Chapter 3

Màu nền
Font chữ
Font size
Chiều cao dòng

*Gauri's background story*

Myra AKA Gauri Kumari Sharma fled from Bareilly to Mumbai to save herself from her evil Chacha-Chachi, who were going to marry her off to her sister's murderer and rapist, who is also Bareilly's biggest gangster. In a bid to save herself, she escaped to Mumbai, and changed her identity to Myra Pandey, so no one would be able to identify her. Hence, you will see Gauri introducing herself as Myra.

---
Anika: Dadi, aap aa gayi? Mandir ka Darshan kaisa tha?

Dadi: Accha tha puttar. Aaj mandir mein bahut acchi ladki mili mujhe

Anika: Accha? Kya hua?

(Dadi narrated the whole incident of how Myra (Gauri) took care of Dadi and dropped her home)

Jhanvi: wow maaji, ladki toh bahut susheel aur sanskaari lag rahi hai

Dadi: Haan Jhanvi, bahut pyaari ladki thi. Soch rahi thi ki agle mahine jo pooja rakh rahe Hai, usi se karwa loon. Woh pooja-paath se kaafi awgat Hai

Jhanvi: Aapki choice hai toh perfect hogi maaji. Iss Saal ki pooja hamesha ki tarah shaandaar honi chahiye!

Anika: Haan Dadi, main bhi uski madad kar paoongi. EkDum khidkitod idea hai!

Dadi: (laughing) toh theek Hai, main kal panditji aur usse baat karke baat pakki karungi

*Next day at the temple*

Dadi: Namaste panditji, aapse baat karni thi

Pandit: Arre maaji! Namaste! Pooja ki baat karne aaye ho Kya?

Dadi: Ji panditji. Yahaan par Myra naam ki ladki kaam karti hai Kya?

Pandit: Myra? Arre haan! Iss mandir ki jaan Hai woh! Bahut pyaari ladki Hai. Thodi tez zubaan waali hai, lekin dil ki bahut saaf Hai

Dadi: aap keh rahe Hai toh acchi hogi pandit ji. Main soch rahi thi ki hamara pooja ka kaam usse saunp doon. Mera dil keh raha Hain ki woh pooja Badi acchi tarah se organize karegi

Pandit ji: aapka dil bilqul sahi hai maaji! Parson ki pooja ussi ne ki thi. Bahut acchi tarah se kiya tha usne. Aur prashaad ki tension mat Lena. Woh khud banaati hai

Dadi: toh theek hai pandit ji, main abhi usse baat karti hoon

Pandit ji: Aap yahi rukiye, main abhi usse lekar aata hoon

(Pandit ji brings Myra (Gauri))

Myra: Arre, Maaji! Aapki tabiyat kaisi hai? Sab theek hain, na?

Dadi: (smiling) Haan beta, main bilkul theek hoon

Myra: Kya hua pandit ji? Sab theek hain na? Woh badmaash phir se aapko tang karne aaye Hain Kya?

Pandit ji: Arre nahi--

Myra: (Angrily) Aap tension mat lijiye! Ek jhaap dekar deewar pe sat jaye be!

Pandit ji: uff! Myra, koi tang nahi kar raha hain mujhe. Yeh maaji chahti hain ki tum Unke ghar ki pooja ka kaam karo

Myra: (confused) M-main?

Dadi: Haan Beta. Humaare ghar ki pooja shehar ki sabse Badi pooja hoti Hain. Tum kar Paogi na?

Myra: (smiling) Haan Maaji, kyun nahi karenge? Zaroor karenge. Aap bas yeh batayie ki shuru kab karna hai

Dadi: Aaj se shuru karna. Takreeban ek mahina baaqi Hai

Myra: theek hai maaji

Dadi: Accha Beta toh tum mere saath ghar chalo, tum fauran kaam shuru kar paogi

Myra: Theek Hai maaji. Main apne dost chotu ko bhi saath lekar aa sakti hoon? Woh meri madad karega

Dadi: (Smiling) Zaroor beta, aao

(Dadi, Myra(Gauri) and Chotu go to the Oberoi mansion)

Dadi: Ao Beta, Isse apna hi ghar samjho

(Dadi calls the whole family down)

Yeh Myra hai, aur iss Saal ki pooja yahi organize karegi.

Annika:(Rushes to Myra's side) Hi Myra! Main Annika, iss ghar ki Badi bahu. Kissi bhi cheez ki zaroorat pade toh mujhe bata dena, theek hai?

Myra: (Smiling) Ji didi

Dadi: Mere teen pote bhi hai. Shivaay, Om aur Rudra. Shivaay aur Rudra kaam se baahar gaye hai, lekin Om toh yahin hai

(Om enters the room and *drumroll*)

Yeh lo, Aa gaya Om
(Myra turns around and lo! Om and Myra (Gauri) meet. Again!)

Om: (Shocked) Tum?! Phir se?!

Myra: Hain?! Aap?!

--------
That's it for tonight, folks!

Thank you for reading!! Please let me know what you think, I'd to love to hear your thoughts!

Please vote!! Xxx

Bạn đang đọc truyện trên: Truyen2U.Pro