Chapter 6

Màu nền
Font chữ
Font size
Chiều cao dòng

*A week and a half later*
Early morning, at the Oberoi mansion*

[Myra, holding a box of ladoos, distributes sweets to the workers in the lawn]

Myra: (Cheerfully) Yeh lo! Aapke liye mithai! Arre, kha lo! kha lo! Hamaare chotu ka rishta pakka ho gaya hai!

Workers: Badhai ho, Chotu!

Chotu: Dhanywaad. Arre didi, woh gaadiwaala peeche khada hai

Myra: Kahan?

(Myra turns around) Arre! Aap ne laddoo nahi khaaya na?

Om: Mujhe meetha pasand nahi hai

Myra: (Taking Om's hand and placing the laddoo) Arre aise kaise? Hamaare chotu ka rishta pakka hua hai!

Om: Dekho tum--

Myra: Kha lo, Kha lo! Aap mein jo kadwaahat hai, woh bhi chale jaayegi

Om: (Angry) Yeh tum--

[Myra runs off to look for Dadi]

Myra: Dadi! Yeh lijiye, muh meetha kijiye!

Dadi: Arre, aaj Kya hua?

Myra: Hamare chotu ka rishta pakka hua hai!

Dadi: Badhai ho, Chotu! Shaadi kab Hai?

Chotu: Ji, Mangni agle hafte Hain, aur shaadi 3 mahine baad

Dadi: Wah! Bahut khushi hui sunke!

Myra: Dadi, yeh mithai ghar mein Sab ko baat dena. Humne apne haathon se banaya hai!

Jhanvi: Arre Myra beta! Aaj badi khush nazar aa rahi ho!

Myra: (Proudly) Auntyji, aaj humaare chotu ka rishta pakka hua hai!

Jhanvi: Wow! Congrats beta!

Chotu: Dhanyawaad auntyji!

*Meanwhile, in Omkara's room*

Om: Yeh ladki aise behave kar rahi hai jaise woh sacchi hai. Isski asliyat toh mein aaj hi pata karke rahunga

[Om pulls out his laptop and begins his research. He types in 'Gauri Kumari Sharma-Bareilly and a picture of Myra pops up. Who is this girl? Is she really Gauri? If she's Gauri, then who is Myra?]

Om: (To herself) Yeh ladki Hain kaun? Yahaan alag naam rakh kar kyun reh rahi Hai? Kahin yeh koi gunde ki beti toh nahi hai? Ya mere family ko hurt karne waali hai? Abhi pata karta hoon

*Om rushes downstairs to the lawn to find Myra. He says her working. He storms towards her, grabs her arm and drags her to one corner*

Myra: (angrily) Yeh kar ka rahe ho aap? Yeh ka tareeka hai?

Om:(angrily) KAUN HO TUM?

Myra: Ka? Humaara naam jaankar humse pooch rahe Hain ki hum kaun Hai? Ho ka gaya hai Aapko?

Om:(Pulling her arm closer to his chest) Agar agle 2 minute mein nahi bataaya, toh abhi, gharwaalon ke saamne tumhari asliyat bata dunga! Bolo!

Myra: (Scared) B-b-bataate Hai, bataate hai. Humaara asli naam Gauri Kumari Sharma hai. Hum Bareilly ke hai

Om: Naam kyun badla? Bolo!

Myra:(Stuttering before crying) w-woh apne aap ko bachaane ke liye.

Om: Kya? Kisse? Jaldi bolo!

Myra: (Crying uncontrollably) Hum 10 Saal ke the Jab hamaare ma-papa ka dehaant hua. Tab se lekar ab tak, humaare chacha-chachi humaara aur didi ka khyaal rakhte the. Lekin chacha-chachi bahut bure log nikle. Paise aur jaaydaat haasil karne ke liye unhone meri didi ki zabardasti shaadi karwa di, Bareilly ke sabse base gunde ke saath. Unhone didi ke saath balaatkaar kiya aur bechaari didi tadap-tadap kar mar gayi. Uss kameene ko didi se khushi nahi mili toh woh mere peeche padne laga. Mere chacha-chachi meri zabardasti shaadi karwa rahe the, mere didi ke qaatil ke saath. Iss Sab se Bächne ke liye hum Mumbai aaye the, Myra Pandey bankar

Om: Mere parivaar se Kya chahti ho?

Myra: (Wiping her tears) k-ka?

Om: behri ho Kya? Mere parivaar se kya chahti ho?

Myra:K-kuch nahi chahte Hai. Hum toh yahaan sirf kaam karne aaye hai. Aur kuch nahi. Hamaara yakeen kijiye. Hum koi jaasoos nahi hai, sankarji ki kasam!

Om: (To himself) Pata nahi kyun, lekin mera mann iss par bharosa karne ko keh raha hai

Myra: Ka hua?

Om: Kuch nahin

Myra: Dekhiye, hume pata hai ki Aapko humaare baat ka yakeen nahi hai, lekin hum sankarji ki qasam khaate hai ki humaara koi bura iraada nahi hai. Hum yahaan sirf kam karne aaye Hai, bas. Aapke parivaar ko taqleef dene ki hum soch bhi nahi sakte

[Om says nothing but his eyes wander to Myra's eyes. Her once dark and beautiful eyes were now red and watered. He knew those tears couldn't be fake. But, what if this was a trap?]

Myra: Dekhiye, plij kissi ko hamaara asli naam mat bataiyie. Iss shehar mein uss gunde ke kaafi saare log hai. Unhe khabar aa gayi, toh hame zabardasti Bareilly lekar jaayenge.

[Om says nothing in response and leaves, but Myra, for some reason, trusts that Om will remain silent. For some reason, she knew that her truth was safe. With him.]

*While walking back to his room*

Om: (To himself) Kya yeh sach bol rahi Hai? Uski aankhon mein mujhe sacchai nazar aa rahi hai. Lekin Kya mein jazbaati ho raha hoon?

*Om see's Chotu working and walks towards him*

Om: Chotu, tumse baat karni Hai. Abhi.

Chotu: (Frightened) j-ji Bhaiyya?

Om: yeh Gauri ki sacchai Kya hai?

Chotu: Arre bhaiyya, Gauri didi toh bechaari apne chacha-chachi se bachkar yahaan bhaagi. Woh log aur ek gunda uski zabardasti shaadi karwaa-

(Confused) E-ek minute. Aap ko kaise pata?

[Om realizes Myra (Gauri) was saying the truth and relief floods over him]

Om: Choddo, mujhe sach pata Hai.

[Om walks back to his room and his thoughts wander back to Myra. He felt bad for her, and deep down admired her courage to escape from dangerous people and start life afresh. It surprised him that she hid her harsh and brutal past behind her endless chatter and bubbliness. For some reason, he felt that he could trust her.

But he was Omkara Singh Oberoi. He hated lies. How could he trust someone who was lying about her identity?
He was in a fix. His mind told him to not trust her, but his heart told him to do so. Why was he feeling this way?]

[Evening fell, and Om went downstairs to drop her and Chotu, almost like he wanted to do it just so he could see her again, But when he reached, he saw Gauri and Chotu seated in the car with the driver in front. His gaze was fixed on her and Gauri turned to meet his eyes.

The brief eye lock between Om and Gauri had established one fact: They somehow knew they could trust each other]

-----

Hmm...what do you think? Will Omkie trust her or reveal her truth?

Not many funny elements in this chapter, sorry!! Romance aur drama bhi hona chahiye na!

Thank you so so much for reading my loves! I hope you liked this chapter ❤️❤️❤️

Bạn đang đọc truyện trên: Truyen2U.Pro