Chapter 5

Màu nền
Font chữ
Font size
Chiều cao dòng

Siya cried on Raghav’s shoulder.

R~jaan, ab itne bhi aansu mat bahao, itna achha kahan raha hoon main? Kahan laayak hoon in aansuo’n ke? Kahan deserve karta hoon main tumhara pyaar? Main toh tumhari nafrat ke bhi laayak nahi

S~jo ke main kabhi kar he nahi paai. Pyaar bhi us se hua na, jo jeete jee kabhi mera apna na ho saka. Tumhari baato’n se ziada tumhare actions ne hurt kiya hai mujhe, dil ki chotein bhi mili jo bohat der se bhari, shareer ki chotein toh phir bhi bhar jaati hain na. Kiun mujh se dil laga kar mera dil tora humesha? Kiun bhulana chaha tumhe humesha aur tumhe bhula he na paai? Humesha mujhe kiun apna pyaar tumhe prove karna para? Kiun baat baat par mujh se kasmein khilwaate thay? Mazaak bana diya mere pyaar ka tum ne, humesha saath ho kar bhi saath nahi hotay thay tum. Aur ab saath ho bhi kab? Jab jaane walay ho? Kiun Raghav? Ruk jao na, mat jao na chhor kar? Main mar jaun gi.

He released the hug and palmed her mouth.

R~chup. Aise nahi kehte jaan. Ab toh koi tumhe chot nahi pohnchaye ga na? (she cried) Chot pohncha bhi di, toh marham koi nahi lagaye ga, (she cried more and hid her face in his neck leaning closer to him) mujhe toh yaad karne wala nahi koi tumhare siwa, ek baat kahoon tum se? (she lifted her head and looked at him) mujhe yaad rakhna humesha, apni yaado’n mein saja kar rakhna, rakho gi na? (she nodded? Main jaan chuka hoon ke mujhe sab se ziada tum ne pyaar kiya, sab chhor gaye mujhe lekin tum saath rahi humesha, lekin ab mujhe jaana ho ga Siya. Humara saath yaheen tak tha.

S~meri khaatir bhi nahi ruko gay? Tum toh mujh se bohat pyaar kartay ho na? Mujhe jaan keh kar bulaate ho na? Mere liye toh ruk jao

R~ab tak tumhare liye he ruka tha. Aur hai he kaun mera tumhare siwa? Maa bachpan mein he chhor ke chali gayi mujhe, jab sab se ziada zaroorat thi un ki, jis ke pallu ko maine apni dunia maana, us ne mujh se meri dunia chheen li, sirf apni beti se pyaar kiya, mujh se nahi. Kabhi khud se murr ke bhi nahi dekha. I understand ke mere papa rakshas thay, domestic violence kartay thay, lekin maine kya kiya tha? Paida kar ke chhor diya. Us aadmi ne mujhe ye sikha diya ke apni patni ko apne control mein rakhna. Un ki wajah se maine tumhari zindagi narak bana di.

S~jitne pal tumhare saath guzre, har pal dardnaak toh nahi tha, kuchh pal khubsurat bhi thay. Agli baar jab milo, toh alni zindagi lambi likhwa kar aana, apni jaan ko dobara aise chhor kar mat jaana. Aur ek baat kahoon? (he nodded) Aap ko humesha aisa lagta tha na ke aap jaan keh kar bulaate ho toh bas sirf main aap ki jaan hoon aur aap nahi hain? Lekin aaj khul kar kehti hoon, aap bhi meri jaan ho, mere chhotu se bachay ho

She kissed his forehead and hugged him. He hugged her back. Then he disappeared, she fell on her knees sadly while crying. She recalled her moments with Raghav.

O…

 

 

Kuch pal to thehar jaao na

Ya phir laut ke aao na

Yoon kehte nahi alvida

Mud jaao idhar aao na

 

Tumhe dhoondein meri aankhen

Tumhe khoje meri baahein

Tum bin jiya jaaye kaise

Kaise jiya jaaye tum bin (x2)

 

 

Kitne the waade kiye

Ik pal mein tod diye

Jhootha nahi tu mujhko pata hai

Bas thoda rootha sa hai

 

Tu roothe main manaau

Par tum bin kahan jaaun

 

Tum bin jiya jaaye kaise

Kaise jiya jaaye tum bin (x2)

 

Ye aasmaan aur zameen

Bin tere kuch bhi nahi

Saanson se mohlat

Zara maang lena

Yoon uthke jaate nahi

 

Ya phir tu mujhe le chal

Sang apne jidhar tu chala

Tum bin jiya jaaye kaise

Kaise jiya jaaye tum bin (x2) (tum bin jiya jaye kaise from movie Sanam Re)

 

She walked down the stairs and exited the house. Before going, she looked at the house sadly and then walked off aimlessly. She went to her house and rang the doorbell, Anupama answered the door, Siya walked past her and entered inside and sat on the couch totally lost. Anupama looked at her strangely and closed the door. She went to her and placed her hand on her shoulder. She looked up at her tearfully.

An~kya baat hai Siya? Kya hua?

S~maa, Raghav… (she burst into tears) Raghav nahi raha maa, mera Raghav mujhe chhor kar chala gaya

Anupama hugged her.

An~tujhe sab yaad agaya Siya?

S~haan maa, lekin kaash ke yaad nahi aata toh abhi wo mere saath hota

Bạn đang đọc truyện trên: Truyen2U.Pro