Chapter 5

Màu nền
Font chữ
Font size
Chiều cao dòng

*Next morning, at the Oberoi mansion*

Myra: Arre bhaiya, hall ko aur bada banao. Yahaan Ganesh ji ki badi waali murti lage gi

Worker: Theek hai didi. Aap thoda door jaake bataa sakte ho ki Sab theek hai?

Myra: (Tying her dupatta) Haan, ruko

[Myra walks behind, trying to get a better view and she trips and falls behind. Just then, a strong pair of arms grab her waist and her hands instantly wrap around the persons neck. Who was it?]

Om: Dekhkar nahi Chal sakti kya?

Myra: W-woh...hum...

Om: Arre, Myra ki bolti bandh ho gayi Kya?

Myra: (getting up) Haan Haan theek Hai, hamesha line maarne ki zaroorat nahi hai

Om: Kya? Line maarna? Shut up!

Myra: Mazaak tha! Uff! Aapka naam Omkara nahi, Khadoos rakhna chahiye tha. Khadoos Singh Oberoi!

Om: (Angrily) How dare yo---

Myra: Yeh Angrezi gaali kissi aur din sunayiega. Hume bahut kaam hai. Chalte hai, khadoos ji!

*Myra playfully runs off and Omkara observes her from afar and then heads back to his room*

Omkara: Yeh kaisi ladki hai, yaar! Zehen se baahar hi nahi nikalti!
Maine apne aap se vaada kiya tha ki iss chakkar main nahi padunga. Ishaana ka Qissa main abhi tak nahi bhul paaya. Yeh nayi musibat kahaan se aa tapki?

*In the lawn*

Myra: Bhaiyya yahaan par safed Phool chahiye, aur iss taraf laal phool. Hume ekdum taaze phool chahiye, theek hai?

Worker: Ji didi

Myra: Accha, Hume mogra bhi chahiye, Murti sajaane ke liye. Kar Loge, na?

Worker: Haan Didi, Sab ho jayega

Myra: Accha, yeh list lo. Isme phoolon ka order likha hai. Bhaiyya, please koi galti mat karna, theek hai?

Worker: Ji didi

Myra: (To herself) Chalo, phool waala kaam set hai. Ab khaane ki list banaani hai

*Myra rushes to meet Anika and Dadi*

Myra: Dadi, Anika Didi, yeh khaane ki list hain. Mujhe laga ki prashaad ke saath khaane ho toh behtar hoga. Kya hai na, jis din pooja hai, ussi din hamare mandir ke paas waale anaath ashram ki saalgirah hai. Aise shubh din par dugni khushi aur dua milegi na toh soch rahe the--

Dadi: (Smiling) Kyun nahin beta! Yeh bahut accha idea hai! Yeh list theek lag rahi hai, na Anika?

Anika: Haan dadi, bahut accha Hain.

Myra: Thank oo! Accha Dadi, prashaad mein aap Kya pasand karenge?

Rudra: Motichoor ke laddoo, please!

(Myra looks confused)

Dadi: Arre Rudra! Itthe aa!

Myra, yeh mera pota Hai, Rudra

Myra: Namaste.

Rudra: Accha, aap pooja planner ho na?

Myra: Ji

Rudra: Accha pata nahin kyun lekin aap se mujhe 'bhabhi vibes' mil rahi hai. Main Aapko bhabhi bula sakta hoon, Kya?

Myra: (Confused) Ji? Lekin--

*Suddenly, Om enters*

Om: Rudy, Yahaan aa. Mujhe tum se zaroori kaam hai.

Rudra: Phir milte hain Bhabhi!

Anika: Uski baat ka bura mat maano, Woh mazaaki type ka hain. Accha Myra, 400 logon ka prashaad banaana aasaan kaam nahi hai. Tum pakka kar paogi na?

Myra: Haan Anika didi! Hum kar lenge. Aap dono bas yeh bataiye ki aap log Kya chahte ho

Dadi: Accha kesar sheera aur motichoor ke laddoo bana dena. Theek hai na, Anika?

Anika: Perfect Hai Dadi!

