti hain

R~sure

He went out and lit up seeing its Siya.

S~hello Mr Raghav Goenka

R~(smiled) hello Siya jee

S~what's special today?

R~wohi cupcakes hain, aur jo aap bolengi mil jaaye ga

S~aisa hai kya? (he nodded) toh phir mujhe chahiye white pasta, cupcakes lekin mix flavor ke, aur haan, ek milkshake bhi, aur bhi agar kuchh specialty hai aap ke restaurant ki, toh feel free to serve

R~sure ma'am

He went and then came back after sometime and served her. She smiled seeing him all the time.

S~thanks cutie pie, waise... aap single ho?

R~haan na Siya jee, ready to mingle bhi hoon

S~toh phir kabhi mil saktay hain?

He blushed.

R~sure, sure

S~haaye, ek toh ye dimple wali smile aur us pe ye blush, main vaari jaun

R~bas ab itni bhi tareef mat kijiye, main yaheen sharam ke maare pighal jaun ga

S~awww, chalo phir ek baar date par, tumhare haatho'n ka bana khana toh achha hai he, tum bhi bohat cute ho

R~mazaak kar rahi ho kya?

S~no ways, sach bol rahi hoon

R~okay, aaun ga

S~ ye Samsung ka number hai mera

He chuckled.

R~matlab ke cellphone ka number?

S~smart haan, of course yaar

R~okay

She smiled at him and he smiled back.

 

 

Bạn đang đọc truyện trên: Truyen2U.Pro