Myra: Theek hai Dadi, bana denge. Accha ek aur baat, Maine phool ka order de diya hain.

Dadi: Okay beta.

*Myra rushes back to the lawn and continues her work. Meanwhile, in Omkara's room*

Rudra: Kya?! Yeh wahi mandir waali hai?! Kya baat hai, O!

Om: Shut up Rudra! Please yeh baat kisi aur ko mat bataana.

Rudra: Toh meri 'bhabhi vibes' waali feeling sahi nikli! Kya baat hai, Rudra!

Om: Are you mad? Usse dekha hai? Itni bak-bak karti hai, kaan pak jaata hai

Rudra: Maine nahi dekha hai, lekin lagta hai aapne unhe bahut dekha hai, Kyun O?

Om: Ho gayi tumhari bakwaas? Ab jaao yaar!

*As the day proceeds, evening falls*

Myra: Chalte hain, Dadi

Dadi: Ruko beta. Om! Puttar! Ja, ghar chod ke aa ja

*Om comes, and Myra and Om share a brief eyelock. They head towards Om's car*

Om: Tumhaara dost nahi aaya?

Myra: Chotu ladki dekhne gaya hai

Om: Ladki dekhne?

Myra: Hain na? Maine usse kaha tha ki yeh shaadi-waadi ke chakkar mein mat pado. Faltu ki cheez hai yeh sab

Om: Kya matlab, tum shaadi nahi karna chahti?

Myra: Karna chahte Hai, lekin aise bande ke saath jo hamaari izzat karein. Pyaar-vyaar toh door ki baat hai. Insaan ko sirf apne hisse ki izzat chahiye

Om: Tumhaara dost nahi hain na, toh aaj saamne baith lo

*Om starts the engine and drives off*

*At the traffic signal, a flower seller knocks on the window*

Flower seller: Arre Bhaiyya! Dekhiye bhabhi kitni udaas lag rahi hai! Yeh gulaab Le lo Unke liye

Myra: Oye! Hum bhabhi nahi hai! Ek jhaap dekar deewar pe satt jaaye be! Chal, bhaag yahaan se!

*Car starts and Om starts driving and the car suddenly brakes. A card falls out of Myra's bag and Om's eyes fall on it. The identity card has a picture of Myra but the name next to it reads 'Gauri Kumari Sharma'. Myra notices and quickly picks it up and stuffs it in her bag, hoping Om doesn't notice. Confused Om makes a mental note of it and drives on*

Om: (To himself) Gauri? Lekin isska naam toh Myra hai. Maajra Kya hai?

Myra: Yeh log hume bhabhi-bhabhi kyun bula rahe hain?

Om: Tum please chup rah sakti ho? Kab se boli jaa rahi ho

Myra: Hum apne aap se baat kar rahe hai, Aapko Kya?

Om: (To himself) God, kitni irritating hai

Myra: (To herself) Yeh Khadoos pata nahi logon ko ka bata raha hai. Aaj 2 logo ne hame bhabhi bulaya Hai

*The car stops at the chawl, in front of Myra's house*

Myra: Dekhiye ji, Humne pehle din hi kaha tha ki aap na, daayre mein rahiye. Yeh logon ko ka bata rahe ho aap?

Om: Are your serious? Tumhe lagta hai ki main logon ko tumhare baare mein bata raha hoon? Please, meri taste itni ghatiya nahi hai

Myra: Oh ji! Humme bhi aapka koi khaas shauk nahi hai! Plij jyaada khus mat baniye!

Om: Ho gayi tumhara bhaashan? Please jao yaar

Myra: Haan jaa rahe Hain! Chalte hai, Khadoos ji

Om: Tum--

[Myra runs home and Om's thoughts immediately wander off to Myra's Identity card. Why did it have her picture but someone else's name? Who was she?]

------
There you go!! Hmm, humaara omkie Kya karega ab? Socho, socho!

Also, the love and compliments are received for this book are so encouraging, you guys have no idea! It means so much to me that you guys like this book! Please keep reading, there's more cute and exciting stuff coming!!

Thank you for reading my loves!!

Bạn đang đọc truyện trên: Truyen2U.Pro